chapter-113.

3 1 0
                                    

Shajiya:- agar itna hi miss kiya tha toh ek baar bhi dhundhne ki koshish nahi ki.....

Zahan:- kya lagta hai tumhe ki maine koshish nahi ki hogi har din tumhe dhundha hai aur har subah iss umeed se uthta tha ki aaj mil jayegi par nahi har din har baar mai na kamiyab rehta tha sochta tha ki tum kabhi nahi milogi lekin dil se sirf ek hi awaaz baar baar sunayi deti thi dil ne kaha ki woh laut ke zarur aayegi aur waisa hi hua tum laut ke zarur aayi Magar kisi aur ki hokar!!!!!

Shajiya:- aap puri sacchai nahi jaante hain....

Zahan:- toh kya hai sacchai batao na please ab mere andar aur dukh dard sehne ki takat nahi bachi hai!!!!

Shajiya:- mai aaj bhi aap se Beintehaa mohabbat karti hoon aap ko chodh kar jaane ke baad meri mulakat ek aise insan se hui jisne mera dost banke mera saath diya uske 1 mahine baad mujhe pata chala ki mai pregnant hoon jab mai aap ko ye news dene aayi toh dekha ki aap ka ghar change ho gaya hai har jagah puch tach ki har din Koshish kiya magar na kamiyab rahi aur doctor ne keh diya tha ki pregnancy mein mujhe zyada stress nahi lena chahiye mera baccha bahut kamzor hai agar zyada stress liya toh miscarriage hone ke chance hain aur mai darr gayi ki kahin aap ki tarah mai iss bacche ko bhi na kho dun aap ke jaane ke baad maine bahut taklif Saha hai aur badi mushkil se mujhe mera beta mila hai itne waqt dhundhne ke baad pata chala ki aap kahan ho aur kiske Saath ho.....

Zahan:- jo dikhta hai zaruri nahi ki wahi sachh ho tumne mujhse ye Baat chupayi ki hamara ek baccha hai agar aur zyada Koshish karti toh mai mil jata!!!!

Shajiya:- maine bahut koshish ki lekin kismat ko ye manzur nahi tha jo hona hota hai woh hoke rehta hai aur ye sab pehle se hi hamari kismat mein likha ja chuka hai aur wahi hua hai Hamare saath hum judaa ho gaye umeed nahi thi ki aap se dobara kabhi mil paungi lekin dekhiye ye hamari kismat hai jo Hamein phir se ek dusre ke saamne laake khada kar diya.....

Zahan:- agar sab kismat se hota na Toh har koi khush nahi hota samjhi ye sab jhuth hai kismat wagaira mai inn sab mein yakeen nahi rakhta!!!!

Misbah:- chalen baby mom wait kar rahi hongi.....

Zahan:- haan chalo, tumhe kahin drop kar dun.....

Misbah:- koi zarurat nahi hai ye rikshaw le legi hai na....

Shajiya:- haan aap jayiye mai chali jaungi.....

Zahan:- theek hai chalo mom wait kar rahi hongi!!!!

Misbah:- haan chalo....

AASMANO PE LIKHAA....Waar verhalen tot leven komen. Ontdek het nu