chapter-59.

1 1 0
                                    

Zahan:- hi!! How are you....

Shajiya:- im fyn!!! What about you!!!!

Zahan:- packings ho gayi!!!

Shajiya:- yeah almost ho gayi hai..... Aayiye dinner kar lete hain.....

Zahan:- haan bahut zor ki bhook lagi hai!!!!

Rufaida:- arey Zahan tu kab aaya....

Zahan:- bas thodi der pehle aap batao aap ne dinner kar liya!!!!

Rufaida:- haan hum sab ne kha liya hai siwa e shajiya ke tum dono bhi dinner kar lo aur haan kal subah tum dono kitni baje nikal rahe ho.....

Zahan:- subah 11' baje ki flight se mom kyun!!!!

Rufaida:- nahi bas aise hi Puch liya don't mind!!!!

Zahan:- its ok mumma!!!

Rufaida:- ek baat kahun!!!!

Zahan:- kahiye na kya Kehna hai!!!!

Rufaida:- mai tum dono ke upar pressure toh nahi daal rahi hoon na bacchon ko lekar.....

Zahan:- nahi mom aap aisa kyun keh rahe ho aap ka haq hai aap maan sakte ho jo aap ko maanga hai but babies ke liye Hamein ek dusre se discuss karna hoga uske baad hi hum plan kar sakte hain!!!!

Rufaida:- theek hai dinner karke so jana kal subah jaldi uthna hai na....

Zahan:- yeah good night!!!

Rufaida:- good night!!!!

Zaroon:- hi bro kya haal hai....

Zahan:- kuchh nahi tu apna bata tera kya haal hai studies kaise ja rahe hain aur sunn mehnat karke padhai karna ok Kyunki iss baar jo semister ho raha hai na woh papers mere paas nahi Ms Rosy ke paas jaane wale hain so exam dihaan se dena!!!!

Zaroon:- haan de dunga final hai aur uske baad mujhe mom ke saath milkar office bhi toh handle karna hai.....

Zahan:- waise Idea Bura nahi hai dad ke jaane ke baad hum sab ne kaise kaise din dekhe hain unke kiye hue harkatein ki wajah se humein binn baap ke zindagi guzarni hogi pata nahi Mumma ne itne saal kaise guzar liye unke bina isliye hamare saath jo hua woh hum hamare bacchon ke saath nahi hone denge!!!!

Zaroon:- aap sahi keh rahe ho hamein abhi se alert rehna hoga Kyunki kab woh past hamare sar pe aake khada ho jaye iska koi bharosa nahi hai!!!!

Zahan:- haan bas itni dua hai ki dad kabhi bhi hamare saamne na aaye toh behtar hoga warna mai khud unko jaan se maar dunga.... Kyunki unhone mom ko dhoka diya unke rehne ke bawajood dusri shaadi ki!!!!

Shajiya:- aayiye dinner kar lete hain.....

Zahan:- haan chalo kar lete hain mai aata hoon!!!!

Zaroon:- yeah aaram se aana koi urgent nahi hai....

AASMANO PE LIKHAA....Kde žijí příběhy. Začni objevovat