chapter-117.

4 1 0
                                    

Rufaida:- welcome to the family....

Shajiya:- thank you mom....

Rufaida:- andar aao na....

Shajiya:- ji mom....

Zahan:- tum jao mai thodi der baad aata hoon!!!!

Shajiya:- lekin aap ja kahan rahe hain.....

Zahan:- mujhe kuchh zaruri kaam hai Isliye mai baher ja raha hoon!!!!

Shajiya:- theek hai jaldi wapas aana....

Zahan:- haan just 5 mins!!!

Rufaida:- aao baitho....

Shajiya:- Mummy ji aap theek toh ho na....

Rufaida:- tumhare jaane ke baad mera beta bahut badal gaya aur aisa lagta tha ki jaise woh hansna bhul gaya ho lekin tum Wapas aayi aur aaj jo uske chehre pe maine jo khushi ki chamak dekhi na uske baad mere dil ko tasalli hui hai....

Raiqa:- hi kaisi hai tu....

Shajiya:- mai bilkul theek hoon tu bata tu kaisi hai aur ruhi kahan hai woh kaisi hai....

Raiqa:- woh apne room mein hai aur sab theek hai aap dono Baatein karo mai chai leke Aayi.....

Rufaida:- nahi tum kahin nahi jaogi....

Raiqa:- lekin mom chai kaun banayega.....

Rufaida:- wahi banayegi jo pehle se karti aa rahi hai....

Shajiya:- mai leke aati hoon....

Rufaida:- nahin tum ruko mai keh rahi hoon na chai tum dono nahi balki Misbah banayengi....

Shajiya:- lekin mom....

Rufaida:- aaj Uska iss ghar mein aakhri din hai jab ss tum hamari life se gayi thi na uske baad se uss misbah ne hamare ghar ki khushiyan hi cheen li har roz ek naya drama.....

Shajiya:- aap ko pata hai mujhe aur sir ko uski pregnancy pe shakk hai....

Rufaida:- ye tum kya keh rahi ho iska matlab uski pregnancy bhi jhuthi hai bilkul ussi ki tarah.....

Shajiya:- wahi pata karne ke liye hum hospital gaye the DNA test aur pregnancy test karne ke liye lekin report mein kya hai ye mai nahi jaanti.....

Rufaida:- just relax sab theek ho jayega allah hai na woh sab accha hi karenge tum dono ke Saath tum fikar na karo theek hai.....

Shajiya:- ji jaisa aap Kaho....

Misbah:- tum yahan kya kar rahi ho....

Shajiya:- kyun nahi aa sakti kya ye....

Misbah:- nahi aa sakti....

Shajiya:- ye mera sasural hai mai jab chahe aa sakti hoon aur mai hamesha ke liye yahin rahungi samjhi tum.....

Misbah:- lagta hai tumhe khuli aankhon se sapne dekhna accha lagta hai ye ghar bhi mera hai aur Zahan bhi mera hai samjhi tum.....

Shajiya:- khuli aankhon se sapne mai nahi balki tum dekh rahi ho samjhi.....

Misbah:- apni zuban sambhal ke Baat karo samjhi.....

Rufaida:- tu meri bahu se izzat se Baat kar samjhi....

AASMANO PE LIKHAA....Where stories live. Discover now