chapter-112.

3 1 0
                                    

Misbah:- sorry, thoda sa late ho gaya....

Zahan:- tests ho gaye!!!

Dr. Nidhi:- haan tests ho gaye hain....

Zahan:- Ohh thank God!!!! Waise reports kab tak aayenge!!!

Dr. Nidhi:- shaam ko aajayenge ghar se koi collect kar le toh accha ya phir hum courier ke zariye bhijwa denge.....

Shajiya:- nahi mai khud aaungi reports collect karne ke liye....

Misbah:- lekin tum kyun karogi, i mean to say woh keh rahi hain na courier kar dengi so aap courier kar dijiye chalo Zahan waqt ho raha hai....

Shajiya:- lekin mujhe kar lene deti waise bhi mai shaam ko kisi kaam se issi raaste se aane wali hoon na.....

Misbah:- kahin Baher ja rahi ho kya....

Shajiya:- haan airport jana hai apne cousin sister Ayesha ko pick-up karne ke liye.....

Misbah:- Ohh accha by the way woh kahan se aa rahi hai...

Shajiya:- Australia se.....

Misbah:- Ohh tumhari family abroad mein bhi rehti hain....

Shajiya:- haan mere chachu Australia ke rehne wale hain woh ek scientist hain....

Misbah:- accha woh ek scientist hain pehle kabhi apne iss chachu ke Baare mein tumne bataya nahi....

Shajiya:- Kyunki inn se zyada baat nahi ho paati na Isliye....

Misbah:- Ohh toh ye baat hai lekin tum toh middle class family se ho toh tumhara chacha itna ameer kaise bann gaya....

Shajiya:- izzat se Baat karo samjhi chachu hain woh mere.....

Misbah:- Ohh I'm sorry, batao na woh itne ameer aur tum sab itne garib kaise ho gaye.....

Zahan:- jab tum dono ki baat ho jaye toh aajana mai ja raha hoon mera sar dard kar raha hai!!!!

Misbah:- theek hai baby tum jao mai aati hoon ek last time doctor se mil loon.....

Zahan:- yeah come soon!!! I'll be waiting!!!!

Misbah:- okay just 10 mins!!!

Shajiya:- aap se kuchh baat karni thi...

Zahan:- kaho kya Kehna hai tumhe!!!!

Shajiya:- kya lagta hai aap ko reports mein kya aayega....

Zahan:- pata nahi jo hoga dekha jayega!!!

Shajiya:- mujhe toh lagta hai ki woh jhuth bol rahi hai woh pregnant hai hi nahi warna doctor kuchh na kuchh kehti.....

Zahan:- bas karo yaar i just hope ki tum jaisa keh rahi ho waisa hi Ho but kahin na kahin mujhe lagta hai ki woh sachh mein , tum batao agar reports mein sachh aagaya toh tum kya karogi!!!!

Shajiya:- ye aap kaisi Baatein kar rahe hain....

Zahan:- please yaar thakk gaya hoon ye sab sehte sehte mujhe itna gussa aa raha hai ki mann toh karta hai ki apni jaan dedun!!!!

Shajiya:- Just shut up Aaj ke baad aisi Baatein mat karna aap nahi jaante ki aap ke peeche kitne log hain jo aap se Beintehaa mohabbat karte hain.....

Zahan:- sab ka toh pata hai lekin tumhara kya haan kya tum aaj bhi mujhse itna hi mohabbat karti ho jitna ki mai karta hoon!!!!

Shajiya:- kya kaha aap ne....

Zahan:- haan mai aaj bhi tumse utna hi mohabbat karta hoon jitna ki pehle karta tha tumhare jaane ke baad har din  har pal, har lamha tumhe yaad kiya hai!!!!

AASMANO PE LIKHAA....Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz