chapter-118.

2 1 0
                                    

Misbah:- mom ye aap kya keh rahi hain.....

Rufaida:- wahi jo sachh hai.... Aur tujhe ye accept karna hoga ki shajiya hi Zahan ki asli biwi hai tu nahi....

Misbah:- ye sab mai kaise accept kar loon.....

Rufaida:- uske jaane ke baad jaise mere bete ne khulkar hansna bhul gaya tha lekin aaj uske chehre mein khushi hai ye sab mai tumhe pehle bhi keh chuki hoon aur ab bhi keh rahi hoon chali jao iss ghar se.....

Misbah:- mai kahin nahi ja rahi hoon samjhi aap ye mera ghar hai mai aap ki bahu hoon aap ke bete ki biwi hoon itna toh izzat kijiye mai pregnant hoon.....

Rufaida:- tujhe jo karna hai kar aur mai wahi Karungi jo mujhe sahi lagta hai aur mai sachh ka Saath hi dungi sachh ye hai ki shajiya hi meri bahu hai hum usko accept kar chuke hain haan maana ki 7 saal pehle woh chali gayi thi lekin woh wapas aayi mere bete ki mohabbat ne usko yahan wapas le aayi woh dono ek dusre ke liye hi banne hain aur ye tum jitni jaldi accept karlo utna accha hai.....

Misbah:- mai kabhi accept nahi kar sakti ki Shajiya iss ghar ki bahu ho warna jaisa maine aur Hanzala ne plan kiya tha sab kharab ho jayega aur mai apna plan kharab nahi karna Chahti aur ab toh mujhe mere reports ki fikar hai uss ki Wajah se saara sachh sab ke saamne aajayega....

Rufaida:- kuchh kaha tumne abhi....

Misbah:- nahi maine kuchh nahi kaha....

Rufaida:- theek hai ek aur baat jitni jaldi ho sake yahan se jaane ki tyyari karo ye mai tumhe keh bhi nahi sakti Kyunki tere kokh mein mera khoon hai iss ghar ka warris pal raha hai isliye mai chup hoon warna kab ka tujhe iss ghar se aur mere bete ki zindagi se nikal ke phek diya hota.....

Misbah:- Mummy ji just relax ok mai kahin nahi jaane wali abhi toh shuruaat hai aage kya kya hoga aap soch bhi nahi sakti aap ne Shajiya ko Wapas iss ghar mein aane diya aur mai aap ke bete aur bahu dono ki zindagi barbad karke rakh dungi, sirf itna hi nahi agar Zahan mera nahi hua toh mai usko kisi aur ka hone nahi dungi samjhi aap aur ek baat aap ke bete ki zindagi mere haathon mein hai kab kya ho jaaye iski koi guarantee nahi hai so aage se mujhse aise badtameezi se baat ki na toh mai bhul jaungi ki aap meri saas ho samjhi aap.....

Raiqa:- kaisi ladki hai ye badon ki izzat karna bhi nahi jaanti....

AASMANO PE LIKHAA....Место, где живут истории. Откройте их для себя