chapter-122.

2 1 0
                                    

Raiqa:- kya baat hai badi khush lag rahi hai....

Shajiya:- khushi ki hi toh baat hai....

Raiqa:- haan woh toh Jaanti hoon tum dono ki life se itna bada kaanta jo hatt gaya hai warna mujhe toh laga tha ki tu hamari life mein kabhi Wapas nahi aayegi....

Shajiya:- Hamare Saath wahi hota hai jo pehle se kismat mein likha ja chuka ho....

Rufaida:- ab Shaadi ki tyyari shuru karwa do iss baar ye Shaadi bade hi dhoom dhaam se hogi sab ko invite karna hai bahut kaam hai....

Raiqa:- koi baat nahi Mummy ji mai hoon na mai saari tyyari kar dungi....

Shajiya:- haan aur mai iski help kar dungi....

Raiqa:- bilkul nahi tum dulhan ho aur tum koi kaam nahi karogi bas aaram karo saara kaam hum Sambhal lenge....

Zahan:- tum tension mat lo theek hai hum hain na accha mom mai bas 2 mins collage jaake aaya!!!!

Rufaida:- tu kahin nahi ja raha hai yahin reh ghar pe aur haan shaadi se pehle dulha aur dulhan ek dusre se nahi mil sakte.....

Zahan:- lekin Kyun hamari kaunsi pehli shaadi ho rahi hai ye toh dusri shaadi hai!!!!

Rufaida:- haan, beta Jaanti hoon lekin tum dono shaadi se pehle ek dusre se na mil sakte ho na ek dusre ko dekh sakte ho iss se nazar lag jaati hai.....

Zahan:- mom ye sab purani baatein Hain yaar please mujhe itni badi punishment toh mat do yaar!!!!

Rufaida:- maine kaha na bas keh diya so keh diya....

Zahan:- fyn, mai apne room mein ja raha hoon mujhe thoda paper work hai usko khatam kar deta hoon!!!!

Rufaida:- Phir se collage ka paper work....

Zahan:- aur nahi toh mai kya karun aap hi batao ek toh shaadi hone tak mai apni hi Biwi se nahi mil sakta aur mai apna kaam bhi na karun toh aur kya karun!!!!

Rufaida:- tu ek kaam kar....

Zahan:- jaldi kahiye!!!!

Rufaida:- tu na airport chala ja....

Zahan:- Kyun jana hai airport!!!

Rufaida:- Kyunki teri cousin sister Riza aa rahi hai....

Zahan:- seriously Riza aa rahi hai woh bhi 10 saal baad woh sab abroad settle kya ho gaye ek call tak nahi kiya!!!!

Rufaida:- haan haan tu ja jaake usko leke aa....

Shajiya:- ye Riza kaun hai iske baare mein pehle kabhi nahi suna....

Rufaida:- woh meri bhanji hai actually uske paida hone ke baad meri behen ka inteqal ho gaya uske baad Jiju usko lekar hamesha ke liye US chale gaye aur kabhi nahi aaye maine unko phone karke kaha tha ki Zahan ki shaadi hai so unhone Riza ko bhejne ke baare mein kaha tha isliye tu jaldi ja.....

Zahan:- ok mai nikalta hoon!!!!

AASMANO PE LIKHAA....Where stories live. Discover now