1

4.9K 345 21
                                    

I hope ki app sabko intro to accha laga hoga.

Let's start with the story.

Ek bada sa mansion hai jisme bahot hasi mazak chal raha hai.
Sab log nashte ke table pe baithe hai.

Head of family ke chair pe satpal kundrra ji baithe hai.

Unke baju mein suneeta kundrra ji baithi hai.

Sath hi rajeev kundrra apni wife rani kundrra ke sath baithe hai.
Unka beta bhi waha pe hai. Omi kundrra.

Kd: omi, tera bhai kaha hai? Ab tak aya nahi.
Tabhi ek awaaz se sab ki nazar stairs pe jati hai.
U all r right.
Awaz hamare hero karan ki thi.

Karan; main aa  gaya dad.
Kd: good. Chalo ab sab nashta kar lo. Fir hame meeting ke liye bhi jana hai.

Karan aake kd aur km ke feet touch karta hain. Fir chacha chachi ke.

Omi ke side mein jake baith jata hai.

Omi: wow aaj nashte mein kya variety hai. Aaloo ke parathe, gobi k parathe,  sandwich.
Gajar ka halwa.. Sab mera favourite.
Karan: ha ha bhukaad.  Tujhe to sirf khana hi to pasand hai.
Km: sunny, mat chida usse. ( yes Karan ka nick name sunny hai)

Karan; ok maa.

Sab aise hi baate karte karte nashta khatam karte hai.
Ladies apne kaam mein lag jati hai.
Aur gents apne office ke liye nikal jata hai.

Bata du, ki Karan ka ghar bahot bada . Unke paas bahot saari cars hai.

Office ate hi Karan ka attitude ekdum se change ho jata hai 
He becomes a very strict boss.

Omi legal department handle karta hai. Uska floor alag hai.
Karan ka office 20 floor pe hai.

Karan and Omi ek business handle karte hai. They are into financial investors.
Kd aur rajeev chacha dusra  . They look after their educational institution.

Also Karan has started ond old age home and one ngo which helps girls who are rescued from domestic violence.

Karan apne cabin mein jata hai aur kaam karne lagta hai.
Uska PA aata hai aur pura schedule bata deta hai. Kitne meeting hai. Kitne project hai. Sab bataa kar waha se jane hi wala hota hai but kuch baat karne ke liye ruk jata hai.

Karan: kya hua.. Kuch kehna hai.
PA: sir, actually main resign karna chahta hu.
Mera family issue hai iske wajah se mujhe apne hometown jana pad raha hai. So i continue with this job.
Karan uski taraf dekhta hai.

Karan; thik hai. But agar kuch financial problems hai to tum office ke help le sakte ho. U r very efficient in ur work. So if possible ...
PA: sir i know aap hamesha hamare sabka bahot khayal rakhte ho. But financial problems nahi hai. Something related to family.
Karan understand and said ok.

PA chala jata hai aur formal resignation letter email kar deta hai.
Usko 1 mahine ka notice period hota hai.

Aise kaam karte karte lunch time ho jata hai to Omi Karan ke cabin mein aa jata hai.
Dono lunch karte karte baatein kar rahe the jab Karan pa ke resignation wali batata hai.

Karan; om, mere liye jaldi jaldi se naye pa ka arrangements kar. Workload bahot hai. I need an assistant.
Omi said ok.
Dono lunch karke apne apne kaam mein lag jata hai.

Aise hi evening ho jati hai.
Aur dono apne ghar ke liye nikal jata hai.

It is trend in their family that they eat their dinner together.
Agar emergency meeting ya kuch ho to hi ye rule break hota hai.

Chalo ye to ho gaya Karan ke side wala part.

Kaisa laga batana.
If u want me to write in English. I will do that.
Pls comment mein batana.

Next part mein teju ke life cycle and then how they will meet.
I know ab tak aapne guess kar liya hoga ki teju hi Karan ki pa banegi.  
😂😂😂😂😂
Lekin thoda sabar karo..

Pls do let me know ki story ka start to thik hai na.

dil se connectionWhere stories live. Discover now