7

2.8K 333 9
                                    

Happy reading guys .
Kaise ho sab log.
Story pasand aa rahi hai ki boring lag rahi hai. Pls comment mein batana.

Let's start with the story.

Teju kundrra industries ke bahar aati hai aur Jaise hi bahar aati hai, uske face pe ek bright smile hoti hai.

Wo apna scotty start karke apne purane company mein pahuch jati hai.
Apne cabin mein jati hai aur sabse pehele apne parents ko call karke sab batati hai. Wo bhi khush ho jate hai.
Next thing wo ansh ke paas jake Sare formalities puri karti hai. Aur apna pending kaam bhi.

Kaam. Khatam hone pe wo ansh ko bye bolne jati hai.

Ansh: so teju, all the best apne naye job ke liye. Aur tumhe kabhi bhi kuch bhi jarurat ho to tum mujhe call kar sakti ho.
Teju thank u bol kar waha se chali jati hai.

Evening mein wo vidhi se milti hai.
Vidhi uske dekh ke bahot khush hoti hai ki ab teju relax ho gai .
Vidhi: so finally Tu karan kundrra se mile? Kya wo sach mein itna handsome hai. Jaise magazine mein dikhta hai?
Teju: oye. Maine itna notice nahi kiya. Wo boss hai mera. Main sirf kaam aur interview pe dhyan de rahi thi.
Vidhi: how boring yaar. Pata nahi teri life mein kab koi ladka aayega aur tu thoda romantic hogi😂
Teju: kya pata. But i am happy with my life now also.
Vidhi: dekhte hai. Kya pata tere naye office mein hi tujhe koi mil jaye aur teri life change ho jaye.
Teju smiles.

Dono aise hi baat karte hai fir apne ghar chale jate hai.

Dusri taraf karan bhi bahot tired hoke apna kaam khatam karke ghar chala jata hai.
Apne family ke saath thoda time spend karke room mein chala jata hai.
Karan pov; pata nahi kyu is room mein ane ka man hi nahi karta. Akela akela lagta hai.

Sochte sochte wo so jata hai.

Next morning
Teju jaldi jaldi ready hoti hai. Breakfast karke apna tiffin leke office ke liye nikal jati hai.

Yaha karan bhi ready ho jata hai aur breakfast ke liye aa jata hai.
Chachi: karan aaj kal tum bahot late aa rahe ho beta.
Karan; ha chachi. Kaam bahot hai . Ek naya client hai to deal set karne mein time lag raha hai.
Omi bhi aa jata hai.

Dono apna breakfast finish karke office ke liye nikalte hai 

Omi car chala raha tha aur karan passenger seat pe.
Omi: bhai, aapko tejaswi kaisi lagi.
I mean kaam related.
Karan samajh jata uska double meaning.
Karan: acchi hai. Hardworking lagi. But sirf lagne se kaam nahi hota. Karna bhi chahiye. Kuch din mein pata chal hi jayega.

Omi: bhai, ha wo waisi. Har kaam mein perfect. Aisa mera dost keh raha tha.
Punctual bhi bahot hai.

Karan : hmm let see.

Dono office pahuch jate hai.
Teju apne desk pe nahi thi. Wo manager se baat karne ke liye unke cabin mein gai thi. Jaise hi Karan aata hai usko teju nahi dikhti to wo Omi ko dekhte hai.. Punctual? Kaha hai madam.

Tabhi peeche teju aake dono ko good morning bolti hai.
Omi Karan ko look deta hai.. See I told u.

Karan: miss verma, in my cabin in 5 mins.
Teju: yes sir.
Omi bhi apne floor pe chala jata hai.

Teju pen and notepad leke Karan ken cabin mein jati hai.

Karan: so miss verma. Aaj se aap sabse phele mera schedule banayegi aur aake mujhe bata dena.
Fir main aapko kuch file send kar raha hy. To aap unki progress report check karna. Jo bhi pending work hoga us project mein to wo aap complete karna ya kisiko assign kar dena. Next thing is aap 5 floor pe jake apna bank formality kar lena for ur salary account.

Teju: ok sir. Aaj ka schedule prepare karne ke liye mujhe idea nahi hai. Ki kaunsi projects hai ya meeting hai.
Karan: wo main aapko mail kar dunga aap kal se ye manage karna. Aaj ke liye chal jayega.

Teju: ok sir. Anything else.
Karan: nope. Aap ko pura data send kar diya hai. Aap check kar lijiye.
Teju sab dhyaan se sun rahi thi .

Fir waha se chali jati hai.
Teju ka desk Karan ke cabin ke excat samne hi tha. Karan notice karta gai ki wo sari files thik se organize kar rahi thi..

Karan shayad Omi sahi keh raha hai. Isko dekh kar lagta hai ye kaam karegi.

Aise hi first day nikal jata hai.

Teju apna kaam karke. Karan ko inform karti hai. Aur ghar chali jati hai.

Jate jate Omi se takra jati hai.
Om: hi tejaswi. How r u and how was ur first day..
Teju: hi. I m good sir. Aur first day accha tha. Jyada kaam nahi tha.
Omi: pls sir mat bolo yaar. I feel like too old..
Teju smile karti hai, to Fir kya bolu.
Omi: om ya Omi bula sakti ho.
Teju: ok om. I will go now. Bye.
Omi bhi bye bolta hai aur Karan ke cabin ke taraf jata hai.

Omi: bhai, kaisa raha..
Karan: thik. Sun Tu ghar jaa. Mera ek video call hai. Wo khatam karke  I will come.

Om says ok aur wo ghar chala jata hain.

From next part u will get tejran moment.
I know thoda boring part tha. Pls gaffe mat dena.

Sorry agar part boring laga ho to.

Keep voting.

dil se connectionWhere stories live. Discover now