5

2.8K 331 15
                                    

Hello everyone.

Pls do let me know how is the story going. If u r finding it boring or is it nice.

I am trying to give more parts but time hi nahi mil raha.

Let's start with the story .

Omi: bhai, I want ur help. Karan bhai ko jaldi jaldi ek assistant ki jarurat hai. Ek thi par wo bahot bakwaas nikli. Isliye aur ab bhai ko koi trustworthy chahiye.
Can I ask this girl to join our office..
Ansh: ha ha. Ye sahi rahega. Waise bhi wo job dundh rahi hai ek acchi si company mein. Ruk main usko bulata hu. Tu baat kar le.

Ansh teju ko apne cabin mein bulata hai.

Teju: kya hua sir. Apne bulaya.
Ansh: tejaswi, omi aap se kuch baat karna chahta hai.
Teju: ji sir kahiye.
Omi: tejaswi, kya aap meri company mein assistant ke job karna chahoge?
Kundrra industries.

Teju ansh ke taraf dekhti hai.
Ansh: ha u should try teju. Ek accha experience milega. Bahot acchi company and management bhi bahot accha hai
Teju: ok. I will try.
Omi: to kya kal aap aa sakti hai office.
Ek formal interview bhi ho jayega.
Teju: ok.

Omi: thank u so much. Aap join karoge ek bahot badi help ho jayegi meri bhi.
Teju kuch samajh nai pati but ok kehkar chali jati hai.

Omi bhi ansh ko invite karke chala jata hai.
Kuch der baad teju ansh ke cabin mein jati hai.
Ansh: come teju.
Kya hua. Kuch baat karni hai?
Teju: sir, main confused hu. Kya mere liye ye job sahi rahegi. I mean wo company bahot badi hai as compare to ours. Kya main itni badi responsibility le paungi.

Ansh: teju, u r like my sister. Main janta hu tu bahot capable hai. Ho jayega.
Aur jaha tak rahi baat company badi hone ki to tuze experience bhi waha accha milega. Bahot kuch naya sikhne milega. Growth bahot hai waha.
U know main karan ko janta hu. Omi ka bada bhai. Wo hai bahot strict and Pantcual but he is very talented and sharp. Tum uske under kaam karogi to bahot nayi baatein sekhoge.

Teju: but sir, karan kundrra ke bare mein jaise suna hai ki wo bahot rude hai, hamesha daat dete hai. To isse wajah se thoda dar laga.
Ansh: hmm. But aisa nahi hai. Wo kaam ko leke serious hai. Lekin tum bhi waise hi ho. Tum hamesha apna perfectly karti ho to koi problem nahi hogi .

Teju:  thank you sir. Aap se baat karke accha laga. I am feeling more confidence now.
Ansh smile karta hai. Aur teju waha se chali jati hai.
Aise hi shaam ho jati hai aur teju apne ghar chali jati hai.
Ghar pe wo apne  parents ko nayi job offer ke bare mein batati hai aur parents bahot khush hote hai..

Ab chalte hai karan ke side.

Sab log dinner karke apne room mein jate hai.
Karan apne room mein kuch kaam kar raha hota tabhi waha om aata hai.
Om: bhai, ek baat karni thi.
Karan: hmm bolo.
Om: Bhai, wo maine kal ek ladki ko bulaya hai interview ke liye.
Karan: kon hai. Aur is baar dhank ka candidate chahiye.
Om: bhai, is baar koi problem nahi hgi.
Maine is ladki ko dekha hai kaam karte.
Wo mere dost hai na ansh uski company kaam karti hai. But ansh apna yaha ka business wind up karke shift ho raha hai. To maine is ladki ko job offer ki.
I m sure ye ladki aapke liye sahi rahegi.
Karan Omi ke taraf dekhta hai what he said.

Om realize karta hai aur statement change karta hai.
I mean apke pa ke job ke liye sahi rahegi.

Karan: ok. Lekin usko appoint tabhi hi karunga jab interview clear ho.  Agar mujhe thik nahi lagi to I won't appoint her.
Om: chance hi nahi bhai. Aap usko reject kar hi nahi paoge. I am daam sure.
Karan; itni kyu tarif kar raha hai. Aisa kya hai usme.
Om: aapko kal pata chal jayega.

Karan smiles aur om waha se chala jata hai.
Karan in mind: ye itna kyu confidence dikha raha hai. Let see. Kaisi hai ye ladki.

Ab kya karan teju ko select karega?
Kya teju karan ke sawal ka jawab de pawgi acche se..

Precap : tejran meet.

Janne ke liye wapis ana.
I hope u like it.
Keep voting.

Sorry for chotu part.

dil se connectionWhere stories live. Discover now