Darjeeling - If Bondita's Child Marriage Never Happened.

2.1K 114 16
                                    


Bondita wore her Banarsi Sari just how Anirudh wanted. They went to travel Darjeeling.

First spot they went to was Tiger Hills. They traveled there and explored everything with their hands in one another. They found a place and sat down . Bondita held his arms and placed her head on his shoulder. Their was a peaceful silence there.

Bon - Pati Babu , mere dimaag me kabhi kabhi yeh aata hai ki agar aap mujhe bachpan me nhi mile hote to kese milte aap mujhe? Me gaaon ki ladki aap Tulsipur ke Zamindaaro ke bete aur India ke one of the best Barrister. Aapka aur mera vivaah tab nhi hota, to me kya kho deti, aapko pata bhi nhi hai.

Ani - Jinka milna likha hota hai wo kese na kese mil hi jaate hain.. shayad me tumhare gaaon kisi kaam se aaya hota aur tumhe dekhte hi mujhe tumse prem ho jaata.

Bon - Me ek kahani sunati hu agar hum ese milte to. 

Ani - Ha. 

Bondita got up.

Bon - Ek ladka tha jiske upar fitoor chadha tha ladkiyo ko unka adheekaar dilane ka , uski umar kuch 25 saal aur uska lakshya Aurato ki azaadi . Ek din wo Devipur aata hai Aurato ke liye ek Public toilet bnawane ke liye. Uss gaaon me ek ladki rehti thi chulbuli si bholi bhaali si. Pedo par sar se chadh jana aur sar se utar jana(hand gestures), ladko ke saath gilli danda khelna to itna pasand tha ki poocho hi mat. Gaaonwalo ke ghar se Aam churana to uski har din ki krida thi. Aur to aur har waqt sirf tark pe tark krti rehti thi.. kabhi apni mami se kabhi gaaon ke purusho se aur kabhi kabhi to gaaon ke Pandit se bhi.. Usko na samaaj ki reet smjh aati aur na betuke rasam.. Bohot koshish krti apne haalaton se smjhauta krne ki par galat tabhi bhi nhi seh paati. Gaaon wale khoob pareshaan rehte the usse. Bachpan me bachpana smjh ke maaf kr dete the par ab. Ab to wo jawaan ldki ho gyi thi par harkat abhi bhi bacho waale hi the aur smjhdaari Barrister Babu wali. Ek din uske gaaon me ek Ladka aya sajeela jawan aur sundarta ke to vishay me prachalit tha wo dur dur tak.

Ani - Acha?!

Bon - Haa.. aur kitna hi ladko ke saath bacho jese reh le thi to wo bhi ek ladki aur wo bhi esi umar me jb ese insaan ki talaash ho jo sirf usse prem kre , uska haath thaame aur uska saath humesha de. Wo pohoch gyi waha usko chup chup kr dekhne ke liye. Bs uski ek jhalak ke liye utsuk thi wo. Uss din sirf uski peeth hi dekh paayi wo, aur niraash ho kr chali gyi apne ghar. Wo ladka thehra tha mukhiya ke ghar iss baat se anjaan wo agle din pohochi mukhiya ke ghar Aam churaane.. Isko dekha uss ladke ne aur pohoch gya uske paas usko rokne. Wo ped par thi ki tabhi usne dekha ki neeche koi khada hai..Sundar to wo bhi kaafi tha par wo gaaonwalo jese kapdo me tha , ladki ko lga koi mehmaan hoga. Wo jht se utari aur bs bhagne hi waali thi ki peeche se uss ladke ne uska haath pakd liya aur usse pucha "kisika koi bhi samaan churana galat baat hai" Wo ladki bichaari kya bolti bs usne haath chhudaya aur waha se bhaag gyi.

Ani - Aage me sunata hu, Uss ladke ko uska yeh andaaz bhaa gya . Kabhi socha hi nhi tha usne ki koi gaaon ki maamuli ldki itni sundar aur chanchal ho skti hai.. Uska chehra uss ladke ke  man me chhap gya. Usne phir usko ek din Pandit se tark krte hue suna "Pandit ji ladki paraya dhan aur ghar ki lakshmi kese ho skti hai?" Pandit ne bina uttar diye usko daant diya. Ldke ne gaaon walo se pocha uske baare me to sbne kaha nirlaj, behaya aur bekaaboo ldki hai par uss ladke ko usme ek smjhdaar , chanchal aur galat ko galat keh ki kshamta rkhne waali ldki dikhi

Bon (continues) - Wo Pandit ke uttar se niraash ho kr waha se chali gyi aur jaake ek ped ke niche beth gyi. Tabhi koi uss ldki ke paas aya aur usne uske aage aam rkha. Usne nazar utha kr dekha to wahi ldka tha jisne kal uska haath pkda tha. Wo dar ke khadi ho gyi aur masoomiyat se poocha "saza dene aaye hain aap mujhe?" aur ldke ne bhi badi nazakat se kaha "inaam dene aya hu me tumhe, gaaon walo ne bataya mujhe tumhare baare me." Usne uski baat kaat te hue kaha "Acha to nhi hi kaha hoga. Pata nhi kya dikkat hai gaaon walo ko mujhse" Us ladke ne phir pyaar se smjhaya "logo ki fikar mt karo , tumhe pata haina tum sahi ho?" Us ladki ne kaha "haan, to kya tumko bhi lgta hai me sahi hu?" 

Ani - Usne kaha "Tum kabhi galat ho hi nhi skti"

Bon - Uske baad ldki ne poocha ki "tum kon ho?" to ldke ne uttar diya "tumhara naya dost tum, mujhe Anirudh bula skti ho." Aur phir usse uska naam poocha to ldki ne uttar diya "Bondita" . Yeh dono phir ek dusre se milne lge aur saath samay beetane lge , Anirudh ki baato ne use apna deewana bna liya tha 

Ani - Aur uski baato ne Anirudh ko.

Bon- Bondita ne bataya ki usko uss Barrister se milna tha jo sochalay bnwa rha tha aur usne yeh bhi bata diya ki wo usse kese prabhavit hai.. Anirudh ne apna muh uss samay bandh rkha thik smjha kyuki usko yeh chaiye tha ki uske guno ya sundarta ke charcho ke wajah se nhi blki wo jesa hai Bondita usko wese pasand kre.Inn dono me dosti ho hi rhi thi ki Bondita ki shaadi tay ho gyi ek usse dugne umar ke vyakti se. Bondita ne aake yeh baat Anirudh se kahi. Anirudh ne usse kaha "Bondita , tum mujhse Vivaah kr lo , Me tumse bohot Prem krta hu Bondita aur tumhe humesha khush rkhunga." Bondita ko sb kuch mil gya uss din "Anirudh me bhi aapse prem krti hu, aur aapse vivaah bhi krna chahti hu . par..." Bondita ne kaha. Anirudh ne usse poocha "koi pareshaani hai kya?" . Bondita bechaari apni Ma ko chhodke kese jaa skti thi? Anirudh ne uski iss baat ka samman kiya aur usse kaha "tumhari ma humaare rishtey ko sweekar kregi?" . Bondita ne uttar diya "Ha kregi na , mene bataya hai unko aapke bare me unhe aap bohot pasand hain." Anirudh ne uska haath pakda aur kaha "To phir chalo mere saath". Bondita ko kuch smjh nhi aya par usko Anirudh pe bharosa tha . Un dono ne mandir me shaadi kr liya aur phir Bondita ke ghar gye uski Ma ko lene ke liye . Ma ne un dono ko humesha saath rehne ka aashirwaad diya. Mama , mami aur gaaon waale isse bilkul bhi khush nhi the ki koi ldki apne pasand ke ladke se vivaah kre.

Ani - Gaaon wale bhadak gye par kya kr paate , un dono ne shaadi kr liya tha aur zamindaaro ke bete se kise panga lena hai. Usne Bondita ka haath aur kas ke pakd liya . Usko aur uski maa ko leke jaa rha tha wo apne ghar. Use pata tha uske ghar waale nhi maanenge par use Bondita pe vishwas tha ki wo prem se sbke dil ko jeet hi legi. Wo ghar pohocha aur usne jesa socha wesa hi hua uske Kaka aur Baba bohot gussa hue par Bondita ki meethi meethi baato ne kuch dino me hi unka dil jeet  liya aur ek mahina bhi nhi lga kisi ko yeh sweekar krne me ki Bondita Roy Chaudharyo ki badi bahu hai.

Bon - And they lived happily ever after....

Ani - Waah!! Esa lga jese me iss kahani ko jee rha hu.

Bon - Sach me.. aur mujhe to Pritam ki agli kahani bhi mil gyi.

Ani - Ha par abhi wapas chale ya idhr hi rehna.. 

Bon - Itni jldi?

Ani - Arey hum 2 ghante se idhr hi hai.. ghar chalo raat me ek jagah aur jaana hain hume.

Bon - Kaha?

Ani - Chalo na bs tum.. sawal mt kro.

They left. 


All The Barrister Babu lovers please do vote for this part and please share it to your friends.If you liked this part then please let me know in comment box and if you did not liked the part please do let me know how to improve. Your votes and comments really encourages me to write more of Anidita stories.

ANIDITA - THE BARRISTER COUPLEWhere stories live. Discover now