Part-6

1.4K 141 44
                                    

Hi all..Happy Sunday! Thank you for the responses and love.Will reply to each comment on previous parts soon.Without much ado,here is the next update as promised. :)

-------------------------------------------------------------------------------

Nirmal Jyoti Society,Ahmedabad

"Naina se baat hui?'' Bela Chachi asked after she completed knitting few more squares on the knitting needle.

"Nahin uski phone band hai aur landphone koi utha nahin raha hai.'' Chachaji sat dejectedly to take breakfast.

"Bhagwan jhooth na bulaye mujhe kuch anhoni ka andaza ho raha hai.Pata nahin kaisi hogi hamari Naina?'' Bela Chachi grumbled and served the breakfast.

"Bela! ''Taiji yelled.

" Kitni baar boli hun ki uss besharam ladki ka naam ghar mein mat lena.Bhari mohalla mein naak kata di Agarwal khandan ki.Ab bhi tujhe aur devar ji ko uske upar pyar aa raha hai. ''Taiji scolded as Chachi made faces behind the pallu.

"Par Bhabiji jo bhi hua akhir humari bachi hi hai na.Aur aap to us se kab se muh mod liya hai.Ab apko uski fikar karne ki zimmedari bhi nahin hai.Isliye aap uski ache-bure haal se dur rahiye.'' Chachaji clarified and left for office.

"Haan bhabiji.Aap agar elaichi lene aayi hein to bata dun ki elaichi khatam ho gayi hai.Aap Pralay ko bhejkar kharid lijiye.'' Bela said and went to her room.

"Neva! Yahan to sabke jawan chalne lagi hai.'' Taiji soliloqued and left with a cringe face.

-------------------------------------------------------------------------------------------

"Hello Sameer! Wo agle week Malhotra Sahab aa rahe hein scholarship ka function mein.Tu bhi aaja.Tujhe bhi to present rehna hai.Main saara intezaam kar liya hun tu bas kuch cheques sign karna baki hai.Tu thoda jaldi aata to acha hota.'' Munna informed.

" Okay okay fine.Main 2-3 din mein pahunch jaunga.Namrata ko bolna ki mujhe call kare.Kuch jaroori chizein batana hai use. '' Sameer replied.

" Yeh apna Namrata badi khubsurat hai na.Behen na hoti to bhabhi bana leta'' Munna asked with a tease.

"Munna! Kitni baar bol chuka hoon ki wo sirf mera P.A. hai.Aur mera student bhi hai.'' Sameer chided and hung off.

"Nanu! Main thoda walk se ata hoon.Aap nashta kar lijiyega.Mera wait mat karna.'' Sameer said and left much to amazement of Nanaji.

"Good morning Uncle!'' Rishav wished as he spotted Sameer jogging by.

"Good Morning Rishav! Good morning Nisha.'' Sameer halted and wished.

"Mumma! Yeh wohi uncle hain jinke bare mein bata raha tha.'' Rishav introduced his mother to Sameer.

"Oh.Namaste.'' Nirupama greeted.

"Hi! I am Sameer..Sameer Maheshwari.'' Sameer said in reply.

"Sameer Maheshwari! Aap Music Research Foundation ke Dean hain ?'' Nirupama asked in doubt.

"Haan''. Sameer said smilingly.

"Main padhi thi paper mein.Aapka interview bhi padha tha.Aap ka Western Acoustics mein research ka thought bahut hi interesting hai.Aapse aise mulakat hogi umeed nahin tha.'' Nirupama was elated to meet him.

"Thank you.Waise Rishav ka kaafi achi awaaz hai.Aap use music school kyun nahin bhejte?'' Sameer asked.

"Main to chahti hoon lekin uske papa nahin maan rahe hein.Samjha samjha ke thak gayi hoon.'' Nirupama sounded really unhappy.

Sameer -Naina FF : Kati Patangजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें