Rooth Na Jaana

410 78 95
                                    

Kis dard ko dard kaha jaye,
Unse bichad ke kaise raha jaye.

Jism ke jakhm toh bhar jaye,
Dil ke jakhm kaise bhare jaye.

Logon ka chodna seh liya jaye,
Ruh ka chodna kaise saha jaye.

Jinke saath hone se saansein hai chalti jaye,
Bhala use durr kaise kar jaye.

Jo baatein uske dil ko chu jaye,
Aise shabad kaise likhe jaye.

Life is like a book. Every chapter has a story. You can't skip chapters, that's how life works. You have to read every line, meet every character. You won't enjoy all of it. But you have to keep going, for those breathtaking moments where you don't want the pages to ever end. So, live your story fully, don't miss out anything because that is your life.

Sameer's VO
Jhagda hua, Baatein sunayi gayi, Naina ki taraf se Sorry bhi likha gaya, par abhi bhi kuch adhura tha. Shayad meri galti ka ehsaas, shayad Naina ka gussa, shayad thoda aur roothna aur shayad thoda aur manana.
Laga toh tha ki Naina ko apni galti ka ehsaas ho gaya hai..kaafi tha, uski Diary mein likha Sorry kaafi tha humari ladai ko khatam karne ke liye. Lekin "Sorry" yeh ek shabd mujhpar kitna bhari padega is baat ka andaja mujhe tab kahan tha. Kabhi kabhi hum anjaane mein kisi apne ka itna dil dukha dete hai ki hume pata hi nhi hota aur tab yeh Sorry duniyaa ka sabse useless shabd lagta hai.

Sameer- Naina yeh shirt kyu nikali, maine kaha tha na main yeh nhi pata.

Naina- Sorry.

Sameer(to himself)- Ise kya ho gaya hai, palat kar jawaab kyu nhi diya. Aur yeh kab se aisi baaton par Sorry bolne lag gayi.

While walking down the stairs, Sameer collides with Swati.

Sameer- Swati kya kar rhi hai dekh ke nhi chal sakti.

Swati- Sorry bhai, woh mera dhyaan nhi tha.

Sameer(to himself)- Bas Sorry keh diya aur kaam khatam.

At Dining
Sameer- Yeh khane mein itna namak kyu daala hai.

Vishakha- Lagta hai mujhse hi galti se zyada dal gaya hoga. Sorry beta, tu ise chod main kuch aur bna deti hoon.

Sameer(to himself)- Yeh bhi Sorry.. ho kya gaya hai sabko aaj.

After having Breakfast, he is about to go for Office but Naina calls and stops him.

Naina- Sameer.. woh yeh tumhara rumaal main nikalna bhool gayi thi aaj. Sorry.

Sameer- Phir se..

Naina- Kya phir se.

Sameer have left without saying anything.
He walks forward without seeing when his foot falls on the soil.

Sameer- Yeh mitti..

Gardener- Woh Bhaiya ji, paudhe laga rhe the usi ki mitti thi. Par aapke toh joote kharab ho gaye.. Sorry Bhaiya ji.

Sameer(to himself)- Angrez chale gaye aur yeh Sorry chod gaye. Jise dekho bas yehi bole ja rha hai subah se.

While driving the car, to divert his mind, he turns on the radio.

Banke bigad gaya kaam
Very Sorry I am so Sorry,
Ulte huye badnaam
Very Sorry I am so sorry,
Kahe gaye hum
Kismat se ladne,
Aise ke dar pe
Matha ragad ne,
Rama Hare Rama Hare.
Are are are are.....

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें