Nazdikiyaan ya Dooriyaan

576 90 22
                                    

Kise pata tha ki ek kahani dusri kahani ko badalne ki taqat rakhti hai.
Kise pata tha ki Romeo Juliet ki kahani Sameer Naina ki kahani mein ek naya mod le ayegi.
Kise pata tha ki us kahani se Naina ka pyaar aur majboot ho jayega.
Aur kise pata tha ki usi kahani se Sameer ka pyaar kamjor pad jayega.
Kisi ko nhi pata tha ki ek kahani Sameer Naina ke beech dooriyon ka karaan ban jayegi.
Par kya yeh dooriyaan itni hongi ki nazdikyoon ki jagah hi na bachegi.

In evening at Sameer's House
Romeo Juliet ke pyaar ke baare mein padhke Sameer ke mann mein apne pyaar ke liye doubts khade ho rhe the. Aise doubts jo use tod rhe the,uske ishq ko kamjor bna rhe the, use Naina se door le ja rhe the.
Sameer(to himself)- Kuch samjh nhi aa rha ki kya Main Naina se sach mein pyaar karta bhi hu ya nhi.
Aaj Romeo Juliet ki kahani ke baad mujhe mere hi pyaar par shaq ho rha hai.
Shayad mujhe apni feelings Naina ke liye yhi rok deni chahiye, nhi toh main uski life bhi barbad kar dunga.
Shayad yeh hi shi waqt hai ki main Naina se dooriyaan bna lu. Aur waise bhi abhi tak use nhi pata ki main usse kitna pyaar karta hu. Toh yhi shi rhega ki main usse door rhu aur is rishte ko, is pyaar ko aur waqt du. Main nhi chahte ki use meri wajah se koi taqleef ho, woh dukhi ho.

Otherside at Naina's House
Jahan ek taraf Sameer Naina se door hone ko soch rha tha, apne pyaar par doubt kar rha tha vhi dusri taraf us kahani ke baad Naina apne pyaar ko lekar, Sameer ko lekar aur sure ho gyi thi.
Naina(to herself)- Thank U Gannu ji mere Romeo, mere Sameer ko meri life mein bhejne ke liye.
Pehle khi na khi main sochti thi apni feelings ko lekar par aaj Romeo Juliet ki kahani ke baad mujhe vishwas ho gaya hai ki main Sameer se kitna pyaar karti hu.
Aur ab main humare beech kisi doori ko nhi aane dungi, aayegi toh sirf nazdeekiyaan.

Kitna ajeeb rishta tha in dono ka tabhi toh Naina ke liye uski mohabbat uski zindagi ko poora kar rhi thi vhi Sameer ko uski mohabbat use adhura bna rhi thi.

Next Day at School
Naina- Sameer yeh lo tumne kal mujhse mere notes mange the na.

Sameer- No thanks Naina ab mujhe nhi chahiye.
Woh mujhe kal hi mil gye the.

By saying this he goes from there.

Naina(to herself)- Ise kya ho gaya hai. Aise rukha rukha kyu behave kar rha hai mere sath.

Naina ko kahan pata tha ki yeh toh Sameer ke rukhepan ki abhi sirf shuruat hui hai.

In Classroom
Mam- Students as you know ki abhi kuch dinon mein Apki class ko Drama Competition mein part lena hai.
Toh uske liye maine class ko divide karke groups bna diye hai. Is list mein sabke naam hai.

Sameer, Naina, Munna, Pandit, Preeti, Sunaina, Kartik ek hi group ke hissa hote hai.

Sameer (to himself)- Ab kya karuga Mam ne mujhe aur Naina ko ek hi group mein daal diya hai. Jitna usse dur rehne ki koshish kar rha hu utna hi uske najdeek aa rha hu.
Ab na toh main uske sath ek hi group mein reh sakta hu aur na hi us Kartik ke hote hue Naina ko akela chod  ke ja sakta hu. Aur woh Kartik bhi yeh group chodega nhi.
Kya ho gaya agar main ya Kartik yeh group nhi chod sakte. Kuch aisa karna padega ki Naina hi ise chod de.

Mundit- Kya baat hai bhai kis soch mein hai.

Sameer- Woh Munna Pandit main yeh soch rha tha ki humare Drama ke liye hume sirf 2 ladkiyon ki hi jarurat hai. Toh...

Mundit- Toh kya..

Sameer- Toh kyu na hum ek ladki ko bole ki woh yeh group chod de.

Mundit- Chal thik hai phir us Nakchadi Sunaina ko hi bol denge.

Sameer- Nhi yaar Sunaina nhi balki Naina.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें