Kabhi Khushi Kabhi Gham

610 100 147
                                    

Love is joy only if both feels right and same for each other.

Durriyon ke intezaar ke baad, Khamoshiyon aur Chuppiyon ke baad, Shikwe aur Shikayton ke baad; Baari thi, pyaar ke tyohar ki, Ishq ke iqraar ki, ek kahani ke saar ki.

The next day when Naina wakes up in the morning, she is able to feel Sameer, probably because of his jacket.

Naina(to herself)- Yeh Jacket..matlab Sameer bina iske hi chala gaya, kulfi ban gayi hogi uski toh..Par kal raat kitna khush tha Honeymoon ko lekar, par  shayad maine zyada hi tang kar diya tha use.

She wrapped her arms around that jacket, just as she hides herself into his embrace.
She gets up from there and opens her Diary to penned down something in it.

Log mere khush rehne ki wajah,
Sochne lage hai,
Yeh chehra itna khila kyu hai,
Puchne lage hai,
Toh..sabko bata du kya?

Kaise zindagi ko ab gale lagati hoon,
Kaise har waqt main dil se muskurati hoon,
Na chahat koi, Na darr koi,
Main har khushi,
Main har sukoon,
Ab tujh mein hi paati hoon,
Toh..sabko bata du kya?

Ab tujh mein main dikhu,
Mujh mein tu dikhe,
Mohabbat kar li hai maine tujhse rajj rajj ke,
Toh..sabko bata du kya?

Itni khushi pehle kabhi mehsoos hi nhi hui thi, jitni aaj ho rhi hai. Saalon ka dard, woh judaai ke pal, woh saare aansoo meri aaj is hassi ke saamne chote lag rhe hai.
Ab toh tumhari yaad bhi nhi aati mujhe Diary, tumhara Competitor jo aa gaya hai, mere jeevan ka saathi, mera humsafar jisne zindagi ka safar mujhe jeena seekha diya hai. Meri adhuri si zindagi ka ek poora khwaab nazar aata hai, Sameer se hi shuru, aur Sameer par hi khatam,  bas yehi samajh aata hai.

Preeti- Naina..aaj ke din kya tu padhne likhne baith gayi hai. Yaad hai na aaj Sangeet hai tera. Aur yeh Jacket..

Naina- Haan woh Sameer ki hai, yahin reh gayi thi, ek kaam karti hoon Suitcase mein hi daal deti hoon.

Preeti- Acha teri Packing ho gayi na. Sab samaan rakh liya.

Naina- Haan baba, almost sab ho gaya hai.

Preeti- Aur Honeymoon ki packing ho gayi hai.

Naina- Tu bhi shuru ho gayi.

Preeti- Bhi matlab, aur kon shuru hua. Ohh acha Sameer.
Acha bta na tune sab rakh liya hai na Honeymoon ke liye. Aur woh toh rakhi hai na.

Naina- Woh kya?

Preeti- Arey wohhhh..

Naina- Preeti..Wohhhh..matlab kya?

Preeti- Nighty..aur kya.

Naina- Chee..main yeh sab nhi paati.

Preeti- Par behan Honeymoon par toh payegi na. Main toh kehti hoon aaj hi jakar le aa. Aur thodi sexy si liyo.
Sameer toh khush hi ho jayega tujhe us mein dekhkar.

Naina- Sameer mujhe in kapdo mein bhi dekhkar khush hi hota hai. Main nhi lene wali yeh sab.

Preeti- Naina baith idhar, aur meri baat dhyaan se sun is mamle mein mere pass tujhse zyada anubhav hai. Toh meri baat maan aur wohhhh jakar kharid aa.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें