Mohabbatein

351 59 186
                                    

Kaash phir kisi raat mein tum mujhse milne aana,
Mujhe mujhse milake phir mere seene se lag jana.

Na jana phir kabhi mujhe chodkar tum,
Janmo ke kiye vaade ko yuh is tarah nibhana.

Main chup sa baithuga teri yaadon mein..bhul ke zamana,
Tu hatheli mein de haath apna mujhe phir apna banana,

Ho sake toh dekh lena saanson ka meri chalte jana,
Tu le mera sir apni godd mein mere aakhri pal ko sajana.

Judaa agar hue toh phir seene mein pyaar ko bhar lana,
Us paar miluga ek aisa vaada bhi mujhse lete jana.

Kehte hai mohabbat ko hum nhi, balki mohabbat humko chunti hai. Usi tarah vhi mohabbat kitni milegi, kab milegi, kab chutegi..yeh hum nhi balki vhi mohabbat tay karti hai. Sameer Naina ki zindagi toh unki thi, par unke fasano aur faaslo ke faisle unki zindagi ke the.

Two in the morning, all of a sudden, Sameer wakes up suddenly. But he sees that the next side of the bed is empty. He tries to apprehend whether it was just a bad dream or a unfotunate reality where his Naina is no more with him.
He swiftly gets up, throwing away his blanket to find her. He looks everywhere in the room, balcony, hall but after quite a few attempts of searching, no signs of her, still.
Then as he enters in the kitchen, there he finds her sitting on a kitchen slab, with a bowl in her hand.
Seeing him at this hour, she got scared. First a filled up spoon, and then a bowl full of ice cream falls from her hand. He hurries to her, holds her face, then grabs her close, no-gaps in between and tightens his arms around her.

Naina- Sameer..tum, kya ho gaya.

Sameer- Maine bahut bura sapna dekha Naina, tumhe kho baitha tha. Tum chodke chali gayi thi mujhe humesha ke liye, tum marr..

He stopped abruptly but a relieved smile comes up on her face, and envelops him firmly in her embrace for comforting.

Naina- Sapne mein hi possible hai yeh, tum kya sochte ho itni jaldi peecha chod dungi tumhara. Bad luck Patidev.

He aparts from her, and when she saw his filled up eyes, she understands his situation. Cupping his face within her palms, she assured him.

Naina- Buddhu hi ho Sameer tum. Aise kon rota hai.
Aur dekho abhi toh subah bhi nhi hui, matlab tumhara yeh sapna toh sach nhi hone wala hai.
Aur waise bhi rona toh mujhe chahiye, tumhari wajah se meri Ice Cream gir gayi. Aise achanak se uthke aa dhamke. Pata hai last scoop pada tha.

Sameer- Raat ke 2 baje Ice Cream kon khata hai Naina.

Naina- Main khati hoon na.
Ab chalo..

Sameer- Kahan?

Naina- Ice Cream khane..aur kahan.
Sameer..mujhe na Dark chocolate Ice Cream khane ka bahut mann kar rha hai.

Sameer- Dark Chocolate!

Naina- With Coffee Ice Cream..

Sameer- Coffee bhi!

Naina- Brownie aur Whipped Cream ke saath..

Sameer- Ek minute tumne mujhe kisi Ice Cream Parlour mein kaam karne wala Waiter toh nhi samajh liya..jo order par order diye ja rhi ho.

Naina- Tum apni eklauti biwi..woh bhi Pregnant biwi ko ek Ice Cream bhi nhi khila sakte. Bahut bure ho tum..sacchi.
Tumhe toh na aise hi sapne aane..

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें