Aakhri Mulaqaat

541 104 35
                                    

Pyaar mein har mulaqaat khaas hoti hai lekin aakhri mulaqaat sabse khaas. Kyuki yeh kahani ka rukh palatne ki taqaat rakhti hai. Aisi hi mulaqaat ko taiyaar the Sameer Naina. Ab yeh mulaqaat unke dard par marham lagayaegi ya unka aur dard badhayegi, yeh toh waqt btayega.

In Sameer's House

Munna- Khana khaya Sameer ne?

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Munna- Khana khaya Sameer ne?

Swati- Nhi khaya, 15 din se yehi haal bna kar rakha hai, itne din se unki aawaaz tak nhi suni. Agar kuch sunai deta hai toh bas yeh dard bhare gaane.
Mujhe toh darr lag rha hai ab. Mujhse bhai ki aisi halaat dekhi nhi ja rhi.

Munna- Yeh sab us Naina ki wajah se hua hai.
Pehle bhi usi ki wajah se apna bhai sab chod chad kar chala gaya tha, lekin is baar toh jeete jee mar chuka hai.
Pata nhi kab us Naina ke pyaar ke jaal se bahar niklega Sameer. Jabki usne toh kabhi isse pyaar kiya hi nhi tha.

Then, Pandit arrives back from his Trip.

Munna- Tu kab aaya vapis aur Preeti kahan hai.

Pandit- Raat ko hi aaya tha. Aur subah jaise hi pata chala Sameer ke baare mein yahan aa gaya. Preeti bhi Naina se milne gayi hai.
Maine toh mana kiya tha use, lekin woh maani nhi. Naina ko  Sameer ke saath aisa nhi karna chahiye the.

Swati- Tum dono bina poori baat jaane kyu unhe blame kar rhe ho.
Kya pata unki koi majboori rhi ho.

Munna- Tu nhi janti use. Har baar usi ki koi majboori hoti hai aur dukhi hota hai humara bhai.

Otherside
Naina- Kaisi hai Preeti. Aur Pandit kaisa hai.

Preeti- Kyu kiya tune aisa Naina. Pata hai baki sab log tere baare mein kitna galat soch rhe hai.

Naina- Preeti..kya fark padta hai.

Preeti- Chal maan liya, unse fark nhi padta, Sameer se toh padta hai na. Tujhe pata bhi hai kya haal ho gaya hai uska, jinda laash ban chuka hai. Na hasta hai, na bolta hai. Teri tarah apni normal life nhi jee rha woh wahan.
Mujhe toh lagta hai Naina tune shayad kabhi usse pyaar kiya hi nhi tha, agar kiya hota toh kabhi uska aise dil na todti. Bol na ab chup kyu baithi hai.

Naina- Bas kar Preeti. Manti hoon maine Sameer ke saath galat kiya, lekin khud ke saath bhi kuch shi nhi kar payi hoon. Patthar nhi hoon mai, Mujh mein bhi nami hai. Apna dard baya nhi karti, shayad itni si kami hai.
Aur rhi baat Sameer ki kuch dinon baad bhul jayega woh yeh sab.
Main college ja rhi hoon, baad mein milti hoon.

Naina stops her tears and leaves.

Preeti- Ab pyaar nhi karti Sameer se.

Naina- Pyaar karna hi kaafi kahan hota hai, qismat bhi toh honi chahiye.

Preeti- Ek baar mil le usse. Kyuki tum dono ko hi is mulaqaat ki jarurat hai.

Naina- Is baar nhi kar payugi main uska samna. Bahut mushkil se sambhala hai khud ko, usse phir se mili toh toot jayugi.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें