Zindagi Ki Na Toote Laddi

389 68 130
                                    

Yeh zindagi nhi, aashiyana hai.
Toote hue kuch sapno ka,
Kuch chutte hue apno ka.
Anjaani si kuch bhashaon ka,
Kuch bikhri si aashayon ka.
Ek jhutha sa bahana hai,
Yeh zindagi nhi, aashiyana hai.

Khud se kiye kuch vaado ka,
Kuch ladkhadate iraado ka.
Badle hue kuch libazo ka,
Kuch unkahe alfazo ka.
Ek mehka sa afsana hai,
Yeh zindagi nhi, aashiyana hai.

Gum se bhari kuch raaton ka,
Kuch khushmizaaz baaton ka.
Beete waqt ki kuch bhoolon ka,
Kuch baagon ke phoolon ka.
Ek guzra hua zamana hai,
Yeh zindagi nhi, aashiyana hai.

Aisa hi ek aashiyana banane chale the do log, zindagi ka safar guzarne chale the do log; Pati-Patni se lekar Maa-Baap banne tak ka safar, Ghar mein rehne se lekar Ghar basane tak ka safar, Samajhdaar banne se lekar Samajhdaari seekhane tak ka safar, Bekhudi se lekar Zimmedari tak ka safar tay karne wale the Sameer Naina..apne Prem ke saath.

Day 1 of GaneshUtsav
Naina- Ganpati Bappa Mourya!

Sameer brings the Ganesha's idol and placed in a pandal decorated by Naina.
He comes to her, and takes Prem from her hands.

Sameer- Jao..Moohdikhayi nhi karohi apne Gannu Ji ki.

She goes and lifts the piece of cloth covering the idol's face. Then, both offers the prayers and does the Aarti, with their little bundle of happiness present with them.

Naina- Prashad..Haath aage karo, tumhara meetha.

As she is about to feed him, he held her hand.

Sameer- In Modak se pehle ek aur kaam. Tumhare sawal ka jawaab Naina.

Naina- Jawaab toh mujhe already pata hai..kal raat se hi pata chal gaya tha jab karwate badal badal kar so rhe the. Tum aur koi khwaab kal dekh hi nhi pa rhe the kyuki tumhara khoya hua khwaab jo baar baar aankhon ke saamne aa rha tha.

Sameer- Haan..karuga Business ko shuru ek baar phir se, lekin ek shart hai meri..jo tumhe bhi manni padegi.

Naina- Manzoor hai. Sab sharte manzoor hai tumhari Sameer. Tum bas apna yeh khwaab poora karo, main hoon tumhare saath is baar..har kadam par.

Sameer- Yehi toh meri shart hai.

Naina- Matlab?

Sameer- Will you be my Business Partner, Naina?

Naina- Partner?

Sameer- Apni Life Partner ko apna Business Partner banana chahta hoon.

Naina- Par kyu..tum akele sab kar loge Sameer.

Sameer- Nhi kar payuga.

Naina- Haan toh mujhe bhi kahan kuch aata hai Business ka. Maine sirf Business padha ya padhaya hai apni life mein, kiya nhi hai.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें