Aati Jaati Bahare

425 69 71
                                    

Kuch toh hai jo badal gaya hai,
Shaakh ke patto ka
rang utar gaya hai.

Qaid tha koi jo
dil ke darwajo mein,
Aaj laangh kar dehleez
nikal gaya hai.

Ek waqt tha, jab har waqt saath tha woh mere,
Shayad..ab waqt
badal gaya hai.

Afsoos karna bhi ab toh
beimaani sa lagta hai.
Khud apna hi kal
ek kahani sa lagta hai.

Bas koi neend se
jaga de ab hume,
Aur bole..uth savera
ho gaya hai.

Ishq ki taleem pana jitna aasan hota hai, utna hi mushkil iska imtehaan hota hai. Kabhi lagta hai ki kamyab ho gaye hai is ishq mein par agle hi pal nakaam hue baithe hote hai. Yehi toh ishq ki woh baharen hai jo Sameer Naina ke kabhi pass aati hai aur kabhi inse durr chali jati hai. Dastoor-e-ishq bhi toh yehi kehta hai jaise mausam char hote hai, in baharon ke mizaaz bhi alag alag har baar hote hai.

Sitting in her room, Naina goes downstairs on hearing some quarreling sound.

Naina- Maa..yeh Papa aur Sameer ladd kyu rhe hai. Aap rokiye na.

Vishakha- Nhi sunege meri. Na pehle kabhi suni hai, na aaj sunege. Saalon se koshish kar rhi hoon in baap bete ke beech ki duriyaan mitane ki..par yeh darar toh waqt ke saath badhti hi chali ja rhi hai.

After arguing for a while, both the father-son go to their respective rooms.

Naina- Maa hum koshish karte hai na inki yeh daraar bharne ki. Aap Papa se baat kijiye, main Sameer se karti hoon.

Vishakha- Koi fayda nhi hoga Naina. Aur tum bhi Sameer se kuch mat kaho, kahin aisa na ho uske jakham bharne ki koshish mein uske jakham hi kured jaye.

Naina- Matlab..

Vishakha- Mujhe toh yaad bhi nhi ki kab in dono ne ek dusre se ache se baat ki ho. Shayad halaat hi aise the. Jab Sameer paida hua toh Vivek apna Business setup karne mein itna jutt gaye the ki bhul hi gaye ki unke bete ko bhi unki utni hi jarurat hai. Sameer ko bachpan se hi na toh apne pita ka pyaar mila hai aur na waqt. Swati ko phir bhi apne Pita ka laad mila hai par Sameer ko toh woh bhi nhi. Sameer ki jaruratein toh poori kar rhe the hum paiso se..par use uske Parivaar ka, Maa-Baap ka pyaar nhi de pa rhe the. Yahan tak ki main bhi use woh waqt nhi de pati thi jo ek Maa ko dena chahiye tha. Aur dheere dheere waqt ne hum sabke beech ki khaayi ko aur gehra kar diya. Aur phir yeh ladaiyaan, yeh jhagde, yeh arguments roz ki baat ban gaye. Sameer ka koi bhi decision Vivek ko bilkul nhi bhata tha. Vivek ko apne business, apne paise ke aage kuch nhi sujhta tha..shayad apna beta bhi nhi. Phir kya..Sameer ne khud ko humse durr karna shuru kar diya. Hum sabke beech mein rehta toh tha par bolta nhi tha..aur uske baad toh yeh ghar, yeh shehar hi chod gaya tha. Aur yeh daraarein badhti chali gayi. Use mujhse bhi shikayat hoti thi ki main uski Maa toh thi par use woh mamta nhi de payi thi. Shayad ek Patni ne Maa ko hara diya tha. Uske bachpan ke ghaav sookh jarur chuke hai Naina..par bhar ab tak nhi paye hai. Socho na ek bacche ko uski maa ke laad aur pita ke pyaar ke alava sab kuch mila ho. Khoon ke rishtey toh the..par dil se kabhi yeh jud hi nhi paye the. Aur uska asar toh tum dekh hi rhi ho.

Naina- Maa..toh jod dete hai na inhe dil se.

Vishakha looks at her hopefully.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें