Dil Hi Toh Hai

532 113 52
                                    

Mohabbat..kya hai,
Samjho toh Ehsaas,
Dekho toh Rishta,
Kaho toh Lafz,
Chaho toh Zindagi,
Karo toh Ibadat,
Nibhao toh Vaada,
Toote toh Muqaddar,
Par Mile toh..Jannat.

Shi kehte hai Mohabbat mile toh Jannat aur na mile toh shayad Qismat..Sameer aur Naina ki mohabbat jannat banegi ya nhi, yeh toh unki qismat hi jaane.

After a while he calms down a bit, from his nightmare and the fear of losing her.

Naina- Ab theek lag rhe ho, aise hi haste rha karo.

Sameer- Naina..main us waqt bahut darr gaya tha. Woh subah ka sapna, tumhari woh uljhi hui baatein, woh flight wale Uncle ki kahani.
Ab bas tumhe dekh liya na toh woh darr bhi bhaag gaya.

She comes forwards and encircled her arms around him.

Naina(to herself)-  Mujhe bhi bahut darr lag rha hai Sameer. Yeh sochke ki tum par kya beetegi. Tumhe khud se durr rakhna chah rhi hoon, par nhi kar pa rhi hoon. Aane wale kal ka toh nhi pata, lekin jab tak tumhare saath hoon tumhe is jahaan ki har khushi dena chahti hoon.
(To Sameer)- Sameer..I Love You. Bahut pyaar karti hoon tumse.

Sameer- Aaj bada pyaar aa rha hai mujh par. Acha..waise kitna pyaar karti ho mujhse.

Naina- Itna ki I cannot choose myself over you. Isiliye chahti hoon tum humesha aise hi khush raho mere saath..
(To herself)- Aur mere baad bhi.

Sameer- Ek chiz maangu tumse.

Naina- Bolo.

He leaned towards her and whispers in her ear.

Sameer- Bahut Bhookh lag rhi hai Naina.

She narrowed her eyes and chuckles.

Sameer- Sacchi, aur tumne mujhe apne haath ke paranthe bhi ab tak banakar nhi khilaye. Meri gair-haazri mein seekh toh liye par pass toh main hi karuga na.

Naina- Tum baitho main bnakar lati hoon abhi.

Sameer- Main bhi chaluga tumhare saath. Aur waise bhi aaj toh hum dono ke alawa ghar par bhi koi nhi hai, mauka bhi hai, dastoor bhi, tum bhi ho, aur main bhi.

Naina- Ek minute, tum kya karoge Kitchen mein aakar, tumhe kahan Maggi ke alawa kuch aata hai.

Sameer- Haan toh tum bnana, main tumhe bnate hue dekhuga.

Naina- Tang toh nhi karoge.

Sameer- Umm..Bas thoda sa..

Naina starts preparing for making paranthas in the Kitchen. While he doesn't miss a chance to tease her.

Sameer- Naina..waise Mummy Papa kab tak aayege vapis.

Naina- Shaam tak..kyu puch rhe ho.

Sameer- Matlab 8-10 ghante hai Pyaar ke liye..Bahut hai.

Naina- Pyaar ke liye toh shayad 8-10 mahine bhi kum pad jate hai Sameer.

Sameer- Matlab.

Naina- Kuch nhi..
Lo parantha bhi ban gaya. Khakar btao kaisa laga.

Sameer- Tum shayad kuch bhool rhi ho.

Naina- Ab toh apne haath se khaane ki aadat daal lo.

Sameer- Main toh zindagi bhar aise hi tumhare haath se khaane wala hoon.

Her smile vanishes on hearing 'zindagi bhar' but she shruggs off such thoughts, tore a bite and goes to feed him.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें