Sagaai Aur Badhaai

516 108 65
                                    

Ek ne haath thama, Dusre ne na chodne ka vaada kiya.
Ek ne saath rehne ka irada kiya, Dusre ne use nibhane ka vaada kiya.
Ek ne manzil ko tay kiya, Dusre ne us par saath chalne ka vaada kiya.
Ek ne duaayein maangi, Dusre ne use qabool karane ka vaada kiya.

Itna mushkil nhi tha jitna socha tha, kyuki aaj ka din khwaab ko haqeeqat banta dekha tha. Aankhein khulte hi Do logon ka ek khwaab aaj poora jo hone wale tha. Sameer aur Naina ka ek hone ka pehla kadam uthne jo wala tha, inka saalon ka ishq ek angoothi mein bandhne jo wala tha.

In Naina's House
Bela- Naina..kitna soyegi uth ja.

Naina- Kya hai Mummy sone do..itna acha sapna tha.

Bela- Aaj shaam ko teri sagaai hai, aur tu Sapne dekh rhi hai. Uth ja fatafat.

Naina- Sagaai..

Bela- Haan yaad toh hai na teri sagaai hai aaj.

Naina- Kiske saath hai.

Bela- Kya bol rhi hai..Sameer ke saath hai aur kiske saath hogi.

Naina(to herself)- Matlab yeh sab sach hai. Sapna nhi tha. Sameer..pagal bna ke rakh diya hai tumne mujhe.

Her phone rings at the same time.

Naina- Badi lambi umar hai tumhari toh. Abhi main tumhe hi yaad kar rhi thi.

Sameer- Woh toh tum mujhe poora din karti rehti ho.

Naina- Zyada hawaa mein mat udo, aur bhi kaam hai mujhe, tumhe yaad karne ke alawa.

Sameer- Kaam toh mujhe bahut hai aaj.

Naina- Tumhe kya kaam hai.

Sameer- Bhul gayi mera Challenge.

Naina- Challenge..mujhe toh koi challenge nhi yaad aa rha.

Sameer- Acha..aisa hai toh abhi yaad kara deta hoon.

Sameer(to Vishakha)- Arey Maa, kya kar rhe ho aap.

Vishakha- Shaam ko le jane ke liye Gifts dekh rhi thi.

Sameer(to Vishakha)- Maa aapne isme Dry Fruits nhi rakhe.

Vishakha- Rakhe toh hai yeh dekh..

Sameer- Oh haan..rakhe hai..par isme Kisssmish nhi dikh rhi.

Naina- Sameer tum..

Sameer- Kisssmish khani hai.

Vishakha- Kiska phone hai.

Sameer- Maa..meri ek Teacher ka phone tha. Unhe Kisssmish bahut pasand hai..toh main unhe keh rha tha ki main khud Sagaai ke baad unka mooh meetha karwayuga.

Vishakha- Haan haan jarur karana. Main alag se rakh deti hoon teri Teacher ke liye.

Sameer(to Naina)- Ab toh khush ho, Maa ne tumhare liye alag se rakh di hai Kisssmish.
Waise yaad aa gaya mera challenge ya...

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें