Do pal ruka Khwabaon ka Karwaan

592 86 13
                                    

Kitni dooriyaan aayi, kitni dooriyaan layi gayi par rhi toh sirf nazdeekiyaan. Sameer aur Naina us waqt aise dorahe par aa khade hue the jahan woh apni mohabbat ke khwab  toh dekhna chahte the par un khwabaon ka karwaan unki zindagi mein sirf do pal hi ruk paye, khaskar Naine ke khwab.

In Naina's Home
Bela- Naina bhagwan jhuth na bole tu ab tak taiyar nhi hui. Kitni der lagayegi, shaadi ke liye late ho jayege na.

Naina- Bas ho gaya Mummy chalo main taiyar hu.

Anand- Aaj toh bahut sundar lag rhi hai meri Naina.
(to Bela)- Humari beti kitni badi ho gyi hai na Bela.

Bela- Ji bilkul shi keh rhe ho aap.
Kal ki hi toh baat thi jab yeh humari godi mein thi aur dekhiye aaj kitni pyaari lag rhi hai jaise koi dulhan ho.

Naina- Ab aap logon ko late nhi ho rha.

Anand- Arey iske andar ka Hitler jaag gaya chalo ab jaldi.

Poori family gaadi mein baith jati hai aur Shaadi ke liye Mussoorie ke liye nikal jati hai.
Ji haan vhi Mussoorie jahan Naina Sameer ek sath gye the apne school trip par.

Naina Car ke back seat par baithi hoti hai aur bahar ke nazaro mein khoyi hui hoti hai.

Naina(to herself)- Aaj bhi in vaadiyoon ko jab bhi main mehsos karti hu toh sirf tum hi mujhe dikhte ho Sameer, sirf tumhara hi ehsaas mujhe hota hai.
Jab school trip par pehli baar tumhare sath aayi thi tab toh humare rishte ka koi naam bhi nhi tha par aaj Bepanah Pyaar hai.
Tumhara naam Sameer shi hi rakha gaya hai; Hawa ke jhokhe jaise tum meri zindagi mein aaye aur meri zindagi mein ishq ke rang ghol gye.
Jitna tumhare baare mein sochti hu utna tumse pyaar kar baithti hu.

Yeh hi sochte sochte uske chehre par ek muskaan aa jati hai.

Bela- Naina...naina..

Naina- Han mummy.

Bela- Chal Mussoorie aa gya. Yahi par hai shaadi.
Waise kitna lamba safar tha na.

Naina- Nhi toh..
(to herself)- Abhi toh Sameer ke baare mein sochna hi shuru kiya tha aur dekho yeh Mussoorie aa bhi gaya.

Bela- Han tujhe kabhi koi safar lamba lagta bhi hai.
Chal ab andar.

Naina's VO
Shi toh keh rhi thi Mummy ki mere liye yeh safar bahut chota sa tha kyuki Sameer jo tha mere sath.
Beshak haqeqat mein nhi tha par na hote hue bhi woh hamesha mere sath tha.
Aaj tak aisa koi safar nhi jeeya maine jahan maine Sameer ko yaad na kiya ho. Jahan uske hone ka ehsaas mujhe na hua ho. In fact bachpan se lekar aaj tak har safar mein chahe woh mere sath ho ya na ho woh mere dil mein hamesha maujud rha hai. Har pal sirf uska hi khyaal aaya hai. Aakhir yeh hi toh humare pyaar ki daastaan hai.

Otherside at Sameer's Home

Sameer(loudly)- Naina...

Tabhi Sameer apni neend se jagta hai ya yuh kahe toh ek bure khwab se darr ke uth jata hai.

Sameer(to himself)- Yeh kya dekha tha maine. Naina....
Kitna hurt thi Naina woh bhi sirf meri wajah se.
Maine uska dil toda, use aansu diye, use dard diya.
Aisa kaise hone de sakta hu main. Nhi, kabhi nhi hone dunga aisa main. Is sapne ko kabhi sach nhi hone dunga.
Kya ho gaya agar main humare beech dooriyaan nhi la paya par ab main aur nazdeekiyaan bhi nhi aane dunga. I promise Naina main tumhe kabhi hurt nhi karuga. Kyuki ab main humare beech Dard ka rishta bhi nhi rahega kyuki ab Pyaar ka rishta hi nhi hoga.
I love you but We can't be together Naina. Can't..
Hum toh woh do raaste ban chuke hai Naina jo hamesha sath chal toh sakte hai par kabhi bhi ek dusre se mil nhi sakte.

Otherside at Wedding Venue
Naina(to herself)- Kitne sundar lag rhe hai yeh dono dulha dulhan.
Kab aayega woh pal Sameer jab hum bhi yeh moment feel kar payege. Is ehsaas ko ek din jee payege.
Janti hu humari umar abhi bahut choti hai par mere yeh khwab bhi toh bahut chote se hi hai. Sirf tum, tumhara sath, tumhara vishwas, tumhara pyaar bas yeh hi toh hai mere chote se khwab.

Sameer aur Naina dono ne khwab dekhe the beshak alag khwab the. Aur inme se ek ka khwab toh jald hi sach hone bhi wala tha.
Ek ne khuli aankhon se khwab dekha tha toh dusre ne bandh aankhon se. Ek ne apne milan ka khwab dekha toh dusre ne judaai ka khwab dekha. Ek ke chehre par khwab dekhne ke baad muskurahat thi toh dusre ke chehre par dard. Ek apne pyaar ke aur kareeb aa rha tha toh dusra apne pyaar se bahut dur ja rha tha.

Naina's VO
Kya ho gaya tha mere Sameer ko. Kisi se nhi darne wala Sameer us waqt darr rha tha. Woh darr rha tha mujhe khone se, woh darr rha tha mujhe hurt karne se, woh darr rha tha pyaar mein hone se, woh darr rha tha humare judaa hone se.
Par kyu?
Aur waise bhi kehte hai na jahan pyaar hota hai, wahan vishwas hota hai, aur jahan vishwas hota hai wahan darr nhi ho sakta.
Aisa nhi tha ki Sameer kamjor tha ya uska pyaar kam tha.
Balki uska ishq toh mujhse bhi zyada tha tabhi toh mujhe dukh dene ke baare mein woh soch bhi nhi sakta tha.
Par woh yeh kaise bhul gaya ki mujhe sabse zyada dukh, sabse zyada dard uske dur rehne se hi hoga.

Sameer's VO
Sab badal rha tha, main, meri mohabbat, meri soch, meri feelings, sirf isliye ki Naina khush rhe. Kyuki uski ek khushi ke liye main hazaar sitam bhi sehne ko taiyar tha. In fact aaj bhi hu.
Uski ek khushi ke liye maine apni har khushi kurbaan kar sakta tha. Par main yeh bhul gaya ki uski khushiyaan meri khushiyon se bandhi hui hai.
Main ya mera pyaar kamjor nhi tha bas tab halaat hi aise ho rhe the ki dooriyaan humare beech aane lagi thi. Pehle woh Romeo Juliet ki anokhi prem kahani, phir us kahani ko apni kahani se jodna, phir Naina ki aankhon ke aansu aur un aansuon ke peeche mera diya hua dard, aur phir mera woh bura khwab.
Yeh sab andar hi andar mujhe tod rha tha, par main Naina ko tootte hue nhi dekh sakta tha.
Tabhi toh usse dooriyaan bnane ki koshish kar rha tha, ya yuh kahiye nakamyab koshishe kar rha tha.

Itne saalon ki dosti, itne saalon ka pyaar, sab badal rha tha. Sirf ek hi saal mein. Tabhi toh kuch dinon mein hi itne saalon ke rishte ki neev hil gayi thi.

तेरे लिए।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें