Biwi No. 1

277 58 74
                                    

Ek ghar sapno ka
hum bhi banayege,
Us ghar mein deep prem ka
hum bhi jalayege.
Ek raasta preet ka
hum bhi sajayege,
Us raaste mein ped pyaar ke
hum bhi lagayege.
Ek baag ishq ka
hum bhi mehkayege,
Phool anuraag ke
hum bhi khilayege.
Ek suhani shaam tere saang
hum bhi bitayege,
Bin bole ek dusre ki baat
hum bhi samajh jayege.
Ek haath tumhari taraf
hum bhi badhayege,
Thaam lena tum use warna..
hum bikhar jayege.

Rishte chaand ke jaise hote hai..kabhi amavas ki tarah dhundle pad jaate hai toh kabhi poornima ki tarah chamakdaar ban jaate hai. Sameer aur Naina ke woh rishtey jo dhund se chatkar ab phir se chamakne lage the.

With the dawn of a new day, Naina tries to wakes up but finds herself engulfed within Maina's arm from one side and with Prem's arm from the other. Moreover, her hand was clutched firmly in the hold of Sameer. Felt content on seeing her family completed once again.

Naina(to herself)- Meri is choti si family ko humesha aise hi mujhse jode rakhiyega Gannu Ji. Kyuki yeh hai toh main hoon. Ab aur koi durri mat aane dena humare darmiyaan.

Naina's VO
Aap soch rhe honge ki us subah mein aisi bhi kya khaas baat thi..lekin khaas thi woh subah, kaafi intezaar ke baad jo mujhe naseeb hui thi. Mera parivaar, Mere bacche, Mera Sameer..ek baar phir se sab mujhse judd gaye the.
Ab raat ki khamoshi sirf tab tak hi hoti hai, jab tak savera angdai nhi le leta. Usi tarah khawabo aur khwaisho ke darr par, honsle aur umeed dastak de hi jaate hai. Aisi dastak jiske aate hi meri har gustaakhi peeche chut gayi thi aur rishto ki roshni andar aa gayi thi.
Par..abhi ek dastak aur baki thi, baki tha abhi kisi aur ka bhi aana, baki tha abhi kisi aur ka humare parivaar mein jud jana. Shayad ek aur naya mehmaan. Woh naya mehmaan nhi jo aap soch rhe ho, balki woh mehmaan jiske baare mein maine kabhi nhi socha tha.

Sameer- Kyu andar bahar chakkar kaat rhi ho Naina. Aa jayege bacche School se..aadha ghanta toh late hue hai sirf.

Naina- Vhi toh aadha ghanta..School Bus toh kab ki nikal chuki hai School se. Pucha na abhi Phone karke. Dekh kar aao na Sameer.

Suddenly the doorbell rings. Naina hurriedly goes to open the door. But gets stunned on the scene in front of her eyes, and she hides herself behind the Sameer.

Naina- Sameer bachao..

Sameer- Princess, Prem yeh kahan se le aaye.

Maina- Papa yeh Puppy kitna pyaara hai na.

Prem- Papa yeh humari School Bus ke neeche aane wala tha..par Maina ne ise sahi waqt par dekh liya aur bacha liya. Ise thodi chot lagi thi, isiliye hum ise yahan ghar par hi le aaye.
Humne sahi kiya na.

Looking at the scared face of Naina, and then at the small puppy in Maina's arm, he thought for a while but then noded his head in affirmation.

Naina- Sir kya hila rahe ho Sameer. Kya theek kiya hai inhone. Tum jante ho mujhe Dogs se kitna darr lagta hai.

Maina- Par Mumma yeh Dog kahan hai, yeh toh Dog ka baby hai. Woh bhi kitna cute.

Naina- Pehle toh tum ise neeche utaro. Haath mein kyu uthaya hua hai ise..kaat gaya toh.

Maina- Offo..nhi kaatega Mumma.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें