Jeet jayege hum..Agar tu sang hai

645 105 14
                                    

Sameer Naina ki kahani ab us padaav par aa chuki thi jahan unhe apne Pyaar ki ladai sirf khud se hi nhi ladni thi balki apne pyaar ke dushmano se bhi ladni thi.

Jahan ek taraf Naina apni bimari se lad rhi thi vhi use ek jung Kartik Sunaina se bhi ladni thi. Par aisa nhi tha ki is ladai mein woh akeli thi, Sameer tha uske sath par kya woh apni Naina ko is ladai mein jeeta payega.

In Classroom
Naina- Preeti next games ke period mein main niche ground mein nhi jayugi.
Abhi bhi bhukhar sa lag rha hai toh main yahan thoda aaram kar lungi.

Preeti- Phir main yahin ruk jati hu. Tera dhyaan rakh lungi.

Naina- Pagal hai kya tu. Tera mann hai na khelne ka toh tu ja.

Preeti- Phir tu chal mere sath neeche.

Naina- Na Preeti mujhe toh bas thakawat ho  rhi hai kuch kiya ni ja rha isliye thoda rest kr lungi yahan par.

Preeti- Chal theek hai.

After Class
Sab bachhe khelne ke liye ground mein chale jate hai siway Sunaina aur Naina ke.

Mam- Sunaina ek kaam karo yeh saari notebooks niche staff room mein rakh aao.

Sunaina- Mam main?

Mam- Han..koi problem hai kya.

Sunaina(to herself)- Yeh acha mauka hai is behenji ko tang karne ka.
(to Mam)- Mam woh main yeh question solve kar rhi thi toh aap Naina ko bol dijiye. Woh ache se rakh bhi aayegi.

Mam- Hmm..Naina suno yeh notesbook niche rakh aana.

Naina- Theek hai Mam.
(to herself)- Hey bhagwan ab itni notebooks mai kaise leke jayugi woh bhi 2 floors niche.
Upar se tabiyat bhi shi nhi hai.

Mam and Sunaina goes from the Class.

Naina- Uff..kaise uthayu.

Someone- Lao mujhe do Naina.

Naina- Tum Sameer.

Sameer- Aise kyu hairaan ho rhi ho jaise koi bhoot dekh liya ho.
Ab lao yeh notesbooks mujhe do main le jata hu waise bhi main usi taraf ja rha tha.

Naina- Nhi Sameer main kar lungi.

Sameer- Main keh rha hu na.

Naina- Toh main bhi keh rhi hu na.
Waise bhi mam ne yeh duty mujhe di h toh tum mera kaam kyu karoge.

Sameer- Toh yeh baat hai.
Toh lo ek notebook pakad lo aur ise rakh aao baki main le aayuga. Aise tumhari duty bhi poori ho jayegi.

Naina- Matlab tum nhi manoge.

Naina- Bilkul nhi.

After keeping all the notebooks in staaf room.

Sameer- Naina.

Naina- Han bolo.

Sameer- Woh tum ab niche aa hi gyi ho toh tum ground mein chali jao isse Preeti tumhara khayaal bhi rakh payegi.
(to himself)- Aur main bhi.

In Ground
Preeti- Aa gyi tu Naina.
Yeh chamatkar kaise. Mere bulane par toh ayi nhi thi.

Naina- Arey woh Sam..wo..woh samaan dena tha mam ka kuch isliye aa gyi.

Preeti- Chal main wahan khel rhi hu tu aaram kr.

Naina- Hmm.

Tabhi Kartik ki nazar Naina par padti hai.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें