Haste Haste Kat Jaaye Raste

322 68 85
                                    

Nazar ko badlo toh
nazare badal jate hai,
Soch ko badlo toh
sitare badal jate hai,
Kashtiyaan badalne
ki jarurat nhi..
Disha ko badlo toh kinare khud-b-khud badal jate hai.

Nayi shuruat kisi shubh muhurat ki mohtaaj nhi hoti..bilkul jaise tajurbe khaas hote hai, tareekhe khaas nhi hoti. Ek nayi nazar naye sire se judne wali thi Sameer Naina se jahan unki khasiyate aur khamiyaan hi unki pehchaan banne wali thi.

Naina's VO
Ek naye safar par nikal pade the main aur Sameer. Mumbai ko apnane ka safar, ek nayi shuruat karne ka safar jisme manzil ka ilm toh nhi tha par haan raste haste haste jarur paar karne the.
Yeh farsh se arsh tak ka safar hone wala tha, bagawat se ibaadat tak ka safar, intehaan se ibtida tak ka safar, khalish se tasaali tak ka safar.. Sameer aur Naina ka safar.

Naina was sleeping peacefully on their floor bedding but stirs as feels someone was setting her messy hairs. She rubs her eyes but layed back.

Sameer- Naina..uth bhi jayo ab. Chai thandi ho rhi hai.

Naina- Mujhe bahut neend aa rhi hai Sameer.

However the next moment, she wakes up with a jerk.

Naina- Tumne chai banayi. Tumhe mana kiya tha na maine ki apne haath aur per ka dhyaan rakhna. Toh phir kya jarurat..

He keeps his finger on her lips.

Sameer- Jarurat thi..ab tum toh apne haath ki chai peeti nhi, toh phir mujhe toh banani padegi na. Ab pi lo varna dobara garam bhi mujhe hi karni padegi.

She takes a sip, relishes the taste and smiled with contentment.

Sameer- Itni pasand aa gayi kya chai..jo itna khush ho.

Naina- Tumhari har choti si choti koshish meri badi si badi muskuruhat ki wajah ban jati hai.

Sameer- Matlab..
Ek minute..kahin tum vapis na jaane ke baare mein toh nhi soch rhi. Naina kal decide ho chuka tha na ki hum 28 din baad yahan se vapis jayege..ek din toh beet bhi chuka hai, bas 27 din aur.

She didn't respond to him and just gets up.

Sameer(to himself)- Pata nhi ab iske dimag mein kya chal rha hai. Par jo bhi chal rha ho..vapis toh hum jayege hi. Beshak wahan Rishikesh mein hum apni alag duniya basaye par kum se kum woh shehar anjaana nhi hoga.
Bas kuch din aur Naina.

She starts humming a song, breaking his chain of thoughts.

Aanewala pal janewala hai,
Aanewala pal janewala hai.
Ho sake toh is mein,
Zindagi bitaa do..
Pal jo yeh janewala hai.

As every silver lining tries to preclude the dark clouds, she was also trying to remove every negatory thoughts from him.

Later, Chintu comes for his tuitions with a small girchild of about 5-6 years old.

Naina- Arey..yeh itni cute si bacchi kon hai.

Chintu- Didi..yeh meri choti behan hai..woh Mummy Papa ghar par nhi the toh main ise apne saath hi le aaya.

Naina- Acha kiya..Chintu meri ek help karoge.

She whispers something into his ears. Hearing that, he goes straight to Sameer.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें