Dil Toh Pagal Hai

588 109 117
                                    

Express before it's late,
Love before it's gone,
Feel before it's ends,
Hold before it's leave.

Aagaz hua tha ek mulaqaat se, phir Dosti hui, Dheere dheere pyaar ka ehsaas hua, Lambi Judaai ka daur bhi aaya tha, phir se mulaqqat hui, phir aashiqui hui, par is baar iqraar bhi hua tha, lekin ab aage kya..shayad ishq ka rang abhi chadna baki tha, pyaar mein pagal hona abhi baki tha, mohbbatein nhi sirf ek mohabbat hona abhi..baki tha. Woh mohabbat jo roz ho par har baar ek hi shaks se ho. Jahan Dil toh ho, par pagalpan se bhara hua ho.

In Bus
Naina- Sameer..ghar aane wala hai. Ab tum aur main alag..

Sameer- Kuch mat kaho.

Naina- Sameer..

Sameer- Naina..

Naina- Sirf do shabd kehne hai.

Sameer- Kaho.

Naina- I Love You..

Sameer- Par yeh toh teen shabd hai, Buddhu. Aur tum mujhe buddhu kehti rehti ho.

Sh stares him.

Naina- Kyuki tum ho buddhu aur humesha rahoge.
'You' and 'I' count as one. Isliye hue na yeh do shabd, samjhe mere buddhuram.

She tightens the grip of her fingers with his, while looking into his eyes.

Sameer's VO
Aaj bhi mujhe us lamhe se pyaar hai, jab pehli baar vakai mein hum dono ek dusre ke saath the.
Naina mein kitna pyaar hai yeh mujhe tab pata chala tha. Sometimes the girl who has been there for everyone else, needs someone to be there for her.
Jaise use pata tha ki mujhe us waqt usse alag ho jane ke khayaal se hi kitna darr lag rha tha. Haan, lekin use yeh bhi pata tha ki uske woh teen shabd..nhi nhi uske do shabd kaafi the mera darr bhagane ke liye. Zindagi mein aise insaan ka hona bahut jaruri hai jisko dil ka haal btane ke liye lafzo ki jarurat na pade.
Aur mere pass tha woh insaan; meri humsafar, mere us safar ki manzil..meri Naina. Kehte hai zindagi ka matlab daud mein nhi rakha hai, woh darasal thehraav mein basti hai. Aur zyada daudne se manzil peeche chhut jati hai.
Us din waqt ko guzarte dekh mujhe pata chala ki zindagi thami hui bhi bahot khoobsurat lagti hai, khaskar tab jab aapki zindagi ne aapko thamke rakha hua ho, aapka haath pakada hua ho.

After a long journey, both return to their respective homes.
But this time, both of them had brought a lot of happiness, a lot of hopes and a lot of love with them.

In Night at 09:00pm
Sameer gets a call from an unknown number.

Sameer- Hello.

Someone- Aaj khush toh bahut hoge tum.

Sameer- Who's this?

Someone- Jo chahte the woh mil hi gaya tumko.

Sameer- Kon bol rha hai.

Someone- Tumhara Well-wisher yani Shub chintak.

Sameer- Toh mere is Well Wisher ka koi naam hai ya main ise Naina kehke bulao.

Naina- Tumne pehchaan liya mujhe.
Itni aawaaz badli phir bhi..

Sameer- Yeh aawaaz toh sirf kaano ke liye hai Naina, tumhari toh khamoshi bhi kaafi hai mujhe tumhari rooh ko pehchanne ke liye.
Ab kuch bologi ya sirf yeh khamoshi hi sunayogi.

Naina- Woh..main..
Woh wahan Mount Abu mein Phone chori ho gaya tha, toh yeh naya number liya tha toh socha iska tumse hi inauguration karwa lu.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें