Safar aur mera Humsafar.

728 106 28
                                    

Kuch toh socha hoga qismat ne Sameer Naina ke baare mein, Warna itni badi duniyaa mein dobara mohabbat kahan milti hai. Ek aise safar mein jisne inhe ek dusre ka humsafar bna diya.

Naina's VO
Us pal mein Sameer ko dekhke mujhe aisa laga jaise mujhe sab mil gaya ho. Kaisa lagta hai na aankhein bandh karke jo aap sapna dekh rhe ho woh khulte hi achanak se poora ho jaye. Tab mujhe bhi aisa hi lag rha tha. Main mumbai ko toh chod aayi thi par Sameer ko apne dil mein le aayi thi, is umeed ke saath ki ek na ek din use jarur dekh payugi. Par mujhe nhi pata tha ki sapne itne jaldi sach ho ajate hai. Aur jaise hi aankhein khuli woh mere samne tha haqeqaat banke. Uska us flight mein aana mere liye kisi lottery jeetne se kum nhi tha. Aisi lottery jisme zindagi bhar ki khushiyaan jeeti thi maine us din.

Naina- Lo ab toh flight bhi takeoff ho gayi. Ab btayoge tum yahan kya kar rhe ho.

Sameer- Han han bta rha hoon. Tumhari wajah se.

Naina- Meri wajah se? Maine kab kaha ki tum mere saath aayo.

Sameer- Bhul gayi tumne hi toh kal raat woh chai ki tapri par kaha tha ki Problem ka best solution use face karne mein hota hai, avoid karne mein nahi.
Isliye mujhe laga ki kab tak aise problem se bhagta rahuga. At last, I have to face it. Isliye socha face karne ke kiye vapis Rishikesh ko toh face karna hi padega.

Naina- Tumne bahut acha decision liya Sameer. Main bahut khush hoon.

Sameer- Main bhi.

Naina- Lekin ek minute aise achanak se. Woh bhi meri wali flight mein hi, meri saath wali seat.

Sameer- Tum shi mein ek number ki khadus Teacher ho Naina. Kitne sawaal puchti ho.

She angrily glares at him.

Sameer- Dekho khadus teacher ki tarah ghurti bhi ho. Acha bta rha hoon.
Tumhare in saare sawaalon ka jawab tum khud hi ho. Mujhe laga ab teacher ne padha toh diya hi hai toh exam mein bhi mere saath honi chahiye na.
Toh Dogi na mera saath Rishikesh tak?

Naina- Haan.

Sameer- Aur rhi baat tumhate saath wali seat ki. Toh iske liye toh Airport counter par mera charm hi kaafi tha.

Naina- Accha Ji.

Sameer- Haan ji.

Naina- Aise hi izzat se ji bola karo

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Naina- Aise hi izzat se ji bola karo. Warna pata nhi kaise ulte seedhe naam rakhte rehte ho mere. School mein bhi yehi karte the. Khadus, Nakchadi, Chashmish, Moti.

Sameer- Toh sach toh hai. Dekho tum kitni khadus aur nakchadi ho yeh toh sab jaante hai. Aur tum chashma bhi paati ho toh hui na chashmish. Aur moti...(laughs)

Naina- Haas kyu rhe ho.

Sameer- Ab tum kitni moti ho, yeh toh mujhe btane ki jarurat nhi hai. Dekho abhi bhi gusse se gaal kaise gubaare ki tarah phul gaye hai.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें