Zindagi Ki Kahani

511 111 70
                                    

Everyone has a Story to tell, Everyone is a Writer,
Some are written in the Books,
Some are confined to Hearts.

Zindagi ki kitaab mein, kab kisi ki kahi hui...kuch baatein, kab kisi ke diye hue...kuch ehsaas, kab kisi ke saath beete hue..kuch lamhe; zindagi ki kahani ban jaye pata hi nhi chalta. Aur aisi kahani jiske kirdaro ki mohabbat muqammal ho ya nhi, unki kahani humesha muqammal hoti hai...phir chahe woh is jahaan mein ho ya us jahaan mein.

In Naina's House
Naina- Papa yeh Cheque rakh lijiye. Woh maine College se apna PF aur Savings withdraw karwayi thi.

Anand- Naina, beta yeh tum mujhe kyu de rhi ho. Arey teri shaadi ke liye jode hue hai maine paise. Yeh teri mehnat ki kamayi ise tu apne Future ke liye rakh.

Naina- Rakh lijiye na Papa Please. Kya pata kabhi kaam aa jaye.

Anand- Aisi koi jarurat kyu aayegi. Aur tu hai na mere pass, kisi bete se kum thodi hai humare liye.

Naina- Haan. Woh Papa ek Urgent Mail karni hai main abhi aayi.

She leaves the cheque there and goes to her room. After closing the door, hiding her face in the palms, starts weeping silently.

Naina(to herself)- Nhi hoon main aapka koi beta, Papa. Koi farz nhi nibha pa rhi main apna, aapki koi umeed poori nhi kar payugi main kabhi.

Bela- Naina khana lag gaya..aaja.

Naina- Aa..aayi Mummy.

She cleans her tears and comes out with a smiling face.

Anand- Arey wah aaj saara khana Naina ki pasand ka.

Bela- Jee, ab shaadi tak roz iski pasand ka hi bnayugi sab kuch. Uske baad pata nhi mauka mile ya nhi.

Naina pulls her mother and starts crying by hugging her.

Naina- Mumma..
Nhi jaana mujhe aapko chodkar.

Anand- Bela kya jarurat thi abhi se bidaai ki baat karne ki. Rula diya na tumne meri beti ko.

Bela- Naina dekh tere Papa kya keh rhe hai. Acha chal aaj main khud khilati hoon tujhe khana.

Anand- Nahi, main khilayuga aaj apni beti ko.

Bela- Naina bol apne Papa ko ki aaj tu apni Mummy ke haath se khayegi.

Anand- Mere haathon se khayegi meri gudiya. Haina.

Naina- Aap dono ke haathon se khayugi.

They both feeds her with their hands with all love and affection.

After a while Naina stands in front of the mirror in her room and is thinking something.

Naina(to herself)- Khud se toh nazre mila nhi pa rhi, kal jab tum vapis aayoge Sameer toh tumse kaise milayugi. Kaash..kaash yeh kaash kabhi aaya hi nhi hota toh kaash hum kabhi dobara mile hi nhi hote. Jinhe zindagi mein kabhi khona nhi chahti thi, aaj vhi rishtey haath se ret ki tarah chutt rhe hai. Na jane kis baat ka badla le rhi hai yeh zindagi mujhse, jise sabse zyada chaha usi se durr rehne ki sazaa de rhi hai.

Then she sees her own shadow, her own illusion in the mirror.

Her Reflection- Reh payogi durr usse. Kya woh reh payega. Sab khwaab tod diye tumne uske, sab sapne, sab khwaishe. Bas ab uska dil mat todna. Bikhar jayega woh. Kaise sambhalega khud ko. Khud se toh kabhi mohabbat kar nhi payi kabhi, bas uski mohabbat se mohabbat kar lena. Uski vhi purani Naina usse mat cheenna.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें