Hum Toh Dil Se Haare

559 103 61
                                    

Tera Mera Rishta kya,
Tune ab tak socha kya?
Kagaaz bheega ashko se,
Isse zyada likha kya.
Isse zyada kaha kya,
Ki dil ki har baat bayaa,
Un Kasme-Vaado ka kya,
Saath dekhe sapno ka kya.
Tera kaha sir aankhon par
Par bol..Tera Mera Rishta kya?

Ek pal lagta hai rishta judne mein aur ek hi pal lagta hai use tootne mein. Lekin saalon lagte hai use bnaye rakhne mein. Aur yeh baat Sameer aur Naina se behtar koi nhi jaan sakta. Jinhone pyaar ko bante bhi dekha hai aur bikharte bhi.


After Engagement, At Sameer's House
Sameer- Maa, main Nani aur Mamaji ko Dehradoon Airport par chod aaya hoon. Wahan toh mausam bhi shi tha toh ab tak toh unki Flight bhi take off kar gayi hogi.

Sameer sees everyone's blank faces.

Sameer- Kya hua, kuch baat hai kya.

Prabha- Woh toh tujhe zyada pata hoga Sameer.

Sameer- Kehna kya chahte ho aap.

Vishakha- Tu Naina ko kab se janta hai.

Sameer- Maa, yeh aap..aap jaante ho na ek hafte pehle hi hum dono..

Vishakha- Sirf Sach sunna hai mujhe, is baar teri koi kahani nhi.

Sameer- Maa..meri baat toh suno pehle.

Vishakha- Kab se janta hai tu use.

Sameer- 15 saal se, School ke time se.

Prabha- Dekh liya didi, main sach keh rhi thi ki yeh dono sirf humare saamne natak kar rhe hai. Love Marriage ko Arrange Marriage ka naam dekar humare saath khilwad kar rhe the. Acha hua woh toh maine in dono ki baatein Sagai ke baad sun li thi.
Ab toh vishwas ho gaya aapko meri baat ka.

Vishakha- Pasand karta tha us ladki ko toh yeh drama karne ki kya jarurat thi. Yeh jhooth bolkar rishta jodna, hum sab ko bewkoof bnana, hume dhokha dena, humare bharose ke saath khelna. Yeh sab kya tha Sameer.

Sameer- Maa aap aisa kyu rhe ho.

Prabha- Didi apne Sameer ko kehke kya fayda. Yeh sab us ladki ka hi kiya dhara hoga.

Sameer- Naina naam hai uska.

Vishakha- Sameer, kya galat keh rhi hai Bhabhi. Jo ladki is ghar mein kadam rakhne se pehle itna bada jhooth bol sakti hai, tujhse yeh jhootha natak karwa sakti hai. Woh aage jakar na jane kya kya karegi.

Vivek- Jab apna hi sikka khota ho Vishakha, toh us bahar ki aayi ladki ko kya dosh dena.

Prabha- Arey pata nhi kab se ise fasa rakha hoga apne jaal mein.
Yahan tak ki Mummy Ji ko bhi.

Sameer- Nani ko beech mein lane ki jarurat nhi hai, unhone jo kiya mere liye kiya. Aap logo ki tarah nhi hai woh, hume samajhti hai, humare pyaar ko samajhti hai.

Prabha- Pata nhi kya jaduu kiya hua hai jo tab se yeh usi ki bhasha bole ja rha hai. Main toh kehti hoon Didi, abhi bhi der nhi hui hai.

Sameer- Der nhi hui hai matlab.
Chahte kya hai aap log.

Vishakha- Apni Sagaai ki Angoothi nikal.

Sameer- Kyu?

Vishakha- Yeh Rishta nhi ho sakta ab. Main kal hi vapis kar aayugi un logon ko. Aise jhoothe logon ke saath mujhe koi rishta nhi rakhna.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें