Dekha Ek Khwaab

376 65 137
                                    

Main raat likhu,
Main har baat likhu,
Main durri bhi likhu,
Main har mulaqaat bhi likhu.

Main reet likhu,
Main geet likhi,
Main usi ko bas apna,
Main manmeet likhu.

Main apna khayal likhu,
Main apna haal likhu,
Main apne har ashk mein,
Main use hi apna rumaal likhu.

Main bure waqt ka sabar likhu,
Main jazbaaton ki kabar likhu,
Main apni har shayari mein,
Main bas usi ki khabar likhu.

Main bura likhu,
Main acha likhu,
Main jo bhi likhu,
Main apna jazbaat sacha likhu.

Main ab likhu,
Main jab likhu,
Main tumko hi apna,
Main toh rab likhu.

Main alag likhu,
Main aakhri saans talak likhu,
Main tumhari hi talab likhu,
Main jahan milu tumse..use main falak likhu.

Main tumko khaas likhu,
Main apne dil ke pass likhu,
Main tumko itna likhu,
Main jaise koi kitaab likhu.

Kehte hai jo apni soch ko kalam ki jubaan se keh paya, woh laakhon jahno tak pahunch paya, aur karoda labo se bol hai paya. Aisi hi ek kalam ko intezaar tha uske kore kagaaz ka, dil ki dastaan ko alfaazo ke afsaana baane ka, Sameer Naina ke undekhe khwaabo ke muqamaal hone ka.

Naina- Sameer tum Prem ke kapde nikal do, main tab tak taiyar hokar aati hoon..phir Picnic par bhi toh jana hai.

Few minutes later, as she came back after a bath finds Sameer and Prem were sleeping engulfing each other.

Naina- Khud Picnic ka Plan banate hai aur khud hi so jate hai. Ab toh ho gayi in dono ki Picnic.

She removes Prem's specatacles from his eyes, covers both of them with the duvet and after switching off the light of the room, she goes for completing her pending household chores.
After finishing all her works, she  comfortably sat down on the Balcony Swing with her Diary. First she ran her fingers on its cover page, on 'Tere Liye' title with a smile plastered on her face, then picks up a pen and start penning down whatever came in her heart.

Aaj bahut dino baad tumhari yaad aayi hai na, shayad waqt hi nhi nikal payi khudse baatein karne ke liye par kya karti pichla poora hafta Prem aur uske naye school ke ird gird mein hi beet gaya. Lekin aaj bahut kuch likhna chahti hoon, kitni saari baatein karna chahti hoon tumse.
Ab tum sirf ek aam si kitaab thodi ho mere liye, tum toh woh kuch safed panne ho jinme main apne dil ke rang bhar deti hoon. Kuch kisson ko ek ek karke chunti hoon aur phir unhe shabdo mein samet deti hoon. Kuch yaadon, kuch baaton ko apne safar ki ek taar mein bas yuh hi jod deti hoon. Tabhi socha ki usi safar ko aaj tumse..

Her trance brokes with the Prem's voice.

Prem- Mumma..kahan ho..

Keeping the diary there on the swing, she goes to Prem.

Naina- Toh uth gaye tum dono.

Sameer- Naina..

Prem- Mumma..

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें