Aaye Ho Zindagi Mein Bahaar Banke

630 94 101
                                    

Happy New Year!
Sending good vibes your way this new year's day..
________________________

Kehte hai vaadon se badi
koi reet nhi hoti,
Bina shabdo ke
koi dhun ki geet nhi hoti,
Ishq ki dastaan yuh hi
khatam nhi hoti,
Ek Lekhika ki kahani aur
Ek Kavi ki Kavita
kabhi poori nhi hoti,
Haan yeh Kahani aur Kavita abhi adhoori hai,
Abhi aur bhi likhna jaroori hai.

Ek nayi shuruat hone wali thi, shayad ek nayi zindagi ki, shayad ek naye rishte ki, shayad ek naye pyaar ki, shayad Sameer Naina ki kahani ke agla padaav ki. Dosti dekhi, Mohabbat dekhi, Judaai dekhi, Milan ki ghadiyaa bhi dekhi..ab baari thi zindagi aur uski baharo ko dekhne ki.

Sameer holds Naina's hand and makes her come down from the palanquin.

Sameer- Naina..lo aa gaya tumhara Sasural..tumhara ghar.

She bends down and touches the doorstep of her new house before taking the first step, in the same way as she did when she left her house.

Sameer(to himself)- Bina kuch kahe aaj tumne mujhe Ghar aur Makaan mein fark samjha hi diya Naina.

He does the same and touches the doorstep.

Naina- Sameer..tumne yeh kyu..

Sameer- Tumne bhi toh kiya.

Naina- Maine toh isiliye kiya kyuki Shaadi ke baad pehli baar apne naye ghar mein aa rhi hoon, tumhari Patni banke.

Sameer- Toh main bhi toh pehli baar aa rha hoon, tumhara Pati banke.

That's when everybody comes out to welcome the new bride.

Swati- Bhabhi, kab se intezaar kar rhe hai hum sab aapka, chaliye andar.

Nani- Ruk ja, pehle Griha Pravesh toh hone de teri Bhabhi ka.

Vishakha comes forward applies a Tilak to both and then do their Aarti.

Vishakha- Naina beta ab is Kalash ko girakar andar aao.

She first push kalash filled with rice with her right toe and makes her entry into the house, signifying that the family has not only welcomed the bride into their house but has also accepted her as one of the integral member of their family.

Vishakha- Ab is Alta mein apne per rakhke aage badho.

Naina holds her heavy Lehenga and steps into a dish with Alta, seeing her difficulty Sameer holds her hand to help her.
Holding his hand, she smilingly walk into the home leaving behind auspicious red footprints.

Nani- Jaanti hai beta aisa kyu karte hai, kyuki Ghar ki Bahu ghar ki Lakshmi ka roop hoti hai.

Sameer- Aur ghar ka beta Nani.

Nani- Woh us Lakshmi ka umar bhar khayaal rakhne wala hota hai.

Swati- Yani ki Bodyguard Bhai.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें