Silsila

386 74 87
                                    

Waqt ko waqt se
mila dena tum,
Khoyi manzil mujhe
dikha dena tum.
Chahat tumhari hai
vaadon se upar,
Kehna nhi bas
jata dena tum.
Ashko mein kitni
kahani chupi hai,
Ek din sabko
bata dena tum.
Rahat, chahat aur
sukoon mein jeeyege,
Bas kahani ko kahani
bana dena tum.

Waqt ko waqt se jodne ka silsila ek baar phir hone ko tha, pyaar bhare rishton ke vaadon ka silsila ek baar phir hone ko tha, kahani ka vhi kissa likhne ka silsila ek baar phir hone ko tha. Sameer Naina ke ek hone ka silsila ek baar phir hone ko tha.

Naina- Swati..pehle yeh Juice pee lo..baki ki Mehandi baad mein lagwana.

Swati- Bhabhi baad mein pi lungi na.

Sameer- Chal idhar mooh khol..teri pasand ka Sandwich laya hoon.

He stuffs the food in her mouth, whereas Naina smiled, admiring the bond of the two.

Naina- Ab mooh kholo aur yeh Juice bhi peeyo. Tumhe pata hai kitni garmi hai bahar aur tumhara Hydrated rehna kitna jaruri hai.

Sameer- Pi le juice..isse pehle meri biwi yani teri bhabhi ki Dehydration par speech chalu ho.

Naina- Tumhe toh na main chodugi nhi.

Sameer- Pehle mujhe pakdo toh shi.

Later, he takes her to the otherside.

Sameer- Tumne ab tak Mehandi nhi lagwayi.

Naina- Haan bas woh Swati ko lag jaye ek baar..use kuch chahiye hoga.

Sameer- Haan toh main hoon na. Apni biwi ke liye bhi aur apni behan ke liye bhi.

Naina- Sameer..Thank You meri baat samajhne ke liye.

Sameer- Shh..Par main Thank You nhi boluga mujhe subah samjhane ke liye. Haan..I Love You kehne ko kahogi toh woh bol sakta hoon.

Flashback
Naina- Sameer..ek baat kahu. Tumhare yeh waqt par mujhse zyada tumhari behan ka haq hai. Jitna pyaar tumne apne is bade se dil ke andar chupakar rakha hai na, use dikha do ab. Swati ko uske bhai ka pyaar de do..jo na jane kitne waqt se tumne kahin dabaya hua hai. Tum dono ko School se janti hu, dekha karti thi tum dono ko ek dusre se kabhi ladte hue toh kabhi ek dusre ko sambhalte hue. Vhi bachpan wala laad apni behan ko phir se de do Sameer..kyuki main janti hoon uski bidaai par sabse zyada tum hi rone wale ho.
Flashback ends

Embracing her in his arms, he thought.

Sameer(to himself)- Is Bhai-behan ke rishtey ki sachhi keemat tumse behtar koi nhi samajh sakta Naina, jo khud is rishtey ke bina badi hui hai. Sahi kehte hai ghar ki asli keemat vhi log jante hai jinke pass ya toh ghar kharidne ki himmat nhi hoti ya phir jinke pass parivaar ko ek saath ek chhat ke neeche jode rakhne ke hausle. Sab kuch hote hue bhi inhe nakar rha tha, inse bhaag rha tha..lekin dekho aaj ek Teacher ne apne sabse Favourite student ko bhale ek rishtey ki hi.. par inki qadar karne ka chapter sikha hi diya. Sikha hi diya ki dhaago se hote hai yeh rishtey..fursat se baithkar suljhayege toh sulajh hi jaya karte hai. Aur bhagam bhag mein suljhayege toh ulajh hi jaya karte hai.

Naina- Ab chodo bhi..mujhe Mehandi bhi toh lagwani hai.

Sameer- Aur mera naam..

Naina- Yaad rha toh likhwa lungi.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें