Haar Ke Baad Hi Jeet Hai

374 74 97
                                    

Abhi falak se utra hi kahan hai,
Woh toota taara mera..
kahan hai.
Ulajh ulajh ke abhi tha suljha,
Us dhaage ka sira..
kahan hai.
Woh khwaab banzaro sa koi,
Tera aur mera..
kahan hai.
Woh shaks aankhon se ban ke, paani abhi-abhi jo gira ..
kahan hai.

Kahan hai..woh muqamaal jahan jahan jeet hi jeet ho. Shayad us pehle kadam mein..jise uthane mein thoda darr lagta hai par namumkin ko toh vhi mumkin karta hai. Sameer aur Naina ka naye shehar ka woh pehla kadam jo haar ko jeet mein badal sakta tha, woh pehla kadam jo manzil dikha sakta tha, woh pehla kadam jo aakhri padaav tak pahuncha sakta tha.

Naina- Sameer..seedhe khade raho na. Tumhe sab kuch Tie bandhwate waqt hi kyu soojhta hai.

Sameer- Main toh bas tumhare baal shi kar rha tha. Aur tum toh expert ho Tie bandhne mein.. tumhe kahan fark padta hai.

His eyes drank her lovely details and slowly inclined towards her but stepped back as heard doorbell sound.

Sameer- Ab yahan kon aa gaya subah suabh mere Pyaar ka Dushman.

Naina- Tum Tie baandho, main dekhti hoon.

Sameer- Kon hai Naina.

Naina- Chintu hai Sameer.

Sameer- Chintu?

Naina- Arey wahi jiske baare mein kal bataya tha..jise main padhane wali hoon.

Chintu- Hello Uncle..I am Chintu.

Sameer- Uncle..kon Uncle..
Naina suna tumne..

Chintu- Naina Didi maine kuch galat bola hai kya.

Sameer- Yeh Didi aur main Uncle.
Mr. Chintu..for your kind information main na aapki Didi se sirf ek saal bada hoon.

Naina- Chintu..aap na inhe Bhaiya bula lo.

Sameer- Main Bhaiya, Tum Didi. No ways..

Naina- Chintu tum na ek kaam karo mujhe Aunty bula lo. Ab yeh toh chalega tumhe.

Sameer- Naina Aunty, Sameer Uncle. Kya bol rhi ho Naina sunne mein hi kitna ajeeb lag rha hai.

Naina- Ab tum kya chahte ho Sameer woh kya bulaye.

The child seeing their continuous argument, shouts out loud.

Chintu- Bas..Mr. Sameer.. Aaj se main aapko yehi bulayuga.. chalega na.

Sameer- Hmm..

Naina- Ab yeh Global Issue solve ho gaya ho to lo Tiffin pakdo apna. Aloo ke Paranthe hai isme. Ache se kha lena.

Sameer- Naina..agar tum mujhe nhi bhi kehti toh bhi main ache se hi khata. Acha yeh Wallet rakh lo tum mera.

Naina- Mujhe kya karna hai iska.

Sameer- Arey akeli hogi..Phone bhi nhi hai tumhare pass kuch jarurat pad gayi toh. Aur kuch nhi sunna mujhe bas chupchap rakho.

Naina- Par tum..

Sameer- Maine thode se rakh liye hai. Acha main jata hoon ab.

Naina- Ek minute..Sameer.. Dahi-cheeni toh reh hi gayi. Main abhi layi.

As she left, Sameer turned to Chintu.

Sameer- Aise hass kyu rahe ho.

Chintu- Yuhi..Mr. Sameer.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें