Tohfa..Pyaar ka

575 85 14
                                    

Pyaar ki ek haan ne Izhaar karwaya toh Pyaar ki ek Inkaar ne Intezaar.
Intezaar us shi lamhe ka jo sirf unka hoga, jisme Naina Sameer ki aur Sameer Naina ka hoga.
Par iska matlab yeh toh nhi us intezaar mein ikraar nhi hoga.
Woh pal jo dono ke liye ahem honge, kya tab woh ek dusre ke sang honge.
Yeh un dino ki baat hai jab aise palon mein Parivaar toh sath hota tha, par Pyaar ka sath hona thoda mushkil tha.
Lekin Pyaar ka ek tohfa toh sath de hi sakta tha, woh bhi zindagi bhar ke liye.

In Night at Sameer's House
Vishakha- Sameer beta darwaja toh khol. Teesra chakkar hai yeh mera. Pata nhi tab se andar kya kiye ja rha hai.

Sameer- Maa thodi der ruk jayo.
(To himself)- Ab aapko kaise btayu maa ki kal kitna special din hai mere liye, Naina ke liye. Aur ise main uske liye aur khaas bnana chahta hoon.

In Naina's House
Naina(to herself)- Lo..woh din bhi shuru ho gaya.
Mummy Papa toh so gye, bina mujhe wish kiye. Par main janti hu ki aap mujhse kitna pyaar karte ho. Lekin phir bhi bahut akela mehsoos hota hai khaskar aaj ke din, mere birthday par. Aap har koshish karte ho mujhe khush karne ki par phir bhi kuch toh kumi hai abhi bhi. Tabhi toh har saal ki tarah is saal bhi mere chehre par muskaan se zyada aankon mein aansu hai. Woh adhurapan is saal bhi mujhe khaye ja rha hai.

Otherside
Sameer(to himself)- Happy Birthday Naina. Happy Birthday! 12 baj gaye Naina, Kya hua agar main tumhe samne se wish nhi kar sakta par kum se kum tumhari aani wali zindagi ke liye duaa toh maang hi sakta hoon. Aisi duaa jisme tum mere sath ho, mera pyaar humare sath ho, hum ek dusre ke sath ho.

Naina's VO
Shikayatein..jitna bada shabad hai utna hi bada dard deta hai yeh. Tabhi toh apne har Birthday ki shuruat main apne aansuon se karti thi. Pata nhi kyu par phir bhi meri zindagi mein woh adhurapan, mujhe khush nhi hone de rha tha. Tabhi toh har saal main us din ka aagaaz aansuon se karti thi. Pata nhi kitne, pata nhi kyu, par phir bhi bahut roti thi. Shayad kisi ne shi hi kaha hai..

अगर आंसुओं की कीमत होती,
तो कल रात वाला मेरा तकिया अरबों में बिकता।

Par tab main yeh nhi janti thi ki mere us adhurepan ko us waqt koi aur poora kar rha tha. Nhi janti thi ki main akeli nhi thi, Sameer pass na hote hue bhi mere sath tha; bina mile hi shi mujhe sabse pehle wish kiya karta tha; confession na shi par mere liye duaayein toh maangta tha.

Next Day in School
Naina- Preeti chal na jaldi mujhe yeh chocolates bhi class mein baantne hai abhi.

Mam- Class aaj humari ek student ka Birthday hai toh aap sab use ache se wish kijiyega.
Naina ab yeh sweets tum sab mein distribute kar sakti ho. Aur haan Happy Birthday.

Naina baari baari sabko chocolates bantti hai. Aur Sameer ke pass aake ruk jati hai.

Sameer- Happy Birthday Naina.

Yeh kehe woh Naina ke samne hath milane ke liye apna hath aage karta hai aur woh bina jhijke usse hath mila leti hai.

Naina- Thank You.

Tabhi Naina use ek nhi do chocolates de jati hai.

Sameer- Naina woh tumne mujhe galti se do chocolates de diye.

Naina- Koi baat nhi.

Sameer- Par...

Pandit- La bhai mujhe de de tujhe nhi khana toh..

Sameer(shoutly)- Nhi...yeh meri hai.

Tabhi Naina Sameer ek dusre ko dekhte hai.

Sameer's VO
Us din Naina  se ek extra chocoalte milna, mere liye kisi lottery jeetne se kum nhi tha. Afterall woh sirf ek Chocolate nhi thi, balki mere pyaar ka mere liye ek pyaar ka nazraana tha, jo main kabhi kisi se baant nhi sakta tha.
Waise iske alava ek aur khaas baat thi aur woh yeh ki Naina, ladko se dur bhagne wali Naina ne us din mujhse bina kisi hichkichayat ke haath milaya. Yeh sirf uski himmat nhi thi, balki mere liye uska bharosa tha jo uski aankhein saaf saaf bayan kar rhi thi.
Yeh masoomiyat, yeh bachpana, yeh ladkapan hi toh humare pyaar ki khasiyat thi.

After sometime
Preeti- Naina sun..

Naina- Han bol.

Preeti- Naina maine tere bag mein kuch rakha hai, par tu ghar jake dekhiyo. Aur please uske baad mujhse us baare mein kuch baat mat kariyo. Theek hai. Samjhi.

Naina- Preeti sun toh shi..

Preeti apni baat kehke wahan se bhaag jati hai.

In Naina's House
Naina(to herself)- Dekhu to shi yeh Preeti ki bachhi ne mere liye kya surprise rakha hai.
..................
Umm..gift...wow..
Khol ke dekhti hu.
Gannu ji aap. Kitne ache se janti hai yeh Preeti mujhe tabhi toh mere best friend hi mujhe gift mein de diye.
...................
Yeh card...ismein kya likha hai.

Ittefaq se toh nahi mile honge hum dono,
Kuch toh saazish khuda ki bhi rhi hogi.
Rishtey jab majboot hote hai,
Bin kahe mehsoos hote hai.
Apni udasiyaan mujhe dede,
Mere hisse ka tu muskuraya kar.
Happy Birthday..

Yeh Preeti kab se aisi baatein sochne lag gyi. Yeh Preeti ne hi likha tha?

Yeh kya ek aur gift...Chocolate.

Next Day
Naina(while hugging)- Preeti..kal ke liye Thank you. Itna special mujhe kabhi nhi laga tha isse pehle. Bahut acha laga mujhe tera gift. Main hamesha apne sath rakhugi use. Thank you, thank you so much.

Preeti(to herself)- Hamesha apne pass rakhegi, par chocoalte toh kharab ho jayega agar hamesha use apne pass rakhegi. Aur ek chocolate ke liye itna kyu special feel kar rhi hai Naina.
Hoga kuch.
(To Naina)- Koi baat nhi Naina.

Naina- Nhi Preeti woh jo card mein tune likha..

Sameer- Naina..

Naina- Huh..kya hua tum chillaye kyu..

Sameer- Wo..woh tumhe Mam bula rhi hai.

Naina wahan se chali jati hai.

Sameer(To himself)- Haash..bach gaya. Nhi toh abhi mera gift ka jhol Naina ke samne aa jata.
Bas ab kabhi dobara yeh baat na nikle.
Aur waise bhi Naina, kya farak padta hai gift kisne bhi diye ho, fark padta hai toh bas tumhari khushi se, tumhari hasi se jo aaj tumhare chehre par thi.

Naina's VO
Sameer apne naam ki tarah hi meri zindagi mein Hawa ke jhonke ki tarah aaya aur sab badal gaya. Tabhi toh us din mere khaas din ko usne aur khaas bna diya tha, aur credit bhi khud nhi liya tha.
Usne sirf woh Ganpati ji mujhe nhi diye the, balki humare rishte ki shuruat ki nishani bhi di thi. Mera akelapan dur karne ke liye mujhe mere best friend de diye the.
Aur us card par likhe gaye woh lafz dil ko choo gaye the. Tab lag toh rha tha ki yeh Preeti nhi kar sakti, par yeh Sameer karega yeh toh socha bhi nhi tha. Agar pata hota toh us din Preeti ki jagah main Sameer ko gale laga rhi hoti. Par gale na shi, hath toh milaya hi tha. Woh bhi bina dare, aisa ho paya kyuki woh Sameer tha. Kisi aur ko waise choone ki himmat aaj tak nhi aayi mujh mein. Par Sameer ke sath aisa kar payi, kyuki main sirf usse pyaar hi nhi karti thi, balki us par apne aap se zyada vishwaas bhi karti thi.

Bina kuch khaas kiye bhi, sab khaas ho gaya tha. Kyuki woh sab kiya bhi toh kisi khaas ne tha, apne khaas ke liye.

तेरे लिए।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें