Jab Kisi Ko Kisi Se Pyaar Hota Hai

760 114 14
                                    

Kabhi toh mohabbat
Tumhe bhi hogi,
Bhala yeh kab tak rukegi,
Kitne bhi durriyaan aa jayegi,
Mohabbat thi, Mohabbat hai aur Mohabbat hi rahegi

Ek din ke trip ne do zindagiyon ko kitna badal ke rakh diya tha.
Kise pata tha ki inki mohabbat ki shuruat Mussoorie se hogi. Sameer ko beshak apne pyaar ka ehsaas ho chuka tha par Naina ke ehsaas ke bina yeh pyaar adhura sa hai, inki kahani adhuri si hai. Par aakhirkar kab tak; ek na ek din toh Naina ko bhi apni Mohabbat ka ehsaas hona tay hi tha.

In Sameer's Home
Vishakha- Kaisa rha Sameer tera Trip? Waise tere chehre ki hasi se mujhe andaja toh ho hi rha hai.

Sameer- Shi keh rhe ho Maa aap bahut acha tha Trip. In fact aaj tak ka sabse acha trip tha yeh mera.
(to himself)- Hota bhi kyu nhi aakhir is trip par mujhe mera pyaar jo mil gaya, Naina jo mil gyi mujhe. Aaj se pehli itni khushi mujhe kabhi mehsoos hi nhi hui. Jab se main Naina se mila hu sab acha lagne laga hai par aaj us feeling ko ek naam bhi mil gaya. I Love You Naina.

Sameer's VO
Bahut khaas tha woh din mere liye aur hota bhi kyu na pehle pyaar ka pehla ehsaas jo tha.
Us din Naina ko pool mein doobte hue aur phir use rote hue dekh meri sansein mano tham si gyi thi. Naina ko kho dene ke khyaal se hi main mar sa gaya tha. Par kehte hai na jo hota hai ache ke liye hota hai, ab us din jo hua usi ki wajah se hi toh mujhe mere pyaar ka ehsaas ho paya. Us trip ne meri zindagi ko ek nayi disha de di thi, us trip ne mujhe meri aashiqui de di thi, us trip ne mujhe meri Naina de di thi.

Otherside
Anand- Aur Naina Mussoorie jake maja aaya ya nhi.

Naina- Han Papa bahut mazaa aaya aur aapko pata hai wahn par humne Company Garden, Lal Tibba aur Kempty Fall dekha. Bahut sundar tha sab kuch.

Anand- Toh phir jharne mein nahaye the.

Naina- Han aur apko pata hai Kempty Fall ke niche pool mein jab hum sab naha rhe the toh wahan par main toh doobne hi wali thi par..

Bela- Kya..dekha ji Maine kaha tha na ki akeli ladki ko mat bhejiye agar ise kuch ho jata toh..

Naina- Arey Mummy, kuch nhi hua mujhe main bilkul theek hu, dekho. Woh toh ek ladke ne aake mujhe doobne se bacha liya tha.

Bela- Bhagwan ka lakh lakh shukar hai ki tujhe kuch hua nhi aur kitna acha ladka hoga woh jisne meri beti ki jaan bachayi. Bhgawan use hamesha khush rakhe.

Anand- Han Naina tumhari Mummy shi keh rhi hai. Waise kya naam hai us ladke ka.

Naina- Sameer..
(To Sameer)- Main uska naam btane mein kyu khush ho rhi hoon.

Anand- Chalo acha hai aur use humari taraf se bhi Thank you bol dena aakhir usne humari beti ki jaan jo bachayi hai.

Naina- Theek hai Papa.
(to herself)- Mummy Papa shi hi toh keh rhe hai ki Sameer bahut acha hai. Har baar usne meri help ki hai. Aur aaj toh sach mein agar woh na hota toh main na bach pati.
Par aaj jo bus mein main soch rhi thi woh sab kya tha. Mussoorie Lake na jakar bhi maine Sameer ke sath woh sare lamhe kaise jee liye the.
Kahin jo main us din Ganga Ghat par soch rhi thi woh sach toh nhi tha. Kahin main usse..nhi.
Gannu Ji ab aap hi btaiye na kuch. Ab aap hi meri uljhan suljha sakte hai. Kaise aap films aur serials mein phool girake sign de dete hai ki kya shi hai aur kya galat toh ab mujhe bhi aisa koi sign dijiye na.

Then the doorbell rings. And after a while Bela comes to Naina who is sitting in her House Temple, in front of Ganesh's idol.

Bela- Naina..Naina..

Naina- Kya hua Mummy.

Bela- Yeh Pandit Ji Ganesh Mandir ka prashad deke gaye hai, kha le tere favourite Ladoo hai.

Naina- Ladoo?
(to herself)- Gannu ji ke Laddu. Kahin yeh unka koi signal toh nhi tha.
Nhi Nhi aisa kaise ho sakta hai.
Kya Gannu ji aapne toh mujhe ab aur bhi confuse kar diya hai. Ab main kaise pata karu ki main aur Sameer...
Ek kaam karti hu jaise filmon mein dikhate hai vhi karti hu aankhein bandh karke dekhti hu ki kya nazar aata hai. Haan yeh shi rhega.

Naina closes her eyes and then remembers every moment she and Sameer spent. And she starts smiling.

Naina(to herself)- Sameer..
Toh iska matlab sach mein main  Sameer se pyaar karne lagi hoon. Yes..Yes..Yes I Love him. I Love Sameer. Thank You Gannu Ji mujhe yeh ehsaas dilane ke liye. Nhi toh main toh kabhi samjh hi nhi pati ki mujhe bhi Pyaar ho sakta hai.
Par kya Sameer bhi mere liye aisa hi feel karta hoga. Kya woh bhi mujhse pyaar karta hoga ya phir...

Naina falls asleep thinking about Sameer and her love. And on the otherside, Sameer too gets busy dreaming of Naina.

Naina's VO
Kitni pagal thi na main jo itne stupid se ideas laga kar apne Pyaar ki Pariksha le rhi thi. Aaj bhi jab is baare mein sochti hu toh hasi nhi rukti.
Par umar ke us padaav mein mere waise ideas lagake apne Pyaar ko jaanna galat bhi nhi tha. Pata lagane ka tarika chahe kaise bhi ho par Parinaam toh bas ek hi tha aur woh thi Mohabbat.
Mere aur Sameer ki Mohabbat.

Us din kitna kuch badal gaya tha Naina Sameer ki zindagi mein. Dono ko apne pyaar ka ehsaas ho chuka tha. Waise Pyaar ko hone mein toh sirf ek lamha kharch hota hai par uska ehsaas hone mein kahin baar saalon lag jate hai.
Naina Sameer ki kahani shuru toh bahut pehle hi ho chuki thi par inki Pyaar ki Dastaan ki shuruat toh asal mein aaj se hi hui hai.
Pyaar ke rang bikhar chuke the, ab toh bas intezaar tha isme do logon ke rangne ka.

Jab khayaal aaya toh khayaal bhi unka aaya, jab aankhein bandh ki, toh khwaab bhi unka aaya, socha yaad kar le kisi aur ko magar honth khule toh naam bhi unka aaya!

।।तेरे लिए।।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें