Kabhi Alvida Na Kehna

261 43 60
                                    

Unkahi nazm ko duniyaa ko sunakar meri taqdeer ban gayi,
Toote phute tarano mein meri ek kavita aaj puri ho gayi.

Subah aur Saba ke beech beshak shaame num ho gayi,
Mohabbat ki dhun toh
lekin aaj puri ho gayi.

Pyaar ki bahut si mulaqaatein ab humse rooth gayi,
Apni khamoshi mein teri baatein aaj puri ho gayi.

Waqt ki haseen ghadiyaan aaj toot ke bikhar gayi,
Ishq ki baarish mein
boondein aaj puri ho gayi

Khwaishe bhi kuch
intezaar mein reh gayi,
Meri muskaan se rangi teri aakhri tasveer aaj puri ho gayi.

Yaadon ke beech beshumar ab toh guftguu ho gayi,
Magar ek kahani adhuri hokar bhi aaj puri ho gayi.

Author's VO
Janti hoon is kahani ke alfazo ke saath mujhe sunne ki aadat nhi hai, aur jinhe sunne ki aadat thi aap logon ko woh ab nhi hai. Magar yakeenan dharti aur aasman ke beech khali padi raah mein Sameer aur Naina..in do kirdaro ne mil kar is duniyaa ka sabse khoobsurat safar tay kiya hoga. Mile honge woh dono bhi kisi aise hi jahaan mein..jahan na is bhagti zindagi ka shor hoga, na hi unki mohabbat par kisi ka zor hoga. Beparwaah dekh payege woh dono ab ek dusre ko jee bhar ke, kyuki na kisi ki nazro ka lihaaz hoga. Mile honge woh dono jaruar kisi aise hi jahaan mein jahan dhadkane karegi dhadkano se kuch is qadar baatein..ki phir us samaa ka bhi ek aaahiqana mizaaz hoga. Ek jahaan mein ek dusre se alag ho gaye, ek jahaan mein ek dusre ke sang ho gaye. Magar har jahaan mein mohabbat toh yuh hi karte rahe hoge.
Kehte hai, "Stories are as unique as the people who tell them, as the characters who portray them, and as the reader who perceive them, and the best stories are in which the ending is a surprise." Kyuki adhuri baatein, adhuri mulaqaatein, adhure sapne, adhure rishtey, adhure vaade, adhure iraade.. in kuch adhuri cheezon ko poora karne ka naam hi toh zindagi hai. Isi tarah adhuri kahaniyaan, jo adhuri hokar bhi puri hai..wohi toh zindagi hai.
Aakhri baar likh rahi hoon ise..ho sake toh is kahani ko yaad rakhiyega.

Few days later at the same Ganga Ghat of Rishikesh, a girl probably about 9 years old, was making an innocent complaint to Ganga Maiyaa.

"Ab aap hi meri is problem ka solution do..kyuki yeh toh meri Mathematics ki problem se bhi tough hai. Aap jante ho na Ganga Maiyaa ki mujhe yeh sab baatein bilkul bhi samajh nhi aati..toh bataiye na aaj usse School mein pehli baar takra ke aisa kyu laga mujhe jaise usse koi judaav ho. Bina kuch kahe uski aankhon ne kitna kuch keh diya tha..aisa kyu mehsoos hua mujhe Ganga Maiyaa. Bina kuch sune mere dil ne jaise sab sun liya ho..aisa kyu laga mujhe bataiye na Ganga Maiyaa.
Mujhe nhi pata, lekin aapko pata hai. Isiliye aap kal tak sab detail mein pata karke mujhe bata dijiyega. Abhi mujhe jana hoga..kal mera Maths ka Class Test hai. Aur mujhe har baar ki tarah bahut saara padhna hai, warna main Class mein Top kaise kar payugi."

Next minute, she heard her mother scolding voice, "Naina..chalna nhi kya. Tere Papa kab se intezaar kar rhe hai."

"Bhuliyega mat, aur yaad se mere saare questions ka answer taiyar rakhiyega. Arey us ladke ka naam batana toh main bhul hi gayi, bina uske baare mein jaane aap meri problem solve kaise karegi..Sameer naam tha uska. Ab main chalti hoon..Bye Ganga Maiyaa." She places her lips on a coin, then threw in the river.

While walking on the stairs, her foot bumps with something, something like a book. She picks it up and saw the cover page of it written in front of it, 'Tere Liye'. And thought, "Yeh toh kisi ki Diary hai..woh bhi puri bhari hui. Pata nhi kiski reh gayi. Main hi le jati hoon, warna pata lage yahin Ganga Ji mein beh jayegi."

Clutching the Diary near her heart, she goes towards a path of inscribing a new story of eternal love with old characters.

Author's VO
Beshak Sameer aur Naina duniyaa ko ek saath ek duje ka haath thame hue alvida keh gaye the. Har gham, har khushi ko alvida keh gaye the. Har dard aur uski har rahat ko, har ek aansoo, har ek muskuruhat ko alvida keh gaye the. Har taqleef, har sukoon ko. Har ek apne aur har ek paraye ko alvida keh gaye the. Apni saanson ko, apni dhadkan ko, aur apni zindagi tak ko alvida keh gaye the. Magar chod gaye the apne peeche apni mohabbat ki likhi ek dastaan.
Kehte hai duniyaa chod jane ke baad hum saath kuch nhi le ja sakte magar woh lekar gaye the apne saath..agle janam mein milne ka khwaab aur de gaye the chote chote khwaab dekhne wali choti choti aankhon ke liye ek likhi hui haqeeqat.
Yes, their love lived and will continue to live. Kirdaar alag ho sakte hai, waqt badla hua ho sakta hai, magar pyaar wohi rehne wala tha.
Yeh kahani khatam nhi hui thi, balki dusri kahani ko janam dene ke liye, seenchne ke liye, sawaarne ke liye, rang bharne ke liye, pyaar seekhane ke liye, zindagi ko jeene ke liye bas usi kahani ka ek hissa ban gayi thi. Chota hi sahi par is nayi kahani ka ek khaas kissa ban gayi thi. Ek kahani ka anjaam aaj dusri kahani ka aagaz karwa gaya tha. Isiliye bhuliyega mat..na pyaar ko, na is pyaar ki kahani ko, aur yaad rakhiyega un kuch gaano ko bhi. Ek aakhri gaana..ek aakhri baar..

Chalte chalte mere yeh
geet yaad rakhna,
Kabhi alvida na kehna.
Rote haste bas yuh hi
tum gungunate rehna,
Kabhi alvida na kehna.
Kabhi alvida na kehna.

Pyaar karte karte hum tum kahin kho jayege,
Inhi baharo ke aanchal mein thak ke so jayege.
Sapno ko phir bhi tum
yuh hi sajate rehna,
Kabhi alvida na kehna.
Kabhi alvida na kehna.

Alvida toh anth hai aur
anth kisne dekha,
Yeh judai hi milan hai
jo humne dekha.
Yaadon mein aakar tum
yuhi gaate rehna,
Kabhi alvida na kehna.
Kabhi alvida na kehna.

Beech raah mein dilbar bichhad jaye kahin hum agar,
Aur suni si lage tumhe
jeevan ki yeh dagar.
Hum laut aayege tum
yuh hi bulate rehna,
Kabhi alvida na kehna.
Kabhi alvida na kehna.

THE END!

But a love story never dies just like love does not because it just needs 'you' and 'your heart' where love story just goes on.

____________________

150 parts, 3 years, thousands of views, hundreds of likes and comments, and infinte love is all how I can measure the story. The circle of this love saga started today itself..three years ago and on same day it has been ending. Being the first attempt of writing something, the journey was incredible for me, and hopefully for you as well. So, Thank you for everyone who had read this, support this, like this even for once. Thanks for loving the story especially when these words filled your heart and forced you to smile. Thanks for hating the story especially when it filled your eyes and forced you to cry.
And, right now I am experiencing both the emotions..my hands are shivering, eyes are blinking hard and heart is beating intense while writing this for the last time.
Toh aakhri baar..

।।तेरे लिए।।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें