Yaarana

974 140 16
                                    

Friendship is the golden thread that ties the heart of all the world.

Yeh School life ne sirf Sameer aur Naina ke rishte ki hi neev nhi rakhi thi balki bahut se aur bhi rishton ne yahan janam liya tha aur woh rishta tha Dosti Ka..
Aur yakeen maniye  yeh Dosti zindagi ke har imtehaan mein pass bhi hui thi.

At Playground
All the boys are playing football in the games period, and while playing Sameer gets hit by football due to which he falls there. But then two hands came in front of him; the hands of friendship; friendship of Munna and Pandit.
Who knews that those hands were not just for one time help but for the unbreakable relationships throughout the ages.

Sameer's VO Kisi ne shayad shi hi kaha hai ki Bhagwan jab bhi deta hai chappad phad ke deta hai tabhi toh us din meri life mein unhone Naina ke sath sath do aur logon ko bhi bheja tha jinhone mujhe mere andar ke chupe hue Sameer se milvaya tha aur...

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Sameer's VO
Kisi ne shayad shi hi kaha hai ki Bhagwan jab bhi deta hai chappad phad ke deta hai tabhi toh us din meri life mein unhone Naina ke sath sath do aur logon ko bhi bheja tha jinhone mujhe mere andar ke chupe hue Sameer se milvaya tha aur woh the Munna Pandit.
Chaand toh mil gaya tha mera par Munna Pandit se dosti karne ke baad mehsoos hua ki Taare bhi zameen par aa gaye hai.
Aur yakeen kijiye maine jitni shiddat se apni mohabbat nibhayi hai utni hi shiddat se apni dosti bhi nibhayi hai.

Aur yakeen kijiye maine jitni shiddat se apni mohabbat nibhayi hai utni hi shiddat se apni dosti bhi nibhayi hai

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Aur sach kahu toh dono ke hi bina main tab bhi adhura tha aur aaj bhi adhura hu.
Agar Naina meri khushi hai toh Munna Pandit us khushi ki hasi hai.
Agar Naina meri duniyaa hai toh Munna Pandit mera jahan hai.
Agar Naina meri jaan hai toh Munna Pandit bhi mere Janeman se kum nhi hai.

Munna- Arey yaar tu thik toh hai na woh humari wajah se tujhe lag gayi. Sorry yaar.

Sameer- Yaar bhi bol rhe ho aur Sorry bhi.
Waise main thik hu zyada nhi lagi.
Chalo khelte hai.

Pandit- Han bhai chal aur ab se tu humari team mein hai. Ab dekhte hai hume teeno ko kom harata hai.

Sameer performed maximum goals in the game and Munna Pandit placed him on their shoulders as if he was no less than Ronaldo or Messi.

Munna- Ab aao koi, panga lene humse.

Pandit- Aao aao, ab apna bhai aa gaya hai. Ronaldo aur Messi ka bhi baap hai apna bhai.

Sameer- Bhai yeh thoda zyada ho gaya hai.

Munna- Kuch zyada nhi hai, tu khelta hi aisa hai.

Otherside in Playground
Preeti- Yaar Naina bahut bhukh lag rhi hai aur mere pas paise bhi nhi hai.

Naina- Toh isme itna kya sochna hai.

Naina gives her tiffin to her.

Preeti- Wow Bread Jam; Par agar yeh agar main le lungi toh tu kya khayegi.

Naina- Tu bolti bahut hai apna mooh bandh kar aur chupchap yeh kha.

Preeti- Mooh bandh karugi toh khayungi kaise.

Naina- Aise..

Naina feeds her with her hands.
And here begins another story of friendship that showed Naina the vibrant colours of friendship for the first time in her life.

Naina's VO
Kya din the na woh bhi, syahi se range haath, do ungli milake dosti  ki shuruat, subah Prayer ki ghanti ki aahat, dosto ke saath ki gayi choti badi shararat. Shi mein kya din woh School ke.
School..ek aisi jagah jahan hum apne aap ko bnate hai, jahan hum apna bhavishya bnate hai, jahan hum Dosti jaise anmol rishte bnate hai.
Aur mere liye toh School life kisi bhagwan ke tohfe se kum nhi thi kyuki yahan mujhe sirf mera Sameer hi nhi mila balki Preeti ke roop mein Behan cum dost bhi mili thi.

Kitni galat thi na main jo yeh soch rhi thi ki Gannu je ne mujhe kitna akelapan diya hai balki sachai toh yeh hai ki Preeti se milne ke baad hi mujhe ehsaas hua ki mujhse zyada khushnaseeb bhi shayd hi koi ho

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Kitni galat thi na main jo yeh soch rhi thi ki Gannu je ne mujhe kitna akelapan diya hai balki sachai toh yeh hai ki Preeti se milne ke baad hi mujhe ehsaas hua ki mujhse zyada khushnaseeb bhi shayd hi koi ho.
Hum sab hi kahin na kahin khushnaseeb the kyuki ek dor mein jo bandh gaye the, dosti ki dor; ek atoot aur majboot dor.

Both Naina and Preeti are enjoying their lunch, but someone  did not like seeing them like this.

Sunaina(to herself)- Class mein Teachers ke aage toh meri jagah cheen hi li, ab mere doston ke beech mein bhi apni jagah ban rhi hai yeh Naina. Aaye huye do din nhi hue, aur sab iske aage peeche ghum rhe hai.

Jahan ek taraf Dosti ki raahein ban rhi thi toh vhi dusri taraf badle lene ki badhayein bhi apni raah bna rhi thi.
Aur woh thi Sunaina jise vishwas nhi ho rha tha ki jo kal tak sabki favourite thi aaj uski jagah Naina ne le li hai. Jo Preeti kal tak uski dost thi aaj Naina ki hai. Par use kon samjhaye ki agar dosti sachi ho toh Bhagwan bhi uske beech mein nhi aa sakte, toh insaan kya chiz hai.
Uske liye dosti sirf apna matlab poora karna ka jariya tha, na ki zindagi jeene ki wajah. Par jis tarah kaanton ke hone ya na hone se phool ki khushboo nhi rukti usi tarah in sab ki dosti aur pyaar bhi Sunaina ke aage haar nhi maan sakta.
Woh kehte hai na ki aapne apni asli zindagi tab tak nhi jee hoti jab tak aapke pass dost na ho. Aur yeh baat Sameer aur Naina ne bhi ache se jaan li thi tabhi toh Munna, Pandit aur Preeti ka sirf unki life mein hona hi unke liye kisi taqaat se kum nhi tha. Woh taqaat jo inhe ek karne mein kahin na kahin madadgaar saabit hogi.
Sameer aur Naina ne beshak ek dusre ko poora kiya par bina apne doston ke toh woh bhi adhure hi the.

Rone ki wajah bhi na thi,
Na hasne ka bahana tha,
Kyu ho gaye hun itne bade,
Isse acha toh woh..
Bachpan ka zamana tha!

।।तेरे लिए।।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें