ANANYA'S TRUTH

1.2K 71 5
                                    

"Dabbu,mera letter mujhe wapas karo"said Ananya walking toward Dev and trying to snatch the paper

"Are Anu iss duniya me khali hath aye the khali hath jayenge to kya mera kya tera"He said dramatically while walking away from her.

"Ane ka to pata nhi per chale jarur jaoge agar letter wapas nhi kiya to"she run towards him and he went to other corner of bed.

"Kar dunga. per pehle dekh to lu ki tumne isme likha kya hai?"He opens the letter and going to read when something hits his head.
He looks toward Ananya flabbergasted , who is ready to attack on him with another pillow.Ananya throws the pillow toward him but he duck

.Now a tom and jerry chase started in whole house .She threw whatever she got in her hand and he save himself by running here and there,sometime over sofa,sometime behind the pillars . Whenever she stops for a while,he again teased her by pretending to open the latter . Making her chase him again.

Their chase stops when he collided with vivan who has just returned from the school and due to this collision the letter falls from his hand and Vivan picks up the letter.

"Ghar me koi earthquake aya tha kya?"asked Vivan looking around at his home
.
"aya tha nhi,ayi hai Ananya naam ki bhukamp. Wo bhi 3 saptah(week) pehle" Dev speaks.

"O hello" She speaks striding towards him

"Hello" He said putting Vivan forward, standing behind him.

Ananya"Ye tumne kiya hai maine nhi"

"Ha mai hi tum per saman se attack kar raha tha" He said sarcastically.

Ananya"Agar tum letter le kar nhi bhagte to ye hota hi nhi"

"Ek min."Vivan shouted at the two people whom he loves most but these two people always fights like children no actually children don't fight like that .They are more mature and responsible than them.

"didi aap iss letter ke liye lad rahi thi na take it" He said forwarding the letter towards Ananya.

Ananya"Thanks vivan per mai nhi lar rahi thi lar ye dabbu raha tha"

Vivan"Aap dono baad me larna per pehle ghar ko thik kijiye warna mummy apko kuch nhi kahegi per mera huleya bigad degi."

Ananya(looking at Dev)"Jiske wajah se ye hua hai wahi thik karega"(looking at vivan)"tab tak tum fresh ho gayo mai khana laga deti hu"

In kaal lok

Kaal pari"Timnasa iss bar bhi nakabposh ne humari yojna vifal kar di"

Timnasa"usne humari ek yojna vifal ki hai kaal pari per use kya pata ki iss yojna ke vifal hone ke sath meri dusri yojna safal ho rahi hai.

She waved hand in air and a magical hole appears there.
Someone in the other side of hole"bhayrani ki jai ho"

"Nakabposh ya vivan ko tum per sandeh to nhi hua , Ananya?" Timnasa asked .
Yes she is talking to none other than Ananya.

Ananya blinks remembering Vivan having lunch with Dev sitting outside her room in which she is having conversation with Timnasa .

"bilkul bhi nahi Bhayrani" Ananya speaks confidently " aur agar doubt hoga bhi to Nakabposh ko diye mere information ko cross check kar ke khatam ho jayega .Afterall usme kuch bhi jhoot nhi hai"

"Yahi,wajah thi Ananya ki maine tumhe dharti per ek aam insaan ki tarah rehne diya " Speaks Timanasa taking a deep breath. " taki kal ko tum per koi sandeh na kar paye" She speaks with smile.

"Vivan ko to mujh per pehle hi bahut trust tha aur ab Nakabposh ko bhi ho gaya hai"Speaks Ananya.

"Bahut khub Ananya,mujhe umeed nhi thi tum itni jaldi manjil ke itne kareeb pahuch jaogi" Timnasa speaks with a smile on her face.

Ananya"Dukh iss bat ka hai bhayrani ki mai ab tak Balveer ka pata nhi laga payi.BN ane ka mera maqsad Balveer ka pata laga kar usse chhupi sakti ke bare me janana tha.

"Issliye mai uski fan ban ker usse milne ke liye fire accident ka plan bhi kiya but uski jagah vivan ne mujhe bachaya. Balveer ka pta to nhi chla but ye pata jarur chala ki Balveer ke alawa bhi kisi aur ke pass superpowers hai.Maine Vivan se Balveer ke bare me janne ki koshish ki but all went in vain."

Timnasa"Koi baat nhi Ananya .Tumne phir bhi bahut accha kaam kiya . Parmanu hathiyar ki yojna per jab hum uss ghar me kaam ker rahe the tab tumne samajhdari dikhayi aur uss ladke ko zor se awaj laga kar hume sachet ker diya.Itna hi nhi tumhara karan hi aaj hum nakabposh ke astitva(existence) ke bare me jan paye.Balveer ko samne lane ke liye khud ka apharan karwana ki yojna bhi to tumhari thi.Aur Balveer se na sahi .per tumne Nakabposh se dosti ker li hai aur ab jald hi usse uski asliyat aur uss chupi shakti ka pata nikalo"

Ananya"Don't worry bhayrani maine use aaj saam milne bulaya hai.jald hi wo khud mujhe uss shakti ka pata dega"

Timanasa smiles at Ananya who too give her a small smile to her .


Kahi bharosa hai kahi dokha
Kahi jhut ki duniya
Kahi yakeen ka jahan
Kuch to hai tere mere darmiyan.

Kaisa laga Ananya ka sach?

Per ye to sirf trailer hai picture abhi baki hai mere dost.

Ananya ki mystery me Aur bhi kayi sach hai aur kai jhuth.

KUCH TO HAI TERE MERE DARMIAN-a unknown connectionWhere stories live. Discover now