10. The Music Therapist (I)

5.3K 210 91
                                    


Hi everyone!

The current track is disappointing and killing all wedding vibes for me! I wish this track was before Abhira Tilak so that all wedding festivities wouldn't have been disturbed and all over the place. They try feeding us good vibes one day and then murder them the next day. Only hope is that next week all this will be wrapped up and we'll then have wedding track unhindered. There could be light tracks but no unhappy Abhira at their own wedding!

Anyways, for the sake of this story, kindly assume that accident track was all wrapped up nicely and Abhira had a big, happy wedding.

..............................

Mahima, Anand and Harshvardhan were sitting in the inner hall of Birla House. Manjiri had served them tea and left to check on Akshu. She had a new daughter now and the happiness she bought in her life was evident on her face.

Harshvardhan: Beta km tha jo Maa bhi aaj kl din bhar bs Akshu Akshu Akshu krti rehti hai....kuch toh jadu-tona ata hai uss ladki ko, kahin agla number humara na laga de..

Mahima: Chup karo Harsh. Aur tumhara kya number lagega...sabse zyada tum hi Akshu Akshu Akshu krte rehte ho...

Harshvardhan: Bhabhi mai toh-

Anand: Arey chup kro tum dono...bacchon ki tarah ladte ho. Umar ka toh lihaj rakha karo....

Harshvardhan: Waise bhaisahab, baat ki apne Abhimanyu se?....jo usne Hospital me ye naya department khol diya apni Akshu ke liye, kissi se poocha bhi nahi...

Anand: Puchna toh tha Harsh lekin tumne dekha na us din kya hua, pehle dono ladkiyon ki tabyat kharab ho gayi, phir vo sb drama....vo khtm hua toh shaadi ki tayariyan! Aur phir Akshara khud leave pr thi itne time se...Abhimanyu ne bhi toh leave le li thi...Kb poochta..chodo ab

Mahima: Aise kaise? Hospital hai koi theatre nahi hai!...Mana mera idea patients ko therapy se khush rakhne ka tha lekin ilaj kya sirf gane se hoga, nahi na! To iss poori wing ki zarurat kya thi!?

Harshvardhan: Waise bhabhi jo ye nayi post apne us ladki ko de di thi na, Music therapist ki, vo bhi apne poocha nahi tha kissi se....

Mahima: Accha! Itni problem hai to usse rejoining form kyu diya?...Post to apne app us din khtm ho gayi thi na....

Harshvardhan: Kya ab aap bhi...apko pta hai Abhimanyu hospital ke liye kitna zaruri hai aur vo bina uske rejoin kiye apna letter accept nahi krta....Abhimanyu is ladki ke chakkr me itna pagal nahi hota na toh mai to iss ladki ko kabhi accept na krta, na hospital me na humari life me!

Anand: Chup karo Harsh! Ab Bahu hai vo tumhari...aur tum dono sun lo, abhi tk therapy department start nahi hua hai lekin announcement kr chukka hai Abhimanyu toh is pr behes krke kuch nahi hoga...Kya pta isme kuch accha hi ho hospital ka...

Mahima: Kuch accha nahi hai...ab tuntuna sunkr patient thik hone lage to doctors ki zarurat kya hai?...( in mind: Kahan mujhe laga the ye ladki Manjiri jaise ghar sambhalegi aur ye ladki toh job kr rahi hai...Meri khud ki bahu journalist hai aur gayab hi rehti hai, vo mujhse age kya, meri takkar ki bhi nahi hai lekin ye Akshara toh same hospital me kaam karegi vo bhi apni alag wing ki head ki tarah!)

Anand: (whispers to her) Mujhe pta hai tumhari chid ka asli reason. I am annoyed ki humse poocha nahi lekin bhoolo mt ki therapy introduce krne ka idea tumhara tha, ab vo grow kr raha hai toh tumhe chidna kyu hai? Aur haan, bacchii hai vo tumhare agey, koi competition nahi..

Mahima made a face and left. Anand and Harshvardhan sipped their tea quietly unaware that another pair of ears had just heard every word that the seniors of Birla house had said.

All About AbhiraWhere stories live. Discover now