Yaariyan

3.7K 425 150
                                    


"Kya baat hai, Pandit... tu bada tez nikla... itni speed toh maine bhi nahi pakdi." Sameer was clearly impressed.

"Aur maine bhi nahi." Munna chipped in.

Pandit gave him a weary look, "Tu rehne de... school jaana shuru kiya tabse chalu hua tha... aur ab tak kahin nahi pohocha... abe teri speed ko toh bailgadi bhi peeche chod de."

Munna lunged at Pandit, irritated. Sameer held him with his arms around his midrif.

"Sameer, chod mujhe... jumma jumma chaar din ki aashiqui hai aur bade miyaan banne chala hai... arre kuch seekh mujhse... kaise dheere dheere maine Swati ko aisa taiyar kiya hai ki main jab jo kehta hun woh maan jaati hai... majaal hai kisi baat ko na bole." Munna boasted.

"Haan toh Preeti kaunsa mujhe manaa karti hai, bas ek ishara karne ki der hai, jhat se har baat ke liye haan bol deti hai... maine agar yeh kaam ek hafte mein kar liya toh zyada smart kaun hua?" Pandit flicked his collars.

Naina cleared her throat.

Munna Pandit suddenly realised her presence... sheepishly looking at each other.

"Bas yaad dilana tha ki jinki tum dono tareef kar rahe ho, ek meri behen hai aur ek... behen jaisi dost." She crossed her arms, giving them a hard look.

They looked at Sameer, together. He shrugged, shoving his hands in pockets. They shuffled their feet nervously.

She looked from one to another, uneasiness, and guilt, clearly written on their faces.

Not able to hold the facade any longer, she burst out... breaking into peals of laughter.

Munna Pandit were definitely dumbfounded, but Sameer was taken aback as well. He had actually thought Naina had taken offence to their talks.

"Naina, tum... tum gussa nahi ho?" He asked in a soft voice, treading cautiously.

She clutched her stomach, holding out her palm to him, spurts of laughter still erupting though she tried hard to control.

"Main... gussa... gussa kyon hongi?" She managed to speak.

Munna Pandit stood dazed, their jaws hanging. They had never seen her laugh like this.

"Woh... inn dono ne jo bola... matlab inka iraada koi burai karne ka nahi tha... bas woh bata rahe the ki... " Sameer tried to cover up for his friends.

She walked up to the two boys who were standing like statues.

"Daro nahi, main gussa wussa kuch nahi hun... bas thoda mazak kar rahi thi... utna toh haq banta hai na?Akhir devar ho tum mere." She smiled warmly at them.

They nodded together.

"Toh fir muh band kar lo... warna makhhi ghus jayegi." She said with a smirk.

They quickly closed their mouths shut.

Her gaze turned soft, "Tum dono Sameer ke dost nahi bhai ho... jaise chaho usse baatein kar sakte ho... jab chaho yahan aa sakte ho... jab marzi yahan reh sakte ho... yeh ghar mujhse kahin zyada tumhara hai..."

"Nahi bhabhi." Munna interrupted.

"Sach keh rahi hun... tum tabse iss ghar mein Sameer ko apnepan ka ahsaas dila rahe ho jab usne mujhe apni zindagi mein shaamil tak nahi kiya tha... tumhara saath bohot pehle se hai... maine school mein dekha tha, tum teeno kaise ek doosre ke liye jaan chidakte the... nanu ke jaane ke baad yeh rishta aur bhi mazboot ho gaya... ab mere aane se yeh badal gaya toh mujhe lagega jaise maine Sameer se kuch cheen liya hai... aur main usse kabhi kuch cheenna toh bilkul nahi chahungi... woh bhi, jo uske liye sabse keemti ho." She looked at Sameer.

Kabhi toh Nazar Milao Part 2जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें