Licence

3.5K 404 87
                                    


"Preeti aur Swati tumhare saath nahi aaye?" Naina asked the duo once they broke their hug with Sameer.

"Aaye hain na... bahar hain." Munna said, pointing outside.

"Arre, bahar kyon baithe hain?" Naina started to go out.

"Preeti toh humein bhi nahi aane de rahi thi... kehne lagi aise kamre mein jaana theek nahi... humne kaha hum toh apne bhai ke kamre mein aise hi jaate the aur aise hi jayenge." Pandit grinned.

Naina rushed out to meet them as Sameer glared at Pandit.

"Par tum log aaye kaise? Sach mein bell ki awaaz nahi aayi." He asked after she was gone, still surprised.

"Ashiqui karne se fursat mile tab kuch sunayi dega na tujhe." Munna teased.

Sameer gave him a threatening look.

"Abe Munna, bhai ko gussa mat dila... warna isse bahana mil jayega humein bahar nikalne ka... jisse iski ashiqui fir se chaloo ho jaye." Pandit quipped.

"Tum dono bata rahe ho ya sach mein bahar nikal dun?" Sameer huffed.

"Woh Ramdhari paudhon mein paani de raha tha... darwaza khula hi tha... isliye bell nahi bajayi... bole toh aage ae hamesha baja ke aayenge... ya bhonpu leke aa jayenge... bahar se hi chillate hue... sab log jaan lo... hum ghar mein aa chuke hain... aashiqon se nivedan hai kuch der ke liye doston pe bhi dhyan de." Munna dramatically folded his hand in front of his mouth, pretending to make an announcement.

"Tu apni nautanki band karega? Bhonpu khareedna apni shaadi ke baad... fir batana dost kab aa sakte hain aur kab nahi... ussi bhonpu pe chilla chilla ke... tera time bhi aane wala hai... bas do mahine hi bache hain." Sameer teased him back.

Pandit laughed loudly, seeing Munna blush at Sameer's comment.

"Tu kya daant dikha raha hai... meri saali se shaadi karne ki tujhe kitni jaldi ho rahi hai sab pata hai mujhe... saath mein hi shaadi kar lete hain, warna bohot der ho jayegi." Sameer imitated Pandit, turning to mock him.

Pandit sheepishly scratched his head, "Main toh... woh... bas... "

Munna smacked him on the back, "Ghabra kyon raha hai? Bhaag ke shaadi karne ko thodi keh raha tha... arre yaar, bakayada band baaje ke saath ghodi pe baith ke jaake leke aayega apni dulhan ko."

Pandit blushed, lowering his head, "Haan, woh toh hai."

"Waise jitna main Preeti ko jaanta hun, shayad woh hi ghodi pe baith ke aa jaaye agar Pandit ne der ki." Sameer sniggered.

"Tu toh ab janne laga hai... hum usse bachpan se dekh rahe hain... aur sachhi keh raha hun, mujhe zara si bhi hairani nahi hogi agar Preeti aisa karegi." Munna held up his hands, speaking with conviction.

While the boys carried on with their banter, girls were ecstatic to meet Naina.

"Hayee Naina, main toh kal hi chachaji ke ghar aana chahti thi par mummy ne aane nahi diya... woh Bhavnagar wali buaji aayi thi, shaadi ke zevar unke yahan banenge na, isliye mujhe rukna pada." Swati gave the reason for her absence the previous day.

"Aa jaati toh dekhti, hamare jijaji kaise khule aam faayda uthane lage hain apne licence ka." Preeti chuckled.

"Preeti ki bachhi... zyada bakwas kari na toh dekh le." Naina frowned, going red at her remark.

"Tu Preeti ko chod, usse kal mil chuki na... mujhe bata kaisa tha tera honeymoon." Swati pulled her to sit at the dining chair.

Preeti swiftly grabbed the chair on other side of her sister, "Woh toh mujhe bhi sunna hai... kal isne kuch bataya hi nahi."

Kabhi toh Nazar Milao Part 2जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें