Iti Tomar Charulata

1.6K 180 77
                                    

West Bengal,
Tulsipur
Po: 190568

4th October, 1930

Priya Rudh,

19 saal, do mahine, 3 ghante, 12 minute aure 6.23 second, bachpan ki dosti kitna khas hota hain na? Kitna masum hota hain!

Jaante ho wo jo bargad ka per tha jiske niche hum baith k kahaniya parte hain wo per kat gaya hain abh, waha ek mandir ban chuka hain. Humare ghar k chaupal mein jaha mere dadi se tum kahani sunte the wo waisa hi hain. Yaad hain chat pe hum sab raat ko sotey the fir chupke se toffees khate the.

Abhi bhi ziddi ho kya? Gussa ata hain tumhe? Tum bachpan se hi saare bachchon se alag the, tumhare maksad alag the, sapne alag the par tumhara aur mera sapna humesha jura rehta tha. Jo sapne tum dekhte the usey mein sakar karna chahati thi. Tumne kaha bhi tha mujhse hi ki tum mujhe apna sapna dikhaoge par fir to tum chale gye Desh chor k.

Mein abhi ek teacher hu, gaon k baccho ko parhati hu, desh k liye kuch karna chahati hu. Maa to kehti hain ki mein bilkul tumhare jaisa hu, ekdam Fitoori. Mere sar pe kabhi bhi koi bhi fitoor savar ho jata hain aur usey pura karne k liye mein har hadh tod deti hu. Zaroorat pare to kranti ki mashal ban jati hu aur ye sab tumne hi to sikhaya hain. Mein bilkul tumhara pratichavi hu, tum jaise ho bilkul vaisa, ek jaise the hum aur aj bhi hain hum.

Hum dono ka parivaar kitne close the na? Haar teohar sath mein mana te the, bohot maza ata tha. Hum dono baki dosto k sath pura gaon ghumte the.

Mujhe haar baat yaad hain, kaise meri dadi tumhe shadi k baat ko lekar chirhati thi, keheti thi, "tu itna to accha dikhta hain, tujhe koi bhi ladki mil jayga" aur tum chir jaate the kyuki pyar aur shadi insab se gussa ata tha tumhe par mujhe pata tha ki tumhare dil mein Saudamini k liye jagah tha. Sunkar bohot bura laga ki Saudamini k sath sara rishta toot gaya hain abh. Asha karti hu abhi apne zindagi mein khush ho tum.

London se lautne k baad bhi tumne mujhe chitthi likha tha par tabh mein Mussoorie k hostel mein thi. Par wapas akein kitni baar call kiya, chitthi likhi par tum to maano gayab hi ho gaye, aisa laga jaise tum apna koi maksad pura karne mein vyast the, koi mujhse bhi zyada zaroori a gaya hain abh.

Tumhare kaka ne chitti likha tha baba ko, niyota diya hain ki hum akein tum sabse mile.

Hum yani mein maa aur baba tum sab se milne Tulsipur A rahe hain. Bohot excited hu mein, kitne saalon baad milenge hum. Aur haa ek khush khabri sunani hain tumhe, tum bohot khush ho jaoge.

Tumhare baba, kaka ko mera pranam aur, Somnath, Batuk ko mera dher saara pyar dena....aur koi to nehi hain na tumhare gharpe?

Iti ,
Tomar.
Charulata


This is not a promo but very much part of the story.

Tark- His Penned ChroniclesWhere stories live. Discover now