Manish's worries

1.1K 87 8
                                    

Swarna: Manish ji bas kijiye. Aap kab se kamre m ghume hi jaa rhe h. Itna stress mat lijiye. Aapki tabiyat bigad jayegi.

Manish: Stress kaise na loon Swarna. Aarohi ne already apne liye ladka dhoond liya h. Pehle Akshu ne apni pasand se shaadi ki aur ab Aaru bhi.

Swarna: Manish ji isme galat kya h, acchi baat hai na ki hmari betiyon ki shaaadi unki pasand se hogi.

Manish: Is baat se mujhe bhi koi problem nhi h ...pr I am just stressed. I never wanted Akshara and Abhimanyu to get married. Now Aaru and this boy. He has been abroad for 4 years. His personality might have changed. What if he no longer believes in our customs. Aaru and that boy have been apart for 4 years. Who knows what he has been doing behind everyone's back.

Swarna: Manish ji kya bol rhe h aap. Thoda soch samjh ke boliye. It's clear ki Aaru us ladke ko bht ache se jaanti h and they talk regularly. Aur vaise bhi abhi chinta krne se toh kuch nhi hoga jb aap us ladke se miloge tb sab kuch pta toh chl hi jayega and hmari Aarohi ke liye rishta aaya h. Maana Aarohi ne already accept kr liya h lekin agr valid reason hue.. agr vo ladka hme pasand nhi aaya toh hm mna kr skte h hm Aaru ke liye koi aur rishta dhoond skte h. Aap kuch jyaada hi tension le rhe h.

Manish: Nhi Swarna. Tum nhi samjh rhi ho. Hmare paas ye rishta accept krne ke alawa koi option nhi h. Haan hm sab kuch postpone kr skte h pr kuch bhi cancel nhi kr skte.

Swarna: Aap aisa kyu kh rhe h. Just because ye ladka Aaru ne khud pasand kiya h? Agr ye baat h toh phir Akshu ne bhi toh Abhi ko khud pasand kiya tha aur jb aapne Manjari ji ke time p unka rishta todne ki baat ki toh toh vo log maan gye the na. Haan unhone baad m aapko samjhaya aur mna liya lekin aapki baat ka maan rkha tha. Same situation yahan bhi h. Agr ladka acha hua Aaru ke liye theek hua toh hme koi dikkat nhi h lekin agr vo sahi nhi hua toh Aaru ko bhi koi dikkat nhi hogi hmare mna krne se.

Manish: It's not the same. Aaru aur Akshu ki situation same nhi h.

Swarna: Don't tell me aap phir soch rhe h ki Akshu ne aap ki sun li lekin Aaru kabhi nhi sunegi?

Manish: Nhi swarna vo baat nhi h. Baat kuch aur h. Meri ye khne ki wajah h Aaru aur Chauhans ka rishta. Akshu ka Birlas ke saath strong connection nhi h, unke beech ldaiyaan hongi and she needs us to support her. But that's not the case with Aarohi. Uska Chauhans ke saath bht strong connection h. Fir bhi agr kabhi kuch an-ban hui bhi toh they will easily solve it within those four walls. Hmari Aaru ki life m koi involvement nhi rh jayegi.
Aarohi hmse jyada unki h. Aaj usne Arjun ji ko papa bola tha. Kartik ke jaane ke baad usne mujhe bade papa khna bnd kr diya tha ...kitne time baad phirse usne mujhe bade papa kaha tha jb vo jodhpur jaane vaali thi. Lekin Arjun ji ko vo papa kh ke bulati h. Maine kayi baar notice kiya h vo Alka ji ko bhi maa bolti h lekin hm sab paas ho toh beech m apne shabd badal kr unhe aunty khti h. 

Swarna: Manish ji...sach kahoon toh galti hmari hi h....maana vo door chli gyi thi pr hm bhi toh usse kitna ur hote gye. In 6-7 salon m hm sirf 2 ya 3 baar hi uske birthday pr Jodhpur gye h. Uske school aur college ke kitne aise events the jo hmne miss kr diye. Yahan tk ki kitne festivals aise gye h jo hmne uske bina mnaye h. Hmare liya mushkil nhi tha kyonki baaki sara parivar toh tha lekin uske liye kitna mushkil rha hoga. Chauhans usko bht ache se treat krte h maine dekha h uski aankhon m. Uski reluctance jb use Chauhan ghr se jaana pada. Vo intna dukhi yahan se jaane p nhi hoti jitna vo vahan se jaane pr hui thi.

Manish: I just feel ki agr Aarohi ki sach m us ghr m shaadi ho gyi toh hm hmari Aaru ko hmesha hmesha ke liye kho denge.


Unknown to them, someone heard all this conversation. 



_____________________________________________________________________________________________

Who was it?

How will this person react?

Wait for update!

Stay tuned!


Away From FaçadeWhere stories live. Discover now