Family

54 2 0
                                    

[ Phir se vah deewar par tagi family picture ke samne khadi thi. Ye uss waqt ki thi, jab vah pahli baar coma se jaagi thi. Tasveer mein uske alaawa sabhi khush the.]

3 weeks ago

[ Hospital se discharge milte hi Jenny ke parents use apne saath ghar le aate hai. Doctors ke mutabik, accident ki wajah se jenny ne apni pichli sabhi yaade kho di thi. Kuch bhi yaad na hone se ye huya ki jab - jab jenny ke parents uske samne puraani baate karte, to vah unn yaado se khud ko jod nahi paati. Use lagta ki unki kahaniyo me jis 'jenny' ka zikar hota hai, vah koi aur hi jenny hai. Usne kayi baar unki btayi huyi memories se apne khali dimaag ko bharne ki koshish ki, par har baar vo usme fit nahi hoti aur tut kar bikhar jaati. Apni zindagi ke hazaro palo ko kho kar vah poori tarah se khali ho chuki thi, isliye uske liye sab apna sa hokar bhi anjaan tha- uska ghar,vah jagah aur yahaan tak ki uska parivaar bhi. Par aise khayalo ka uske mann me uthna galat tha, isliye usne unhe dabana shuru kar diya aur Har din vah apne ap se yahi kahti ki "Sab thik ho jaega" aur phir aata ki "kab" ]

[ Din pe din, garmiya badh rhi thi. Ek garm subah, vah bageeche mein पौधों ko paanee de rahi thi. Tabhi achaanak se ek 'boo' ki aawaj use dara deti hai. uske chikhte hi uski hi उम्र ka ek ladka jhaadiyon se baahar aata hai aur badi si muskaan ke saath jenny ki taraf apna hath बढ़ाता hai. ]

Jack, "Hy, mera naam jack hai !! aur tumhara naam kya hai ??"

[ jenny use अनदेखा kar ke ghar ke andar bhag jaati hai...agle din, vah पौधों ko phir se paani dene aati hai. Tabhi ek hawa ka jhoka aakar uski hat ko udha le jaata hai. Vah use pakadne ke liye uske piche jaati hai ki jack kud kar use dur jaane se pahle ki pakad leta hai. Jack jenny ko uski hat wapas karta hai ]

Jack, " kal ke behavior ke liye mujhe माफ kar do !!"

Jenny muskura deti hai aur bolti hai ki, "it's okay jack !! aur hat wapas lane ke liye thank you"

[ Iss baar jenny apna haath jack ki aur बढ़ाती hai ]

Jenny, " mai jenny hu...lekin maine tumhe pahle yahaan kabhi nahin dekha ??

Jack, "oh, kyunki main yahaan nahin rahta...summer vacation hone ki wajah se main apni beemaar dadi ko milne aaya tha...Vo dekho yaha se tisra ghar meri grandma ka hi hai...Mrs Samantha parker...janti ho tum unhe ??

Jenny, " Sorry, mujhe nahi pta par unhe kya takleef hai ??"

Jack, "jyaada kuchh nahin...bas wahi problems jo bujurg logo ko hoti hai."

[ kuch dino me hi unn dono ki bahut achi dosti ho jaati hai.....]

[ Ek subah Jenny ke parents ko kaam par jata huya dekhne ke baad jack uske ghar ki doorbell bajata hai..

Jenny, " yaha kya kar rhe ho, jack ??"

Jack, "jenny, kal sham mujhe yaha se kuch hi duri par ek choti pahadi mili...tum chalogi mere sath waha ??"

Mayus hokar jenny kahti hai, " huh...bahar ?? naaahi !! bohot garmi hai na bahar !! isliye kisi aur din chalege..par tum chaho to andar aa sakte ho.."

[ Jack uske invitation ko pakar andar aa jata hai...Dono jenny ke bnaye huye sandwiches khate hai aur jack use apne baare me bohot saari baate btata hai....]

Jenny, " mere parents kahte hai ki iss bimari me mere liye bahar jana thik nahi hai...mere pass apni koi bhi puraani yaad nahi bachi hai. mujhe ye soch kar bechaini hoti ki bahar ke log mujh par apni – apni yaade thopne ki koshish karege jinhe unhone jiya hai, maine nahi...mujhe apni yaade chahiye, unki nahi !! mai unki unn baato se bhi darti hu jin me ye koi badi baat nahi hai aur unke according mujhe aage badhna chahiye..."

Tales of HorrorWhere stories live. Discover now