10. little talks

32.3K 2.1K 107
                                    

***************

" What? But why? I mean how is it possible, a girl like you don't have friends " He said squintung his eyebrows....

" What do you mean a girl like me? " I asked him in cobfusing tone.

" A cute, bubbly, innocent and sometimes talketive girl, like an extrovert, so it's kinda impossible to think you in that frame" He said while I chuckled a bit and looked down at floor.

He slowly held my hand, and caressed a bit, " You can tell me, I mean I want to know the reason if you are okay" He said in low voice and I nodded.

I kept my head on his shoulder, while he caressed my hand slowly, " We broke up" I said while he looked at me in disbelief.

" Ye friends mein bhi hota hai kya biwi? " He asked while I just chuckled at his reaction.
( does friends break up too?)

" Ha kabhi " I said while he looked sad looking at my face may now he can read that unsaid emotion.
( yeah sometimes)

" You know we were really, close or you can say it was just me, who was close, mujhe pata hi nahi chala ki meri best friend ko mujh se hi jealousy ho jaegi, maine hamesa sari chize decisions uske bare mein sockar hi liya , tumhe pata hai agar koi topic mere se related bhi nhi hota phir bhi mai us chiz me pad jati thi kyuki, mai hamesa uske sath khadi rehna chahti thi, par mujhe jab jarurt hoti thi vo sabse akhri insan hoti jo meri madat ke liye aati, phir bhi maine ignore kiya, mujhe uska behaviour to hurt karta hi tha, par mai hamesa ye chiz sochkar taal deti ki vo meri best friend hai, maine kabhi is baat ko maana hi nahi ki mere har dukh ki wajah hi vo hai. Mai koi chiz lena chahti to mere se pehle vo le leti, mujhe kuch pasand aata to vo use bhi aata aur vo bas ye bata bolkar mang leti ki mai to teri best friend hu tu itta nhi kar sakti mere liye, jabki ham dono ko pata tha use ye bolne ki bhi jarurt nhi thi kyuki maine uski khusi mein apni khusi dhudhi thi. tumhe pata hai ek baar mere maths exam mein kam marks aaye mai sirf 1 marks se pass thi , jab maine copy dekhi to teacher ne galti se 1 marks jyada de diye mujhe aur vo pehli insan thi jo sir ke paas jakar bol diya ki unhone mujhe pass kar diya galti se, but you know the funny part when teacher checked my copy, he actually forget to check my two questions and I got 8 marks, and she was most saddest person in the class room, mujhe to samjh hi nahi aaya, ki ise dukh kyu ho rha ise to khus hona chahiye. Us din mujhe bahut dukh hua ye dekh kar ki vo khus nahi hai mere liye . Mere life me ek wahi dost thi jo mujhe merese jyada matter karti thi. Mai almost har din worthless feel karti thi par phir bhi jo chiz samne thi use dekhna hi nahi chahti thi mai, shayad usi chiz ki saza mili mujhe. Fir ek din aisa aya jisne mere sabr ka imtehan le liya ar mai haar gyi. mujhe laga agar dosto ke sath rehne mein aisa mehsoos hota hai to mai akeli bahut khus hu. Vo dukhi thi, ar hamare saher mein mere favorite singer ka show tha, aur main pichle do saal se uske show ka wait kar rhi thi mai bahut khus thi maine apni tickets book ki, ar use bhi bata diya but jis din jana tha usi sham ko vo bolti hai uske pas tickets nahi hai vo nahi jaegi, fir maine socha agar vo nhi ja rhi to mai jakar hi kya karungi, aur use bura bhi lagega mai uske bina masti karke aa gyi, to maine apna plan cancel kardiya. Par mera dil toot gya jab maine uski stories dekhi Instagram par, she was enjoying with her neighbors at the concert. Maine jab use confront kiya to bolti hai ki, it's not big deal I am over reacting. Mai phir bhi ye baatein ignore karne wali thi par mujhe laga ye to hamesa yhi karti hai, isko to frak bhi nhi padta mai kya chahti , sirf mai hi hu jo iski care karti hu par mai bhi toh insan hu mera bhi dil karta hai, das baton mein se do batien mere manki bhi ho jaye. Then I decided to stop putting efforts, I chose my happiness over her, I can't let someone be always the reason of my sadness and let her use me. Mujhe pata hai mere alawa ye sari batein har kisi ko childish lagegi ki itti choti si baat par dosti koun todta hai ar mai unme se kisi ko bhi explain nahi kar paungi kyuki mujhe pata hai mere liye ye bahut badi baat thi kyuki ek wahi thi mere paas aur ab nahi hai.

His arranged wifeWhere stories live. Discover now