CHAPTER 4

415 50 47
                                    

"Putra Bhargav, bhojan kaisa hai ?" Aparna asked fanning her son while he eats.

"Swadist hai." Bhargav said softly and Aparna smiled.

"Man mei kuch hai toh bol do putra." She said keeping her hand over his head. Aparna being mother and also a Tapasvini knew exactly what was going on the mind of her son.

"Koi baat hai putra ?" Padmamukh said looking at his son from the scrolls of temple maintenance.

"Ek awashyak baat kehni hak.... Ise mera ek anurodh hi samajh le." Bhargav said.

"Pehle bhojan karlo, fir shaanti se baat karenge." Aparna said.

Bhargav nodded and quickly finished the food, keeping the banana leaf aside and went to wash hands and have a glass of water. Internally reciting again and again what he wants to say to them.

When he came back to the courtyard he saw both his parents sitting on the wooden cot, giving him an assuring smile that they will try their best to understand him.

"Mata-Pitashree, mujhe ucchatar siksha prapt karni hai. Iske liye mujhe Kanchi se bahar jana padega." Bhargav said as humbly as he can.

Worrying that his son would become even more lonely than he already is, Padmamukh wanted to deny but Aparna kept her hand over his, preventing him to protest.

"Awashya putra. Ucchatar siksha prapt karne ki iccha toh atyant shubh hai. Meri badi behen Brahmavani, Shardapeeth mei acharyaa hai aur Kashmirpur ki Maharani bhi. Tum waha siksha prapt kar sakte ho." Aparna suggested.

"K-Kintu, Kanchi se Kashmirpur atyant dur hai." Padmamukh said.

"Sampoorn vishwa se waha vidyarthi ucchatar siksha prapt karne hetu aate hai Swami." Aparna said.

Padmamukh looked at her wife confused, with his eyes he expressed his denial but she gave him an assuring nod, patting his hand.

"Putra, Shardapeeth 52 Shaktipeetho mei se ek hai. Aur waha ka pustakalay atyant vishaal hai. Waha tumhe vishwa ke sabhi shaashtra mil jayenge." Aparna said.

"Kshama kare Mata, kintu Shardapeeth jaane ki meri koi iccha nahi hai. Kyuki mujhe Shaashtra-gyaan nahi shashtra-gyaan ki ucchatar siksha prapt karni hai. Sabhi Vedo aur Shaashtro ka gyaan toh Pitashree aur anya acharyo ne de hi diya hai." Bhargav said.

"Uchit hai. Yadi Shashtra-gyaan mei ucchatar siksha prapt karni hai toh Bhagwaan Parshuram se shresht koi nahi." Aparna said.

"Bhagwaan Parshuram ? Kya woh mujhe sikhayenge ?" Bhargav asked hopefully.

"Yadi poorn shraddha se anugrah karo toh woh awashya sikhayenge." Aparna said.

"Uchit hai." Bhargav nodded.

"Putra, raatri bahut ho gayi hai. Ab jaake so jao. Hum kal punah iss vishay par baat karenge." Aparna said.

"Jo aapki aagya." Bhargav nodded and went to his room.

And finally Padmamukh expressed his concerns and confusion to his wife.

"Yeh aapne kya Kiya Aparna ? Kya aapko pata nahi Bhargav ke ekagipan ke baare mei ? Yadi woh hume chhod ke jayega toh uska ekagipan badh jayega." Padmamukh said.

"Uske ekagipan ka karan hai Lakshya-heenta se utpan huyi apoornta aur prerna-heenta ka bhaav. Maine aaj apne putra hetu dhyaan kiya tha naath." Aparna said.

"Toh kya dhyaan ke madhyam se aapko Bhargav ke jeevan ka laksh pata chal gaya ?" Padmamukh asked with great hope.

"Nahi, kintu mujhe itna pata chal gaya hai ki Bhargav ka Lakshya jo kuch bhi hai, woh Shardadesh mei hai. Aur iss lakshya tak pahuchne hetu swayam Bhagwaan Parshuram uski sahayata karenge." Aparna said.

"Oh." Padmamukh nodded looking at the ground.

"Naath, mai jaanti hu ki aapko Bhargav se atyant lagaav hai. Kintu apne putra-moh ko uske niyati ke bich mat aane dijiye." Aparna said.

"Uchit kathan hai aapka." Padmamukh said, strengthening his heart.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Ab shigreh Bhargav banega Parshuram Shishya Bhargav ! Aur uske jeevan ka naya adhyaye arambh hoga.

HARIHARESHWARI 9 : 𝐆𝐮𝐫𝐮 𝐒𝐚𝐤𝐬𝐡𝐚𝐭 𝐏𝐚𝐫𝐚𝐦𝐛𝐫𝐚𝐡𝐦𝐚Where stories live. Discover now