CHAPTER 30

344 42 17
                                    

"KYA !? SABHI DANAVO KA ANNT AKELE USNE KIYA !?" Kumukh stood up from his throne.

His widened eyes showed shock as well as dismay. Three thousands Danavas were killed single handedly by a young Brahmin warrior. It was 1/4th part of his army, which were reduced to dust.

Kumukh regained his composure. Keeping his hands behind his back, the words of Shukracharya played in his mind. The warrior was indeed a form of Shreeshaktiswar. Pursuing a battle with him would be foolishness.

But he has come a long way now, to get Damini, Kumukh was ready to risk it all even if it meant the destruction of entire Danav-vansh.

With ego and lust was blurring his sense of rational thinking, Kumukh decided that it's time for him to enter the battle and challenge Bhargav, because the task to defeat Shreeshaktiswar was above them.

"Sena sajj karo. Iss baar mai swayam uss yodha se yudh karunga." Kumukh said.

-- KASHMIRPUR --

"Yeh sansaar kaha aur kisse aya ?" Vidyashree asked her students.

"Yeh Shrishti Parambrahm arthat Ishvar se utppan hoti hai, Ishvar dwara paalan ki jaati hai aur Ishwar dwara hi iska sanghaar hota hai." A student from Shardapeeth answered.

"Ishwar iss sansaar ki rachna, paalan aur sanghar kaise karte hai ?" Vidyashree asked.

"Jis prakar makdi, apna jaal swayam boonti hai, usi mei vichran karti hai aur fir usi ko nigal jaati hai ussi prakar Ishwar sansaar ki rachna, paalan aur sanghar karte hai." A child student of Martand temple said.

"Uttam. Ab bataye Jeev kya hai ?" Vidyashree asked.

"Jeev swayam nirvikaar aatma hai jo avidya ke prabhav mei aake swayam ko man aur sharir samajh leta hai aur iss liye iss sansaar ka anubhav karta hai." A teacher from Shardapeeth answered.

"Avidya kya hai ?" Vidyashree asked.

"Anatma ko aatma samajhna, nirvikaar ko vikaaryukt samajhna aur iss sansaar ko hi satya samajhna Avidya hai." Another Shardapeeth student answered.

"Vidya kya hai ?" She then asked.

"Aatma ka gyaan hi Vidya hai, jo hume sabhi dukh, peeda, agyanta, bhram aur bandhano se mukt kare. Vidya woh hai jo dvait ke bhaav arthat 'Tum' aur 'Mai' ke bhaav se mukt kare." Another teacher from Shardapeeth  said.

"Brahm-gyaani ke lakshan kya hai ?" Vidyashree asked.

"Jo vyakti yeh bole ki usko Brahm ka gyaan hai, toh woh Brahm-gyaani nahi hai. Kyuki Brahm ko jaanne ke saath hi Brahmagyaan ka ahankaar mit jata hai." Another little student of Martand Mandir answered.

"Kya Parambrahma ko tark se jana jaa sakta hai ?" Vidyashree asked.

"Nahi, kintu tark sahayak ho sakta hai." A Shardapeeth student said.

"Kya Parambrahma ko Prarthna aur Puja se jana jaa sakta hai ?" Vidyashree asked.

"Nahi kintu Prarthna aur Puja, sahayak ho sakte hai." A Shardapeeth teacher answered.

Vidyashree smiled for they had answered all her questions. They had completely attained all the knowledge of the 10 Upanishads she had made with the help of great sages and seers, for the well being of society.

"Aap sabhi ne sampoorn Upanishado ka gyaan arjit kar liya hai." Vidyashree said.

All in front of her, whether students or teachers from Shardapeeth or little children from Martand Mandir, looked at her with shock. Does this mean there is nothing left for her to teach ?

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Now what ? 🌝🌝

HARIHARESHWARI 9 : 𝐆𝐮𝐫𝐮 𝐒𝐚𝐤𝐬𝐡𝐚𝐭 𝐏𝐚𝐫𝐚𝐦𝐛𝐫𝐚𝐡𝐦𝐚Where stories live. Discover now