CHAPTER 11

430 48 41
                                    

After seeking the blessings of her parents, Vidyashree walked towards the side of Shardapeeth and stood in front of the opposing team.

"Ab prashna uttar nahi honge. Ab hoga tark vitark. Hum keval uttar denge aur aapko uska pratiuttar dena padega. Kya aapko yeh swikar hai Rajkumari ?" A Pandita asked in a demeaning tone.

"Swikar hai." Vidyashree smiled confidently.

"Sampoorn sansaar ek tatva hai aur ek Paramatma hai." The Pandita said.

"Uss Paramatma ke 2 tatva roop hai. Purush aur Prakriti." Vidyashree said.

Brahmavani and Gyaansagar smiled seeing the confidence with which she carried herself.

"Prakriti ke 3 tatva hai, Sattwa Rajas aur Tamas jinse sansaar banta hai." The Pandita said.

"Sansaar panch-mahabhuto se banta hai - Agni, Vayu, Jal, Bhumi aur akaash." Vidyashree said.

Vedavati and Bhargav were amused at her quick answering, it seemed she had the answers to all the questions of the oppositions.

"Aur woh panch-mahabhut jagat ke nirman mei punah ek ho jaate hai." The Pandita said.

Vidyashree became silent, all on the team of Shardapeeth frowned in worry. While the opposing team became joyous thinking she had no answer now.

"Kis soch mei ho ?" Vedavati asked keeping a hand on her shoulder.

"Yahi ki agle uttar hetu yeh taiyyar hai ki nahi." Vidyashree said.

"Gyaan jatil ho toh use saral bhaav se baat dena chahiye. Mujhe gyaath hai ki aap mei utni kshamta hai Rajkumari." Bhargav said.

Vidyashree looked at him as he gave her an assuring smile.

"Kya huya Rajkumari ? Prati-uttar nahi hai ?" The Pandita asked.

"Hai na." Vidyashree smiled and the opposing team frowned.

"Kya ?" The Pandita asked.

"Iss sansaar mei 1 tatva, 2 tatva, 3 tatva ya 5 tatva ke sabhi aaropan manushya ka mastishk karta hai. Anyatha Jagat toh Brahm-maya hai aur yeh sabhi tatva bhi maya maatra hai. Sab kuch Nirgun hai Paramatma ke bhaati aur Sagun hona toh keval unki leela hai. Yeh sharir bhi ek maya hai, jo kisi leela hetu aayi hai. Yeh sharir satya nahi hai, satya toh keval aatma hai jo Paramatma ka ansh hai." Vidyashree said.

"Saadho ! Saadho !" Her team praised.

"Nirarthak ! Nirarthak !" The opposing team said.

"Aisa kisne kaha hai ki yeh jagat ek maya hai ? Vedo mei Pooja paath, yagya adi ki baat ki hai. Toh Paramatma ke Nirgun hone ki baat kaise satya huyi ?" They asked.

"Vedo mei sansaar ka sabhi gyaan hai, toh kya aapko laga ki shrishti aur Parambrahma ke satya ko samajhna itna saral karya hai ?" Vidyashree asked.

"Tatparya ?" The Pandita asked.

"Prajapatio ne Vedo mei Pooja, paath, yagya aur ityadi ki varnan iss liye kiya hai jisse manushya apne saguno se Nirgun tak pahuch sake. Kintu iska yeh arth nahi ki Maya se bani sansaar ke prati humara koi uttar daitwa nahi. Tapasya, daan, mantra aur yagya se jagat ka nirwahan hota hai. Unhi Vedo mei aatma aur Paramatma ka bhi gyaan hai, jo Nirgun hai." Vidyashree said.

"Toh yeh Gyaan hume kyu nahi praapt huya ? Humne bhi toh Vedo ka adhyayan kiya hai." The Pandits asked.

"Kyuki Nirgun tak pahuchne hetu aapko Sagun ki seemao se bahar ana hoga. Kintu aap sab toh Sagun ki seema mei hi reh gaye, apne prashno ke dusre uttaro ko bhi swikar nahi kiya. Toh aap sabhi ko Nirgunta ki jatilta kaise pata chalti ?" Vidyashree said.

The opposing team lowered their gazes while the team with Shardapeeth attentively listened to her. Parshuram, Brahmavani and Gyaansagar looked at the little one with a proud smile.

"Gyaan ka ahankar hona, agyaanta ka pratham lakshan hai. Andhakaar se bhare man mei gyaan ka prakash nahi samata." Vidyashree said.

"Hey Rajkumari, yeh Jatil Gyaan hum kaise samajh sakte hai ?" The Pandita asked.

"Brahmin ka kartavya hai apne gyaan ka vistaar karna aur iss gyaan ke prakash sabhi manushyo tak pahuchana. Vidyashree, tumhare paas sampurn Vedo ka gyaan hai, tum chaaho toh aise granth likh sakti ho jisse yeh gyaan sabke liye saral ho jaye." Parshuram said.

"Jaisa aap kahe prabhu. Mai vachan deti hu ki aise grantho ki rachna karungi jiska gyaan sarvavidit kiya jayega." Vidyashree bowed to him.

"RAJKUMARI VIDYASHREE KI JAI ! RAJKUMARI VIDYASHREE KI JAI !" Both the teams hailed.

Bhargav for some reason couldn't help but smile at Vidyashree's achievement while Vedavati felt a desire in her heart.

'Kaash mujhe bhi aisi gyaani putri ki Mata hone ka saubhagya milta.' Vedavati wished and at that moment Vidyashree looked at her.

'Jaisi aapki iccha.' She smiled.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Not me setting the base for Kaliyug since Tretayug 🌝🌝🌝

HARIHARESHWARI 9 : 𝐆𝐮𝐫𝐮 𝐒𝐚𝐤𝐬𝐡𝐚𝐭 𝐏𝐚𝐫𝐚𝐦𝐛𝐫𝐚𝐡𝐦𝐚Where stories live. Discover now