CHAPTER 21

345 41 17
                                    

Maitreyi kept a hand over Vidyashree's shoulder, making the writer of Upanishads look at her.

"Sambhal ke Vidya, yeh Gargi hai. Apne jatil prashno hetu prasidh hai." Maitreyi said.

"Har ek prashn ka uttar soch-vichaar ke dena." Yagyavalkya advised.

"Aap nishchint rahiye." Vidyashree assured and then stood up, looking at the great scholar Gargi and joining her hands.

"Mera naman swikar kare Vachaknavi. Aur kripiya apne prashn puche." She said.

Gargi smiled as everyone got on the edges of their seats, there was a feeling of excitement and apprehension in all, seeing the foremost scholar in front of a young 'novice' princess.

"Suna hai ki aapne apne grantho mei aatma, paramatma aur Brahmaan ki baat ki hai. Jisse manushya saralta se moksh tak pahuch sake." Gargi said.

"Satya hai." Vidyashree said.

"Toh yeh bataye Kashmir-kumari, kiske naash mei moksh hai ?" The Vachaknavi asked.

"Man ke naash mei." The daughter of Brahmavani said.

"Kis stithi mei bhaye nahi ?" Gargi asked.

"Moksh mei." Vidyashree said.

"Upasna ke yogya kaun hai ?" Gargi asked.

"Devta, Guru aur Vridh." Vidyashree said.

"Din aur Raat kiska ka chintan karna chahiye ?" Gargi asked.

"Sansaar ke mithyapan aur Kalyaanrupi Parmatma ke tatvo ka." Vidyashree said.

"Kis par vishwas nahi karna chahiye ?" The Garg-vanshi questioned.

"Sansaar-rupi samudra par." The daughter of Gyaansagar answered.

"Mukh ka bhushan kya hai ?" Gargi asked.

"Vidwata." Vidyashree answered.

"Saccha karm kya hai ?" Gargi asked.

"Sabhi praaniyo ke hit mei kiye karm." Vidya said.

"Praaniyo ke hit ke alawa aisa kaunsa karm hai jisko karke pachtana nahi padta ?" Gargi asked.

"Paramatma ki upasana." Vidyashree said.

"Aapse prashna karke yeh toh sidh ho raha hai ki aap anek Shaashtraatho mei samellit huyi hai." Gargi complimented.

"Satya vachan." Vidyashree smiled.

"Fir nisandeh aap bahut se prakar ke vidyaon se parichit hongi, kuch satya, kuch mithya. Toh yeh bataye ki vastavik vidya kaunsi hai ?" Gargi asked.

"Jo paramatma tak pahucha de." Vidyashree said.

"Aur vastavik gyaan kya hai ?" Gargi asked.

"Jo mukti ka karan bane." Vidyashree answered.

"Yatharth laabh kya hai ?" The Vachaknavi asked.

"Parmatma ki praapti." The Kashmir-kumari said.

"Sadho..." Gargi smiled.

"SADHO ! SADHO !" The rest of the participants praised.

"Rajkumari, jab mai yaha aayi thi toh maine bahuto ko kehte suna ki kam umar ki kanya hone ke karan unhe aapki yogyata pe sandeh tha. Iss liye unke iss sandeh ko dur karne hetu maine aapse woh prashn puche, jiske uttar kisi bhi vidwaan ne nahi diye. Kintu aapne mere sabhi prashno ke jis nipurnta se uttar diye hai, woh prashansaniye hai. Aaj ke baad manushya toh kya, devta bhi aapke yogyata par sandeh nahi kar sakte." Gargi said.

"Dhanyawaad Devi Gargi." Vidyashree bowed.

It was an extremely proud moment for both Gyaansagar and Brahmavani, their daughter had answered all the questions asked by Gargi Vachaknavi herself.

"Ab kisi ko Rajkumari Vidyashree ke yogyata par sandeh nahi raha. Toh bina samaye vyarth kiye, ab hum Kashmir-kumari ke likhe Upanishado ka adhyayan karenge." Narad Muni said.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Chalo... Upanishado ko discuss karne mei toh accha khasa time lagega... Tab tak dekhenge ki Kanchipuram mei kya ho raha hai 🌝

HARIHARESHWARI 9 : 𝐆𝐮𝐫𝐮 𝐒𝐚𝐤𝐬𝐡𝐚𝐭 𝐏𝐚𝐫𝐚𝐦𝐛𝐫𝐚𝐡𝐦𝐚Tahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon