CHAPTER 6

404 49 32
                                    

"पनाय्यं तदश्विना कृतं वां वृषभो दिवो रजसः पृथिव्याः।
सहस्रं शंसा उत ये गविष्टौ सर्वाँ इत्ताँ उप याता पिबध्यै ॥" Brahmavani recited. (Glory and honour to the strong, godly, honourable leader whose leadership is recognized across all distances and whose fortitude and eagerness to overcome all challenges lets everyone rise up and participate in peace.)

"पनाय्यं तदश्विना कृतं वां वृषभो दिवो रजसः पृथिव्याः।
सहस्रं शंसा उत ये गविष्टौ सर्वाँ इत्ताँ उप याता पिबध्यै ॥" Vidyashree repeated the shlok.

"Aur yaha tumhare sabhi Vedo ka gyaan poorn huya, Putri." Brahmavani said.

Vidyashree smiled and stood up, touching the feet of her mother who taught her all 4 Vedas along with 64 kala.

"Mata ka upkaar koi nahi chuka sakta, kintu Guru ko Gurudakshina dena aupcharikta hai." Vidyashree said.

"Putri Vidya, jis din tum sabse sarvashreshth vidushi banogi aur apne gyaan ke prakash se samaaj ka uddhar karogi toh uss din samajh lena ki mujhe meri Gurudakshina mil gayi." Brahmavani said keeping a hand over her daughter's head.

"Maa, waise aapne kaha tha ki jab mujhe chaaro Vedo ka gyaan prapt ho jayega, tab aap mujhe Shaashtraath mei le jayengi." Vidyashree said.

"Toh humari putri ko bhi Shaashtraath mei ruchi hai ?" Gyaansagar said entering the room.

"Tatparya ?" Vidyashree asked.

"Putri Vidya, kya tumhe pata hai ki maine tumhari Mata sarvapratham Shaashtraath mei dekha tha ?" Gyaansagar asked.

"Satya ?" Vidyashree smiled as Brahmavani smiled.

"Ha. Yeh uss samaye ki baat hai jab hum naye naye Raja bane the. Humne ek Maha-Shaashtraath ka aayojan kiya tha. Usme Shardapeeth Vishwavidyalay ke sabhi shikshak bhi amantrit the jo Bharatvarsh ke anya Vidmaano se Shaashtraath karte. Tumhari Mata aur Unki behen Devi Aparna, Shardapeeth ki nayi adhyapikao mei se ek thi. Dono Beheno ne sabhi Panditon, Rishiyo aur Vidhiyo ko vivaad mei hara diya." Gyaansagar said.

"Fir ?" Vidyashree asked.

"Fir kya ? Hume toh uss hi din tumhari Mata se prem ho gaya tha. Aur jab humne vivah ka prastav rakha toh tumhari Mata ne yeh shart rakhi ki woh humari patni tab hi banengi, jab hum unhe vivah ke paschat bhi Shardapeeth mei padhane ki anumati de. Hum inki nishtha se itna prabhavit huye ki humne inki shart maanya karli." Gyaansagar smiled.

"Kintu aisi shart kyu Maa ?" Vidyashree asked.

"Putri, sansaar mei sabse mahatwapurn uttardayitwa ek Guru ka hota hai, jiske Goud mei nirmaan aur pralay dono palte hai. Apne swaarth hetu, hum apne shishyo ko nahi chhod sakte the. Unhe satya aur dharm ka maarg dikhana mera uttardayitwa tha, hai aur rahega." Brahmavani said.

"Samjhi. Kintu Mausi Aparna ka kya huya ? Woh kaha hai ?" Vidyashree asked.

"Kanchipuram se ek adhyapak aaye the, Pandit Padmamukh. Unka aur behen Aparna ke madhya Shaashtraath atyant lamba chala tha. Annt mei tumhari mausi toh vijayi huyi, kintu vaastavikta mei dono hi apne hridaye se parajit ho gaye the." Brahmavani said.

"Fir tumhari Mausi ka vivah Pandit Padmamukh se huya, aur dono Kanchipuram hetu prasthan kar gaye, jaha devi Aparna ek prasidh tapasvini ke roop mei vikhyat huyi." Gyaansagar said.

"Uttam. Pitashree, kya aap punah ek Maha-Shaashtraath ka aayojan karwa sakte hai ?" Vidyashree requested.

"Ha putri. Hum toh har varsh Maha-Shaashtraath ka aayojan karwate hai. Agle Maah ki purnima ko punah Maha-Shaashtraath hoga." Gyaansagar said.

"Uchit hai. Mai bhi samellit hoke sabhi gyaani vyaktiyo se gyaan arjit karna chahti hu." Vidyashree smiled.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Shaashtraath or debates were a very integral part of Vedic society. They would happen anywhere from temples to universities.... Even in marriages.... If there is an opportunity for debate, then Vedic people will take it.

You will be pleased to know that how actively women participated and even defeated the opponents. Often scholarly women would be appointed as the judges.

Like in the debate between Adi Shankaracharya and Mandan Mishra, where Mishra's wife Ubhaya Bharati was the judge and gave her decision against her husband by announcing Adi Shankaracharya as the winner of the 15 day long debate.

This just shows the status of education women had in ancient India. And these debates were carried out very systematically and in a civilized manner unlike the ones we see today on NEWS where there is no conclusion and everyone just kept yelling or changing the topic.

If this yelling or changing topic happened in Shaashtraath then you would simply lose the points.

HARIHARESHWARI 9 : 𝐆𝐮𝐫𝐮 𝐒𝐚𝐤𝐬𝐡𝐚𝐭 𝐏𝐚𝐫𝐚𝐦𝐛𝐫𝐚𝐡𝐦𝐚Where stories live. Discover now