CHAPTER 8

411 42 9
                                    

Parshuram was sitting on a seat while Bhargav sat straight on the ground in front of him. Between them were bows and arrows, as the sixth incarnation of Narayan told him it's significance.

"Dhanurvidya ka gyaan iss sansaar ko Mahadev ne diya tha. Woh Adi-dhanurdhar hai. Yeh gyaan unse Sarangdhari Bhagwaan Vishnu ko mila, ek swapn ke madhyam se." Parshuram said.

Bhargav nodded as the Jamdagneya picked up the bow and raised it, pulling ths string.

"Yadi keval ek prasidh dhanurdhar ek nagar mei rehta hai toh waha ke shatru sadev uss sthan se dur rahenge jis prakar pashu pakshi Sher ke gufa se dur rehte hai." Parshuram said.

He let's go of the string, the sound and impact shakes the entire environment. All the birds sitting on the tree flew away. Bhargav looked at Parshuram with awe.

"Kya tum jaante ho Bhargav, tumhare naam ka arth kya hai ?" Parshuram asked.

"Maharishi Bhrighu ke yagya ke prasad Swaroop mera janm huya tha. Iss liye mera naam Bhargav rakha gaya." He said.

"Satya hai. Kintu Bhargav ka ek arth aur bhi hai, Shaashtra-gyaan mei." Parshuram said.

"Oh. Kya hai woh Gurudev ?" Bhargav asked.

"Jo 4 prakar ke yuddh mei parangat ho usse Bhargav kehte hai. Ussi tarah jo 7 prakar ke Yudh mei nipurn ho usse Saptyuddh kehte hai. Jo 2 prakar ke yudh mei nipurn ho usse Yoddha kehte hai aur jo keval ek prakar ke yudh mei parangat ho usse Ganak kehte hai." Parshuram said and Bhargav nodded.

"Toh 7 prakar ke yudh kya hai Gurudev ?" He asked.

"Bahuyudh arthat haatho ke madhyam se yudh karne ke 7 prakar hai Dhanush, Chakra, Bhala, khadag, kataar, gada aur annt mei keval rikt haath se yudh karna." Parshuram said.

"Gurudev, yadi itne prakar ke Bahuyudh hai toh hum sikshan pehle Dhanush se hi kyu shuru kar rahe hai ?" Bhargav asked.

"Shaashtro ke anusar, sarvapratham ek Guru ko apne Brahmin shishyo ko Dhanush dena chahiye, Kshatriya ko Khadag, Vaishya ko Bhala aur Shudra ko Gada. Uske pashchat jis shishya ki nipurnta jis bhi shashtra mei ho woh uska prasikshan praapt kar sakta hai." Parshuram said.

"Uchit hai." Bhargav nodded.

Suddenly they heard the sounds of Kartal, both turned their heads and saw the Devarshi coming towards them from the skies.

"Narayan-Narayan !" Narad Muni said and bowed to Parshuram.

"Guru aur Shishya ke vartalaap mei hastakshep karne hetu kshama praarthi hu." He said.

"Padhariye devarshi. Kis prayojan se aap yaha aaye hai ?" Parshuram asked.

"Kashmirpur mei ek Maha-Shaashtraath ka aayojan huya hai. Sabhi gyaani vyaktiyo ko bulaya gaya hai. Maine socha aapko yeh suchna de du. Aapki upasthiti kalyankari hogi." Narad Muni said purposefully.

Parshuram smiled as he looked at Bhargav and then back at the Devarshi, giving him a nod.

"Narayan-Narayan !" Narad Muni smiled.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

Looks like it's time for the first meet of SriSri 🌝

HARIHARESHWARI 9 : 𝐆𝐮𝐫𝐮 𝐒𝐚𝐤𝐬𝐡𝐚𝐭 𝐏𝐚𝐫𝐚𝐦𝐛𝐫𝐚𝐡𝐦𝐚Where stories live. Discover now